Dare-E-Dil

by RoshanShayar on June 04, 2006, 06:12:10 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 979 times)
RoshanShayar
Guest
Darde Dil
---------

Humne bahut samjhaya, par yeh dil na maana
Chaand hota hai door se hi suhana, yeh bhi na jaana
Jamaana bhi haar gaya, phir bhi yeh baaz na aaya
Ab chot hai khai, to hosh hai aaya

Kyon nahin karte humse baat, kyon chhod diya hamaara saath
Kya ho gayi humse khata, E Dost jara yeh to bata

Maana ki humse khata ho gayi, par woh koi jurm to na tha
Itni badi saja ka, main hakdaar to na tha
Naaraz hone se pehle dosti ka, kuch to lihaaz karte
Waqt dete to shayad hum, apni bhool hi sudhaar lete

Waqt to kabhi tha hi nahin, na hi kismat thi hamaare saath
Tumhe to humne apna maana tha, Aur, tumhi ne chhod diya hamaara saath

Jigar hamaara bikhar gaya, magar hota woh behtar
Gar anjuman se tumhare, nikla na hota woh nashtar
Hum to yeh samajhte hain, ki hum hain baadshahe jigar
Ab bhi keh do ki sab mazaak tha, kahin ho na jaaye yeh bey asar

Hamesha hi kareeb baithti thi, Aur, hamesha hi thi dil ke paas
Jamaane ne itni paabandiyan lagayin, phir bhi Jaalim ko aaya na yeh raas
Jab bhi kareeb hoti thi, Jaata tha mann mera machal
Is tarah kabhi rooth na jaana, ki ho jaaye yeh achal

Humne to kabhi yakin nahin kiya, na hi maani kabhi duniya ki baat
Tumse bhi hamein yahi ummeed thi, Magar tumne to bandh hi kar di mulakaat

Phir bhi hamein yakin hai, ki jis tarah,
Juda ho sakta hai phool daali se, Khushboo se juda ho sakta nahi
Ki hum ROSHAN hain jin se, woh ROSHNI humse juda ho sakti nahi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
hoohoohooo....at last sumthin scary...dO U dArE...?????????? by sanju in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Dare to be.. by Anushka in Quotable Phrase and Quotes
how dare you by no_good_stranger in English
thori dare lagay gi by payar in Shayri for Dard -e- Judai
log dare huye hai.. by Dineshkumarjonty in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
roshni246
Guest
«Reply #1 on: June 04, 2006, 11:04:14 PM »
nice roshan keep it up!!!
welcum 2 yoindia dear!!!



yeh dil shayad unse pyaar karta hai
befikra kisi anjaane pe aitebaar karta hai
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon unka intezaar karte hai

yun to aaj kal hamein neend nahi aati hai
unki yaad hamein raton ko jagaati hai
aur gar pal bhar ko aankh lag bhi jaaye to
chupke se khwabon mein wo chale aate hain
masoom sa unka chehra hamein bekaraar karta hai
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon unka ikhtihaar karte hai

dil mein kya hai unko hum dikhayen kaise
hai mohabbat jo itna wo jatayen kaise
bus yahi sochte hain hum har lamha
dil ki dhadkan hum unko sunayen kaise
kaise kahen ki dil unpe jaan nisaar karta hai
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon unhe bar bar izahar karte hai

hum khwabon ko unse aabaad karte hain
aksar tanhai mein unhe hum yaad karte hain
yun to log kahte hain hamein kaafir magar
phir bhi khuda se unki khushi ki fariyaad karte hain
ho yakeen mere dil pe unhe,
yeh koshish baar baar karte hain
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon har lamha unse hi pyar karte hai


~ROSH~
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #2 on: June 04, 2006, 11:11:50 PM »
Roshan

Bahut he achcha kalaam aap ne Yoindia par aate he likha !

Aap ka Yoindia par swaagat hai ! Enjoy your stay here !

And Roshu

Tumne bahut khoobsurat reply diya !

Rajbir
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: June 05, 2006, 03:50:59 AM »
bahoot khoob Roshan and Roshini.....

Roshan ji apka yoindia mai sawagat hai
Logged
Anushka
Guest
«Reply #4 on: June 05, 2006, 04:30:41 AM »
Quote from: "RoshanShayar"
Darde Dil
---------

Humne bahut samjhaya, par yeh dil na maana
Chaand hota hai door se hi suhana, yeh bhi na jaana
Jamaana bhi haar gaya, phir bhi yeh baaz na aaya
Ab chot hai khai, to hosh hai aaya

Kyon nahin karte humse baat, kyon chhod diya hamaara saath
Kya ho gayi humse khata, E Dost jara yeh to bata

Maana ki humse khata ho gayi, par woh koi jurm to na tha
Itni badi saja ka, main hakdaar to na tha
Naaraz hone se pehle dosti ka, kuch to lihaaz karte
Waqt dete to shayad hum, apni bhool hi sudhaar lete

Waqt to kabhi tha hi nahin, na hi kismat thi hamaare saath
Tumhe to humne apna maana tha, Aur, tumhi ne chhod diya hamaara saath

Jigar hamaara bikhar gaya, magar hota woh behtar
Gar anjuman se tumhare, nikla na hota woh nashtar
Hum to yeh samajhte hain, ki hum hain baadshahe jigar
Ab bhi keh do ki sab mazaak tha, kahin ho na jaaye yeh bey asar

Hamesha hi kareeb baithti thi, Aur, hamesha hi thi dil ke paas
Jamaane ne itni paabandiyan lagayin, phir bhi Jaalim ko aaya na yeh raas
Jab bhi kareeb hoti thi, Jaata tha mann mera machal
Is tarah kabhi rooth na jaana, ki ho jaaye yeh achal

Humne to kabhi yakin nahin kiya, na hi maani kabhi duniya ki baat
Tumse bhi hamein yahi ummeed thi, Magar tumne to bandh hi kar di mulakaat

Phir bhi hamein yakin hai, ki jis tarah,
Juda ho sakta hai phool daali se, Khushboo se juda ho sakta nahi
Ki hum ROSHAN hain jin se, woh ROSHNI humse juda ho sakti nahi



bahut hi khubsurat hai Roshanji... welcome to yoindia....

Dard Dil Mein Utar Leta Houn
Tere Gham Ko Sanwar Leta Houn

Hadh Se Badh Jaaye Jab Ye Betaabii
Hadh Se Badh Jaaye Jab Ye Betaabii
Naam Tera Pukar Leta Houn

Waqt Mushkil Ho Jiitna Bhi Mujh Par
Main To Hans Kar Guzaar Leta Houn
*Writer Unknown**
Logged
Anushka
Guest
«Reply #5 on: June 05, 2006, 04:31:58 AM »
Quote from: "roshni246"
nice roshan keep it up!!!
welcum 2 yoindia dear!!!



yeh dil shayad unse pyaar karta hai
befikra kisi anjaane pe aitebaar karta hai
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon unka intezaar karte hai

yun to aaj kal hamein neend nahi aati hai
unki yaad hamein raton ko jagaati hai
aur gar pal bhar ko aankh lag bhi jaaye to
chupke se khwabon mein wo chale aate hain
masoom sa unka chehra hamein bekaraar karta hai
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon unka ikhtihaar karte hai

dil mein kya hai unko hum dikhayen kaise
hai mohabbat jo itna wo jatayen kaise
bus yahi sochte hain hum har lamha
dil ki dhadkan hum unko sunayen kaise
kaise kahen ki dil unpe jaan nisaar karta hai
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon unhe bar bar izahar karte hai

hum khwabon ko unse aabaad karte hain
aksar tanhai mein unhe hum yaad karte hain
yun to log kahte hain hamein kaafir magar
phir bhi khuda se unki khushi ki fariyaad karte hain
ho yakeen mere dil pe unhe,
yeh koshish baar baar karte hain
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon har lamha unse hi pyar karte hai


~ROSH~


Roshiniji aapka lajawab hai bahut hi acha .... lovely...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: June 05, 2006, 06:12:04 AM »
bahut khub likha hai aapne Roshan ji .........yoindia per aapaka sawagat hai............. Usual Smile

Dear ROSHU ...... tum toh kamal ho.......very  beautiful ...... Usual Smile
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #7 on: June 05, 2006, 12:19:30 PM »
roshan ji...welcome to yoindia!!! aate hi bohot achi poem lihki hai apne, keep writing!  :D

roshni ji...kamal kar ditta kuddiye! very nice!!  :D
Logged
roshni246
Guest
«Reply #8 on: June 05, 2006, 01:53:47 PM »
thank ku !!!!!!!!! ..Puzzled !
Logged
roshni246
Guest
«Reply #9 on: June 05, 2006, 11:31:17 PM »
il me kitna pyar hai,hum bata nahi sake,
ankhoan me kitni mohabbat hai, hum dhika nai sake,
chaahate hai hum thumhe haa bas thumhe,
lekin ikrar kar nai sake,
shochate rahetein hai kaise izhar kar sake,
saari umar bus thumhara intezar kar sake.


~rosh~
Logged
RoshanShayar
Guest
«Reply #10 on: June 12, 2006, 08:24:03 AM »
Shukriya! Bahut Bahut Shukriya!!!

Main koshish karunga to keep upto all of ur expectations.

Actually, yeh maine bahut pehle likhi thi, par kahin se protsaahan nahi mila, so fir maine likhna band kar diya.
Ab shayad, dil mien aur dard uthe to lafz bhi baahar nikalenge, Insha-Allah!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 11:30:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer