dava

by tabassum shakeel on June 14, 2006, 04:11:08 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 912 times)
tabassum shakeel
Guest
dava aisa hame bhi tha ki vo hamse door na ja paaenge
phir ek mod aisa aaya na unki khata na meri khata
the aankh me aansu mere bhi aur unki aankhen bhi nam thi
phir aaj talak bas khwab hi hain vo mere liye main unke liye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard e dava by neerajB in Shayri for Khumar -e- Ishq
dard ho aur dava na mile by mkv in Share: Poetry of Pain
Dard-e-dil ki dava-----bansi by BANSI DHAMEJA in Miscellaneous Shayri
Mariz ki dava kya hai by anmolarora in Shayri for Khumar -e- Ishq
kadvi dava(CSET) by MANOJ6568 in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Kismat ke Maare
Guest
«Reply #1 on: June 17, 2006, 08:28:46 AM »
Quote from: "tabassum shakeel"
dava aisa hame bhi tha ki vo hamse door na ja paaenge
phir ek mod aisa aaya na unki khata na meri khata
the aankh me aansu mere bhi aur unki aankhen bhi nam thi
phir aaj talak bas khwab hi hain vo mere liye main unke liye


Nice One Tabassum Ji-

Dawaa Bhi Kahan Asar Karti Hai Jise Ishq Ka Rog Laga Ho-
Ke Ishq Mein Milte Hain Jo Zakham Wo Marne Ke Baad Ki Kam Hote Hain-

-Kismat-
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #2 on: June 17, 2006, 08:50:21 AM »
Davaa-e-Dosti hai to khul karr mila karo
Yoon sahilon ki tarah na hatt kar chala karo

Hum bhi to aaina hain aaur bezubaan bhi nahi
Yoon parchaiyon se apni na baatein kiya karo

Harr shaks mere shehar ka tujhe sanam kahey
Ye muskura karr sabse na baatein kiya karo

Khwaabon mein chumne ka humne gairon se suna
iLLah aaisi baatein to siraf humse kiya karo

Maanngo tum rozz Dil mera aaur Todd kar kaho
Tuti hui cheez ke na Tukre dhondha karo..

Jaam hum pilayenge tumhein aankhn se Dinn bhar
Fakhat Jaam ke liye sabki ankhon mein na gira karo.....NM
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #3 on: June 17, 2006, 09:08:56 AM »
wah kaya bat hai Neer , bahoot achi lines hai, thanks for sharing with us...... good work all
Logged
Kismat ke Maare
Guest
«Reply #4 on: June 18, 2006, 11:27:35 AM »
great Nirbhay Nice One-
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #5 on: June 18, 2006, 02:28:05 PM »
Quote from: "Kismat ke Maare"
Quote from: "tabassum shakeel"
dava aisa hame bhi tha ki vo hamse door na ja paaenge
phir ek mod aisa aaya na unki khata na meri khata
the aankh me aansu mere bhi aur unki aankhen bhi nam thi
phir aaj talak bas khwab hi hain vo mere liye main unke liye


Nice One Tabassum Ji-

Dawaa Bhi Kahan Asar Karti Hai Jise Ishq Ka Rog Laga Ho-
Ke Ishq Mein Milte Hain Jo Zakham Wo Marne Ke Baad Ki Kam Hote Hain-

-Kismat-

shukriya kismat {ke mare} aur bahut khoob aapne likha hai
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #6 on: June 18, 2006, 02:33:00 PM »
Quote from: "nirbhay"
Davaa-e-Dosti hai to khul karr mila karo
Yoon sahilon ki tarah na hatt kar chala karo

Hum bhi to aaina hain aaur bezubaan bhi nahi
Yoon parchaiyon se apni na baatein kiya karo

Harr shaks mere shehar ka tujhe sanam kahey
Ye muskura karr sabse na baatein kiya karo

Khwaabon mein chumne ka humne gairon se suna
iLLah aaisi baatein to siraf humse kiya karo

Maanngo tum rozz Dil mera aaur Todd kar kaho
Tuti hui cheez ke na Tukre dhondha karo..

waah neer bahut khoob likhte hain aap ...

daava e dosti na tha phir bhi nibha diya
vaada to kuchh kiya hi na tha par nibha diya
dil ko koi vaada jo agar bandh saka hai
vo tha vo hi ek vaada ja maine kiya na tha
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #7 on: June 18, 2006, 02:33:45 PM »
shukriya pankhuri
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: June 21, 2006, 01:45:25 PM »
Bohat khoob Tabassum...


Aye door ke musafir
Aaj meri haar hai keh
Tum mujhe choar kar ja rahe ho
Lekin yeh mera daava hai keh
Mere khaamosh aur saadiQ jazbe
Meri ibaadat aur mera junoon
Tumhein taskheer kar le ga
Mera intezaar
Aakhri saans tak rahe ga
Jab tak ke tum
Laut na aao
Haan uss waQt
Meri jeet ho gi
Tumhein Thukra kar
Aur
Maut ko gale laga kar..
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #9 on: June 21, 2006, 03:19:10 PM »
shukriya aryan  aur bahut khoob likha hai apne

ek intezaar pe apne guman hai ham ko
ek apni paak nigaahon ka hai aitbaar hamko
vo chaahe door  hain kitane bhi par ye dava hai
siva hamare koi  doosra  nahi  dil me
Logged
Kismat ke Maare
Guest
«Reply #10 on: June 29, 2006, 08:53:49 AM »
Shukriya Tabassum Ji-
Aur Aryan Bha-
Apne Bhi Bahoot Acha Likha Hai-
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #11 on: June 29, 2006, 07:20:50 PM »
Ye  saal hai aakhari meri arjuon ka
Ye  saal hai aakhari mere aansuon ka
 Bahut mangi duain khuda se  Bahut mangi duain Khuda se
Ye  saal hai aakhari meri hasraton ka
 Bahut bhattka dast-e-sehara main. Bahut bhattka dast-e-sehara main
Ye  saal hai aakhari meri awargiyon ka.
 
 Bahut babus raha sath tera,  Bahut babus raha sath tera
Ye  saal hai aakhari apni najdikiyon ka
 bahut sitam sahe waqt ke,  bahut sitam sahe waqt ke
Ye  saal hai aakhari sari majbooriyon ka

 bahut nastar chale sine pe,  bahut nastar chale sine pe
Ye  saal hai aakhari sare jakhmon ka
 
 Bahut baha ask-e-jigar ban ke syahi,  Bahut baha ask-e-jigar ban ke syahi
Ye  saal hai aakhari mere ashraron.
 bahut bekadar rahi jindagi ye,   bahut bekadar rahi jindagi ye
Ye  saal hai aakhari apni sanson ka
Ye  saal hai aakhari meri arjuon ka
Ye  saal hai aakhari meri arjuon ka
Ye  saal hai aakhari meri arjuon ka
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #12 on: June 30, 2006, 06:03:02 AM »
Quote from: "TOUCHY"
Ye  saal hai aakhari meri arjuon ka
Ye  saal hai aakhari mere aansuon ka
 Bahut mangi duain khuda se  Bahut mangi duain Khuda se
Ye  saal hai aakhari meri hasraton ka
 Bahut bhattka dast-e-sehara main. Bahut bhattka dast-e-sehara main
Ye  saal hai aakhari meri awargiyon ka.
 
 Bahut babus raha sath tera,  Bahut babus raha sath tera
Ye  saal hai aakhari apni najdikiyon ka
 bahut sitam sahe waqt ke,  bahut sitam sahe waqt ke
Ye  saal hai aakhari sari majbooriyon ka

 bahut nastar chale sine pe,  bahut nastar chale sine pe
Ye  saal hai aakhari sare jakhmon ka
 
 Bahut baha ask-e-jigar ban ke syahi,  Bahut baha ask-e-jigar ban ke syahi
Ye  saal hai aakhari mere ashraron.
 bahut bekadar rahi jindagi ye,   bahut bekadar rahi jindagi ye
Ye  saal hai aakhari apni sanson ka
Ye  saal hai aakhari meri arjuon ka
Ye  saal hai aakhari meri arjuon ka
Ye  saal hai aakhari meri arjuon ka


very nice touchy bro aap kamal ka likhate hain pata hai na aapko..........


is ek saal ke baad khushi jhoom ke yun aaegi
doaen lab pe na hongi sabhi bar aaengi
uthen hain haath hamare bhi doa me ab ke
hame mile na mile tum ko khushi mil jaaegi

yaqeen hai hame us rahmaton ke malik ka
hame navaza hai jisane hamesha behtar se
vo koi bhi doa khali nahi yun chhodega
naya vo saal khushi ban ke teri jhoomega
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 06:26:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer