....~~Deewangi~~....

by HumTum on April 14, 2005, 12:14:54 PM
Pages: 1 ... 39 40 41 42 [43] 44
Print
Author  (Read 22648 times)
nikki
Guest
«Reply #630 on: June 01, 2005, 06:39:37 PM »
bahut khoob.......both of u ...

yeh dil agar suhane khaab na sajata
to kya majaal thi kissi ki jo mere dil ko dukhata
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri deewangi by majid in Shayri-E-Dard
shayeri, awaargi, deewangi by samnoj in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Masoom Deewangi by javedarshad in Shayeri for Dard -e- Bewafai
mera deewangi ki intaha... by sagar_voski22@gmail.com in Shayri for Khumar -e- Ishq
Meri Deewangi. by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talat
Guest
«Reply #631 on: June 01, 2005, 06:45:53 PM »
Thanks Nikki...aur ek dam sach kaha hai..

yeh mera dil jo toota hai to qusoor hai apna hi
in raaston pe chalne se kyun na roka khud ko!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #632 on: June 01, 2005, 06:58:55 PM »
well said Talat sis......

zor agar chalta dil pe, to mana lete isse hum
fir na to koi dil ko dukhaata hamare, aur na hi hote aaj hamare daman mein gum
Logged
Talat
Guest
«Reply #633 on: June 01, 2005, 07:01:42 PM »
Thanks Nikki Ghalib ne sahi kaha hai...

Dil par zor nahin, hai ye wo aatish Ghalib
Ki lagaye na lage aur bujhaye na bujhe!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #634 on: June 01, 2005, 07:05:57 PM »
hmmmmmmm.......  ghalib  to such  hi  bolta  tha.......nice  nikki............talat..........................
Logged
nikki
Guest
«Reply #635 on: June 01, 2005, 07:08:24 PM »
thanx Waheed.....

yeh ishq nahi asaan....
soch kar kadam badhana
dhokar aisi lagegi...
fir mat pachtana
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #636 on: June 02, 2005, 12:12:24 AM »
kabhii Khaamosh baiThoge kabhii kuchh gun-gunaaoge
main utanaa yaad aaoongaa mujhe jitanaa bhulaaoge
Logged
HumTum
Guest
«Reply #637 on: June 02, 2005, 04:41:04 PM »
Quote from: "nikki"
bahut khoob.......both of you ...

yeh dil agar suhane khaab na sajata
to kya majaal thi kissi ki jo mere dil ko dukhata


Thanx Chooti ... i mean Nikki !!

dil pe kab kis ka zor chalta hai dost
yeh kissi ke rokey rokta to nhi !!

Logged
HumTum
Guest
«Reply #638 on: June 02, 2005, 04:42:55 PM »
Quote from: "Talat"
Thanks Nikki Ghalib ne sahi kaha hai...

Dil par zor nahin, hai ye wo aatish Ghalib
Ki lagaye na lage aur bujhaye na bujhe!!!


waah miyaaN ghalib ...

yeh kasii aag mein jal rha hoon ab tak
muhjhey to useey bhulaye zamana ho gya !!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #639 on: June 03, 2005, 10:31:26 AM »
bahut he khoob likha hain...pahele panne se is aakhri post tak
...
Talat ho ya Chotti...oh...Nikki...ya HumTum !!!
...
ek ajab silsila kahe gaye ho doston
baat kuch aise kar gaye ho doston
bhulaye nahi bhulte mitaye nahi mitte
mano khi dil ko patther bana aapne dastan kadh gaya ho
Logged
HumTum
Guest
«Reply #640 on: June 04, 2005, 09:42:58 PM »
Thanx Tosha !!!

tum kya jano shayer ka man kya hota hai
ik khali kaanch ka bartan kya hota hai
usse bichad kar usko hi aas-paas paya hai
ub samjha mohbbaton main milan kya hota hai
main apni aankhon main samandron ko mahsoos karta hoon
mujhse poocho ik aanso ka bajan kya hota hai
kabhi aakar mere ghar dekho
geela-geela kacha aangan kya hota hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #641 on: July 01, 2005, 11:07:44 PM »
yaNhaa har shakhs jaise, daraa daraa sa ha
zindaa, phir bhi kauf se maraa maraa sa hai

chaadar nahi kisi ki apney pairoN ke baraa-bar
halaat se pighalta, bas zaraa zaraa sa hai

marhum khatM ho chukey, zakhmoN ke zor se
har vaqt koi ek zakhm haraa haraa sa hai

na asar ab duaaoN meiN, na ibaadat meiN raha
khali hai daaman, aur jee bharaa bharaa sa hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #642 on: July 02, 2005, 12:29:27 AM »
wowwoowow!!!! kaya baat hai!!!! bahoot khoob HumTum ji...............................

Jisane yah dard diya, usko socha karati hu
jis dard mai nas nas gayal hai, us dard ko socha karati hu
jeevan ka arth jab marna hai
is jeevan ko socha karati hu
Logged
HumTum
Guest
«Reply #643 on: July 04, 2005, 09:03:12 AM »
waah ... Pooja ji very nice !!!

Lashq-e-jigar ne pilaaya humein yeh kaisaa jaam nasheeli
Chur-chur hue unke nigaahon me yeh anjaam kaisa hai

Jab door the tum toh itne nahi the,jab kareb ho toh itne nahi ho
Paakar bhi tumhe kho rahaa hoon, yeh vasl-e-yaar kaisa hai !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #644 on: March 17, 2006, 04:59:38 AM »
waah waah waah !!  bahut acche Humtum ji n Pooja ji !!


Na puch zalim ke tere baad meiney kitne zakhm kahye hai
Har pal kiya hai yaad tujhey khoon ke aansuu bhaye hai
Ik lifafa tere khat ka jo khola tha meiney aaj yun dafatan
Ankhein bhar aayi hai meri beete huye lamhe yaad aaye hai !!
Logged
Pages: 1 ... 39 40 41 42 [43] 44
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:49:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.183 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer