HumTum
Guest
|
«Reply #555 on: May 26, 2005, 02:50:09 PM » |
|
har zakhm ko seena shikha diya usney har haal mein reh ker jeena shikha diya usney udass to pehley bhi tha mmein magar Aa ke yaad Aaj mujhey rula diya usney
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #556 on: May 26, 2005, 02:54:49 PM » |
|
ye udaas shaam aur koi nahin hai mere saath tanhaayi hai aur mere ghum hain mere sath zindagi naam hai mar mar ke jiye jaane ka khushion ke sangi hain sab, dard me nahin sath
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #557 on: May 26, 2005, 02:57:30 PM » |
|
dard hadse guzar jaye to fugan hota hai hashr us shaks ka phir kuchh hum jaise hota hai khak chhani hai sehrao ki magar woh na mila hum to sunte the ki zarron mein bhi khuda hota hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #558 on: May 26, 2005, 03:00:37 PM » |
|
Dard had se guzar jaaye to ehsas mit jata hai Jaise sahra main koi saaya sa aa jaata hai Ab to aadat si ho gayi aansu peene ki hume Ab yeh ghum apna saathi hi bane jaata hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #559 on: May 26, 2005, 03:03:41 PM » |
|
un yaadon ko 'e kaash hum bhulaa paate sisakti gumon ko 'e kaash sambhal paate suraj nah dekha andhonak raat kabhi magar, 'e kaash in raaton ke andhere ko ddhal aate !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #560 on: May 26, 2005, 03:06:01 PM » |
|
yaadon ko mitaana nahin apne bas main dost un yaadon ko saja ke rakh le kuch aisa karen aansu jo aa jayen ankhon me, pee len unhe aao sab bhool ke hum bas muskurate rahen
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #561 on: May 26, 2005, 03:09:39 PM » |
|
sab khuch bula ke bhi ik yaad si kyun hai bin uskey yeh zindgi barbaad se kyun hai gar yhi anjaam-e-mohhobat hai duniya mein to yeh silsila aabaad kyun hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #562 on: May 26, 2005, 03:12:19 PM » |
|
saari mohabbaton ka yeh anjaam nahin hota khushnaseeb hain wo log jinhe ghum nahin hota bhulaana nahin aasaan magar phir bhi bhool ja ghum kar ke mohabbat ki tauheen kyun hai karta
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #563 on: May 26, 2005, 03:15:22 PM » |
|
gar ussey bhulana hota itna asaan to mein kab ka bula chuka hota gham-e-zindgi mein na marta har roz mein Odh ke chadaar zameen mein sma chuka hota !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #564 on: May 27, 2005, 08:30:29 AM » |
|
chala gaya hai wo khushion ka waada karke use kya khabar khushian us ke dam se hain yoon to hanste hain muskuraate bhi hain hum jaane kyun yeh meri aankhain nam si hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #565 on: May 27, 2005, 08:39:14 AM » |
|
socha na tha teri ulfat mey aisee thokar khaayenge pyar ke duniya mey saans lene sey pahle hi mar jaayenge Ab pataa chala ke Ishq ek Khel hai koi jasbaat nahi Aur kitney dil yaha jeete aur haarey jaayenge
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #566 on: May 27, 2005, 08:45:55 AM » |
|
jaane kyun ab dil ko koi aarzu nahin rahi tu jo chala gaya ab zindagi wo nahin rahi kaat te hain yeh safar-e-zindagi yunhi hum warna to ab jeene ki hasrat bhi nahin rahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #567 on: May 27, 2005, 08:51:10 AM » |
|
uskey bina yeh zindgi bhi adoori hai khair usi bhi koi apni majbooori hai har shaks waffadaar ho duniya mein kisney kha hai ke yeh jaruuri hai !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #568 on: May 27, 2005, 09:02:36 AM » |
|
wafa ke badle me wafa mile zaroori to nahin dost kabhi door na jaaye ye zaroori to nahin har shakhs apne aap main majboor bohot hai tanhaiyon ka mile saathi sabko zaroori to nahin
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #569 on: May 27, 2005, 09:06:03 AM » |
|
har lamha koi sath chaley zaroori to nhi pyaar ke badley pyaar miley zaroori to nhi kantoon mein bhi kat hi jaati hai zindgi "HumTum" pholooN ki bahar miley zaroori to nhi !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|