darta hoon main

by salil2002 on January 24, 2009, 09:42:54 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1826 times)
salil2002
Guest
ek baat hai dabi huyi muddaton se seene mein
oos raaz k faasf hone se darta hoon main
jo barson se daal kar beithe hai naqaab
unke pardanashi hone se darta hoon main

nahi chahta koi ilzaam de oonhe meri maut ka
oonke saza paane k khayal se darta hoon main
band rakhna meri aankhen dikh na jaaye tasveer unki
unke badnaam hone k khayal se darta hoon main

yoon toh chaha tha jo ummra bhar woh kar na saka
na jaane phir aaj kyun yeh khayal karta hoon main
kii tu agar bewafa na hoti tu kya mein tere paas hota
jaane kyun kha ke dhoka bhi pyaar tujhse karta hoon main
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #1 on: January 24, 2009, 09:57:50 AM »
Bahoth Qoob janab Maza agaya padke Likhte raho yunhi salil
[/color][/b]

Qadeer Toopchi
[/color][/b]
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: January 24, 2009, 03:24:28 PM »
Bahut Khoob Salil Ji
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: January 25, 2009, 06:41:36 AM »
shukriya rajesh bhai and abdul bhai
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #4 on: January 25, 2009, 06:50:18 AM »
bahoot khoob salil ji bas pahle para ki teesari aur chouthi line me kuch atpata sa padhne me aaya...
jo barson se daal kar beithe hai naqaab
unke pardanashi hone se darta hoon main
yahan pardnashi ki jagah benaqab hona chahiye tha shayad .....kyunki pardanaheen ka matlab jo lo parde me rahte hain...
mai koi urdu ka jankaar nahi agar mai galat hun to maafi chahunga
Logged
salil2002
Guest
«Reply #5 on: January 25, 2009, 07:01:36 AM »
bahoot khoob salil ji bas pahle para ki teesari aur chouthi line me kuch atpata sa padhne me aaya...
jo barson se daal kar beithe hai naqaab
unke pardanashi hone se darta hoon main
yahan pardnashi ki jagah benaqab hona chahiye tha shayad .....kyunki pardanaheen ka matlab jo lo parde me rahte hain...
mai koi urdu ka jankaar nahi agar mai galat hun to maafi chahunga
haan bekaraar ji aap sahi keh rahe hain
magar mera yahan par yeh samjhana tha kii .......woh naqaab daal kar beithe hai aur agar parda bhi daalenge toh pehchaanne mein pareshaani hogi.........shukriya aapne itni bareeki se pada
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #6 on: January 25, 2009, 07:04:24 AM »
are wah mere dost..bahoot gahri soch thi aapki aur mai oopar oopar hi ghum kar aa gaya......bahoot khoob..salil
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: January 25, 2009, 07:43:19 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob salil wah kaya likha hai... yah do line to bahoot pasand aai hai

kii tu agar bewafa na hoti tu kya mein tere paas hota
jaane kyun kha ke dhoka bhi pyaar tujhse karta hoon main

Good work
Logged
salil2002
Guest
«Reply #8 on: January 25, 2009, 08:31:18 AM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob salil wah kaya likha hai... yah do line to bahoot pasand aai hai

kii tu agar bewafa na hoti tu kya mein tere paas hota
jaane kyun kha ke dhoka bhi pyaar tujhse karta hoon main

Good work

thank  u pooja di
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:05:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer