....~~Deewangi~~....

by HumTum on April 14, 2005, 12:14:54 PM
Pages: 1 ... 35 36 37 38 [39] 40 41 42 43 44
Print
Author  (Read 22656 times)
Talat
Guest
«Reply #570 on: May 27, 2005, 09:08:54 AM »
phoolon ke daaman me bhi shole dekhe hain
humne hanste hue chehre bhi rote dekhe hain
daaman main kaanto ke siwa kuch nahin hai
kya yeh phool kisi ko mayassar hote hain ?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri deewangi by majid in Shayri-E-Dard
shayeri, awaargi, deewangi by samnoj in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Masoom Deewangi by javedarshad in Shayeri for Dard -e- Bewafai
mera deewangi ki intaha... by sagar_voski22@gmail.com in Shayri for Khumar -e- Ishq
Meri Deewangi. by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq
HumTum
Guest
«Reply #571 on: May 27, 2005, 09:14:40 AM »
kahi shikwa kahi koi sitam koi zakhm hai duniya
mere hai jo bas mere wo kuchh jasbaat mat puchho
hamarey labo ki muskurahat parda hai pada rahney do
kaha hasil hamey koi khushio ki saugat mat puchho !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #572 on: May 27, 2005, 09:17:34 AM »
kyun tamanna karte hain hum khushian paane ki
kyun ghum ke saaye se ghabra jaate hain hum
khusiaan aati hain chand lamho ke liye lekin
ye ghum to zindagi bhar saath nibhaate hain
Logged
HumTum
Guest
«Reply #573 on: May 27, 2005, 09:22:20 AM »
bhula kar hume tum khush reh paaoge
saath mein nahi to mere jaane ke baad muskuraaoge
duaa hai uparwaale se ki tumhe kabhi dard na de
hum to seh gaye par tum toot jaaoge
Logged
Talat
Guest
«Reply #574 on: May 27, 2005, 09:24:31 AM »
toot gaye hain khwaab saare, aur unke saath hum bhi
aankhain khushk hain, lab pe hansi, magar rota hai dil ye
Logged
HumTum
Guest
«Reply #575 on: May 27, 2005, 09:28:57 AM »
dard hi reh gya hai dil mein baqi kuch nhi
yeh tere pyaar mein shugaat mili hai mujhey !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #576 on: May 27, 2005, 10:41:44 AM »
Titiliyaan..Khwaab..phool..sitaare...aur khushi
Ek dard kya mile hum to jeena hi bhool gaye !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #577 on: May 27, 2005, 10:43:58 AM »
jal gaye hai mere sab armaaN Aaj
kitni kkhush rang yeh raat ho gyi !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #578 on: May 27, 2005, 10:48:26 AM »
Andheri raaton main kai baar humne
Apne khwaab jala kar roshni ki hai !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #579 on: May 27, 2005, 10:51:54 AM »
dard ko bna ke marham apna
jeeney ki khishish ki hai !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #580 on: May 27, 2005, 10:54:42 AM »
dard marham bhi ban jaata hai lekin
zakhm ko kabhi bharne nahin deta !!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #581 on: May 27, 2005, 10:57:09 AM »
zakm bar bhi jaye lekin e' dost
ik nishaan sa bna rehta hai umr bhar !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #582 on: May 27, 2005, 11:01:30 AM »
Zakhm see kar jo chale raah-e-zindagi main
Wohi shakhs asal main kaamyaab hota hai !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #583 on: May 27, 2005, 11:03:26 AM »
uss kaamyabi ka bhi kya faida e'dost
jab dil mein khishi aur man mein umaang na ho !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #584 on: May 27, 2005, 11:09:18 AM »
Apni zindagi ko yoon barbaad nahin kar mere dost
Bana le doosro ko khushi dena apni zindagi ka maqsad
Logged
Pages: 1 ... 35 36 37 38 [39] 40 41 42 43 44
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:28:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer