....~~Deewangi~~....

by HumTum on April 14, 2005, 12:14:54 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 44
Print
Author  (Read 22394 times)
HumTum
Guest

Pal pal kaise guzarta hai tumhe kya maloom?
Pal pal qayamat hai tumhe kya maloom!

Furkat ke lamhon mein na jeete hain na marte hain
tum saath ho to sa'adat hai tumhe kya maloom!

honton pe na tabassum na aankhon mein khushi
utra huva chehre ki ye rangat hai tumhe kya maloom!

tanhaiyon mein aksar baatien karte hai tumse
is kadar aap ki kurbat hai tumhe kya maloom!

aise ehsaas ki deewangi maar daalegi "HumTum"
mehsoos phir lamas ki lazzat hai tumhe kya maloom!


HumTum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri deewangi by majid in Shayri-E-Dard
shayeri, awaargi, deewangi by samnoj in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Masoom Deewangi by javedarshad in Shayeri for Dard -e- Bewafai
mera deewangi ki intaha... by sagar_voski22@gmail.com in Shayri for Khumar -e- Ishq
Meri Deewangi. by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #1 on: April 14, 2005, 12:17:57 PM »
Quote from: "HumTum"

Pal pal kaise guzarta hai tumhe kya maloom?
Pal pal qayamat hai tumhe kya maloom!

Furkat ke lamhon mein na jeete hain na marte hain
tum saath ho to sa'adat hai tumhe kya maloom!

honton pe na tabassum na aankhon mein khushi
utra huva chehre ki ye rangat hai tumhe kya maloom!

tanhaiyon mein aksar baatien karte hai tumse
is kadar aap ki kurbat hai tumhe kya maloom!

aise ehsaas ki deewangi maar daalegi "HumTum"
mehsoos phir lamas ki lazzat hai tumhe kya maloom!


HumTum
bohat acche humtum,aaj sab log bohat acchi acchi poetry post kar rahe hain.......gr88 :D
Logged
pandit
Guest
«Reply #2 on: April 14, 2005, 12:18:01 PM »
wah hum tum ji........
har par hai tumahari kami si zindagi me,
jaane kaise shaamil ho tum mere zindagi me,
gar tumhe na mil saka to,
aa jayega koi mtoofaan zindagi me.
Logged
HumTum
Guest
«Reply #3 on: April 14, 2005, 12:21:15 PM »
Shukriya Nidhi ji n Pandit ji....
Apney ne bhi khoob likha hai pandit ji Usual Smile
Logged
pandit
Guest
«Reply #4 on: April 14, 2005, 12:22:51 PM »
thanx hum tum ji............................................... ................................
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: April 14, 2005, 12:33:31 PM »
Bohot hi khoob Humtum n Pandit !!!! Good ones !!!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: April 14, 2005, 12:39:54 PM »
Shukriya Talat ji............

bulandi choone ke liye, choo-kar aur nikhar jaane ko
aankhon ke pare khwaab mila, anjaam mila afsaane ko

teri ranj-e-ulfat se door, parastish ki kasak ke saath
maut se apne hoonth bhidaakar, aa hi gaye maikhaane ko
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: April 14, 2005, 01:56:14 PM »
Quote from: "HumTum"

bulandi choone ke liye, choo-kar aur nikhar jaane ko
aankhon ke pare khwaab mila, anjaam mila afsaane ko

teri ranj-e-ulfat se door, parastish ki kasak ke saath
maut se apne hoonth bhidaakar, aa hi gaye maikhaane ko
[/b]


Nice again !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: April 14, 2005, 02:07:54 PM »
Shukriya talat ji......

haye ke unko meri shayri pasand aayi
ban gaye aaj mukmmal shayar apni nazar mein
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: April 14, 2005, 02:19:45 PM »
dard dil ka samjh saka hai wohi
jisne khud in raahon se guzra hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #10 on: April 14, 2005, 02:25:18 PM »
lagta hai kyun yeh fasana suna suna sa "HumTum"
maluum padta hai ke hai koi aur bhi chot khaya hua
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: April 14, 2005, 02:29:29 PM »
Ye fasana to mohabbat main ab aam hua hai
Sachchi mohabbat me har dil nakaam hua hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: April 14, 2005, 02:32:12 PM »
suna tha ke sacchi muhhobat mar nhi sakti
phir kyun sacchi muhhobatooN ka bura anjaam hua hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: April 14, 2005, 02:37:11 PM »
zamane se nahin sahi jaati hai mohabbat
shayad yahin par hoti hai ishq ki shikast !!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: April 14, 2005, 02:39:18 PM »
phir bhi log kyun mohhobat kartey hai
jab pta hai ki iss raah ki manzil nhi koi
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 44
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:08:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer