~Daur sachayi ka na raha~ by Rahim

by dead heart on November 27, 2010, 03:41:22 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1098 times)
dead heart
Guest
Main jab bahar nikalta hoon, toh najane kitni alag alag kism ki gadiyan dekta hoon..Meri bhi khwaish hai kay kabhi mere paas bhi ek gadi ho..Har roz apne bistar par laite hue main yehi imagine karta hoon kay main ek apni khud ki car main hoon aur maaze se drive pe nikla hoon..Bas woh imagination ka lamha itna sukun aur khushi lata hai kay kya bataun mager ek ghum chorr jata hai kay asliyat main aisa kuch nahin..

Aur ek taraf phir main logon ko haath main haath dale dekta hoon..Dil yehi kehta hai 'Rahim, kabhi tera bhi koi tha..'

Bas inhi do ehsaason ko main aj kagaaz par utaarna chahta hoon..

Aur ek baat kehna chahta hoon..Ager apke paas koi hai toh usse dikhayen kitni mohobat karte ho us'se..Ek shaks ne ek seminar main badi khubsoorat baat kahi thi.."Love not shown is love denied.."..Kayi baar koi humein isiliye nahin milta kyun ki hum usse dikhate nahin kay kitni mohobat hai tumse..Mohobat hi toh dikhane layak cheez hai..

Gadiyon main gumna kabhi meri kismat main na raha,
Jisse zindagi se badkar chaha woh ab zindagi main na raha..

Kisi ka hona meri shaksiyat ko mukammal kiya karta tha,
Jisse diya dil apna uski mohobat pana meri takdir main na raha..

Mehsoos hua hai mujhe kay koi aur bas gaya uske dil main,
Kyun ki aj kal uski ankhon main ‘Khamosh’ na raha..

Kam umar main sab kuch hi toh dekh liya maine yaaron,
Bewaffa dil, magroor amir, sache gareeb aur chubte ehsaas,
Shayad iss duniya main ab daur sachi mohobat ka na raha..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #1 on: November 27, 2010, 04:06:16 PM »
Kya kahu....iss post ki taarif k liye lafj sametne bahut mushkil hai....
bahut acchi baat kahi hai tumne....mohabbat ko jtana mohabbat se bhi zyada zaruri hai.....Dua hai Rab ji se tumhari har khwaish poori ho....taaki tumhara jo vishwaas apni taqdeer aur mohabbat se uth gaya hai wo phir se ban jaaye.... Usual Smile
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: November 27, 2010, 09:22:44 PM »
Ameen..
Teh dil se shukriya di..!
Bahaut bahaut shukriya..!
Khush rahiye..!
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #3 on: November 28, 2010, 03:02:37 AM »
kya baat kahi aapne Raheem.
dil ke har kone se Daad nikal rahi hai janaab.
wah wah kya khub likha Sachh ka saamna krwa dia ..
god bless u...bas likhte rahiye yun hi
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: November 28, 2010, 11:50:41 AM »
Bahaut bahaut shukriya Killbill jee..!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 05:36:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer