Dastaan-e-Ishq .................... Parkar

by vin1984 on January 25, 2012, 03:33:35 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1534 times)
vin1984
Guest
Dastaan-e-Ishq


Na Muskuraya wo us Roz, kiya Aadab nahi
Pareshaan tha wo, ke main Kaamyaab nahi

Daulat-Shohrat se tha use badhkar pyaar
Shayad Maayus tha wo ke main koi Aaftab nahi

Karta wo shok, umar bhar Bewafai ka
Phir maine hi keh diya, mujhe tumse Mohobbat nahi

Mangi har dam Mannat-e-Khuda Jiske Khaatir
NaGawara hota Manzar, ke wo Aabad nahi

Nahi karta wo Zikr mera ab Tanhai me bhi Kabhi
Beshumar-e-Sangat me bhi meri dusri Fariyaad nahi

Mit Gaya hoon Zamane ki kitabon se kuch aise
Ke mere Dastaan-e-Ishq ka kahin koi Wajood Nahi

Andheron se hi kar leta hoon tarannum-e-farmaish
Mujh Gareeb pe Ujalon ki Inayat nahi

Kambakht Log tujhe chain se peene bhi nahi dete "Parkar"
Kehte hai Hakeemo ki Ijazat nahi


-- Parkar
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ishq ki Dastaan! by salma786 in Shayri for Dard -e- Judai
-Na Puch Mere Nakaam Ishq Ki DastaaN- by HumTum in Ghazals
Mohobbat ki dastaan ... Parkar by vin1984 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Dastaan-e-Ishq by salma786 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Husn ........ Parkar by vin1984 in Shayari -e- Husn
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: January 25, 2012, 04:19:22 AM »
 Applause Applause
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #2 on: January 25, 2012, 04:32:49 AM »
Dastaan-e-Ishq


Na Muskuraya wo us Roz, kiya Aadab nahi
Pareshaan tha wo, ke main Kaamyaab nahi

Daulat-Shohrat se tha use badhkar pyaar
Shayad Maayus tha wo ke main koi Aaftab nahi

Karta wo shok, umar bhar Bewafai ka
Phir maine hi keh diya, mujhe tumse Mohobbat nahi

Mangi har dam Mannat-e-Khuda Jiske Khaatir
NaGawara hota Manzar, ke wo Aabad nahi

Nahi karta wo Zikr mera ab Tanhai me bhi Kabhi
Beshumar-e-Sangat me bhi meri dusri Fariyaad nahi

Mit Gaya hoon Zamane ki kitabon se kuch aise
Ke mere Dastaan-e-Ishq ka kahin koi Wajood Nahi

Andheron se hi kar leta hoon tarannum-e-farmaish
Mujh Gareeb pe Ujalon ki Inayat nahi

Kambakht Log tujhe chain se peene bhi nahi dete "Parkar"
Kehte hai Hakeemo ki Ijazat nahi


-- Parkar
Applause Applause Applause
Logged
~Aatish~
Guest
«Reply #3 on: January 25, 2012, 08:57:52 AM »
Applause
Logged
sarfira
Guest
«Reply #4 on: January 25, 2012, 01:08:35 PM »
bht khoob nagma pesh kia aapne---
aur bhi shandaar ho skti thi janaab agr thora sa aur shabdon ko maanzte--

iss achi kosis par dili daad
khus rahen
likhte rahen
muskurate rahen
Logged
vin1984
Guest
«Reply #5 on: January 25, 2012, 03:35:42 PM »
Sabhi ka dil se shukriya hausla badhane ke liye ...

@sarfiraji - aapne sahi farmaya. Actually ye ghazal maine puri ek time pe nahi likhi.
Isi liye jasbaaton ko shabdon me dhalte waqt rhyme ka khayal na rakh paya.

Agar isme aur koi technical problem ho to mujhe zarur bataye ... aapka bohot shukraguzar rahunga.

Thanks
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #6 on: January 25, 2012, 03:36:28 PM »
Bahoot Bahoot Khoob Parker ji... Bahoot Hi Shandaar Likha hai aapne . Dard Nazar aaya .. Bahoot Bahoot khoob !


Nysha
Logged
vin1984
Guest
«Reply #7 on: January 25, 2012, 04:05:33 PM »
Daad ke liye shukriya Nysha ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:19:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer