>>>Dehekti Chingaari<<<

by badnaam_shayar on August 31, 2006, 01:22:57 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2904 times)
badnaam_shayar
Guest
Sulag rahi hai Ciggeratte......
Aur hum jala rahe hai apne armaan......

Shayad pee rahe hai Khudi apni......
Aur Dil bann chuka hai Bejubaan......

Le laga le Do Kashh tu bhi aye Mohsin......
Ab bana ke uda de tu Zindagi sirf do chaar pal ka dhuaan......

Sulag rahi hai Ciggeratte.......
Aur hum jala rahe hai apne Armaan......

Jab na mili Khushian toh Kyu Dard se ho Ruswaa......
Badte ab jab Kadam Maut ki taraf hai.......
Toh kise Sunaye hum apna Kissa.......

Rukh badle hawa toh iski Raakh bhi Seenpar Raakh girr jaati hai.......
Na poochna kabhi humse ki teri Yaadon me hume kitna jalati hai........!!!!!!!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~Ek chingaari dil mein~ by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
chingaari.sheba by Sheba in Miscellaneous Shayri
ranjana
Guest
«Reply #1 on: August 31, 2006, 01:38:42 PM »
bahut khoob Gaurav .......

jo dil mein utar jaaye woh bahaar ab kahan
ek ciggrate ki tarah jalata hua sa hai dil yahan

kyu bikhar ke raha gaya hai yahan per dard mera
kya kisi ki aah ka hai dil per dhuaan !!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: August 31, 2006, 06:49:59 PM »
Thnx a lot Ranju.....kam se kam tumne toh pada Usual Smile

Aao aaj Badnaami ki ek aur Chingari jala de......
Bhuja de ab khud ko iss Dhuyein me......
Aur iss Dunia ko kuch likh kar apni Maujudgi ka ehsaas dila de.......

Jala ke Ciggerate apne Zakhm hum aaj Sulga de.....
Ro na jaye kahin woh baithi mere Dil me......
ISliye sara Dhuaan apni Aankhon se Guzaar de.......

Aao aaj Badnaami........................

Khud se nahi karte ab hum baatein......
Koi pooche toh ab apna har Raaz uske Chashm me saja de......

Jalne laga hai ab toh Kaleja bhi humara......
Bas ab thoda lahoo iss Jism me sukha de.......

Aur bas iss Dunia ko kuch likh kar apni Maujudgi ka ehsaas dila de.............!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: September 01, 2006, 04:33:08 AM »
zindagi ko gungunaane ki tamnaa hame bhi hai magar
kuch yeh dard atteet ke tham toh jaaye

bhare hue hain jo aankho mein ashq mere
woh kahi fir se koi chingaari ban ke na sulag jaaye !!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #4 on: September 06, 2006, 08:41:41 PM »
Quote from: "ranjana"
zindagi ko gungunaane ki tamnaa hame bhi hai magar
kuch yeh dard atteet ke tham toh jaaye

bhare hue hain jo aankho mein ashq mere
woh kahi fir se koi chingaari ban ke na sulag jaaye !!


yeh dard kaheen thikhane lagh jaye
hum zindagi ko phir se jeeya karein

yeh ansu ankhoin mein tham jaye
hum khwab tu dekha karein

yeh mohabbat ki pyaas mith jaye
hum apni saansein kayam karein :D:D:D
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: September 07, 2006, 06:50:05 PM »
Gaurav, Too good !!!

Ranju di and Anjani...bohot khhob !!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: September 08, 2006, 07:07:21 AM »
Thnx Talat.....and Nice One Anjani

Shayad kisi ne Sach hee kaha tha.....
ki Shayari me Insaan Dil ki baat keh jata hai.....

Koi Karta hai Pyar iss Jubaan se.......
Aur koi kuch likh ke Dil tod jata hai......

Hum bhi na samajh paye kabhi......
Unke Dil me kon Jagah banana Chahata hai,.......

Phirte rahe paaglon ki tarah unki Galion me.......
Na jaane yeh Paagal Dil aakhir kya chahata hai......!!!!!!!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #7 on: September 08, 2006, 07:54:32 AM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Thnx Talat.....and Nice One Anjani

Shayad kisi ne Sach hee kaha tha.....
ki Shayari me Insaan Dil ki baat keh jata hai.....

Koi Karta hai Pyar iss Jubaan se.......
Aur koi kuch likh ke Dil tod jata hai......

Hum bhi na samajh paye kabhi......
Unke Dil me kon Jagah banana Chahata hai,.......

Phirte rahe paaglon ki tarah unki Galion me.......
Na jaane yeh Paagal Dil aakhir kya chahata hai......!!!!!!!!!


good one gaurav ji..

shayed kisi ne sach hi kaha hai shayeri mein isaan dil ki baat likh jaata hai.
kyn ki dil ki gehraai se ye shabd nikalte hai.
ashq darshate hai dil ki majbooriya,
per haal dil ka ye shabd kehte hai.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #8 on: September 08, 2006, 03:37:05 PM »
Kaho Kati Patang ya Zindagi ki Dor toot gayi.....
Bichad gaya Karwaan aur hume jaise Nayi Manzil mil gayi......

Band Darwaje kismat ke aur jaise Jafa Hosh me mil gayi.....
Girr gaya Dil aur tum Sehera guzar gayi.....

Asmaan ro pada jaise hamara......
Aur Dushmano ki Kismat khull gayi.......

kaho Kati Patang ya Zindagi ki Dor toot gayi........!!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #9 on: September 08, 2006, 03:48:32 PM »
Kyu Jee yeh Zindagi....
Ab kya Khud par Rehem khaye.....

Sulag gaye Sab Armaan band bottle me.....
Ab kya Sharaab ko Nasha dilayein......

Jee nahi sakte binn unke....
Ab kya unhe Dil Cheer ke Dikhayein......!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #10 on: September 08, 2006, 04:20:07 PM »
DilJalo ki Mehfil me.....
Husn ka koi Raaz nahi.....

Hasta rahe Zamana Chahe.....
Par ab Badnaam ko kisi se Pyar nahi.....

Khilta hai phool Suraj ki aag me......
Toh kya Suraj jalata meri Raat nahi......

Hum jale tab paani mere paas nahi.....
Khatam karke sab ab woh kehte hai Tanhai hume bhi raas nahi......!!!!!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: September 08, 2006, 04:58:17 PM »
Main bhi tha Intezar main.....
Ki kabhi toh Wafa Darwaja mera khatkhatyegi......

Lipat jayegi jisse Zindagi meri......
Aur woh kabhi meri baahon me samayegi.....

Khato se nahi hum Lafzon se baat karenge.....
Jee naye jaye ab AShiQue Badnaam kahi.....
Uske marne ki hum khud Muraad karenge.....!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: September 12, 2006, 04:42:39 AM »
ajab hai aaj dil ka haal
ab unse hum kya kahe
yahi hai jo zindagi
toh ise zidnagi kaise kahe
dil ke aaeine mein hai surat unki
khud se hi nazar sharma jaaye toh kya kahe
dhoondate hain hum apni manzilo ko wahan
jahan se na mile uske ghar ka rasta toh kya kahe
bahut chaha ki chipaa le apne ashqo ko
haste haste aankh fir bhi bhar aaye toh kya kahe!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: September 12, 2006, 06:31:44 PM »
Quote from: "ranjana"
ajab hai aaj dil ka haal
ab unse hum kya kahe
yahi hai jo zindagi
toh ise zidnagi kaise kahe
dil ke aaeine mein hai surat unki
khud se hi nazar sharma jaaye toh kya kahe
dhoondate hain hum apni manzilo ko wahan
jahan se na mile uske ghar ka rasta toh kya kahe
bahut chaha ki chipaa le apne ashqo ko
haste haste aankh fir bhi bhar aaye toh kya kahe!!


Jo Dil me aaj mere Dehek rahe Angaare......
Karti nahi jo tu baat toh kyu karti yeh IShare......

Sitam ki hai Ghadi jo yeh Durian bahut hai......
Hum na honge Takleef bhi tujhe kyunki Duniawalon ki Majburian bahut hai.......

Uljha dunga harr ek ko uske hee Sawaal me.......
Kahenge na pocho humse kya rakha mere Jawaab me.....

Ranz Ranz se ab saji tu toh kal bhi Raat ayegi......
Simat jaa Sanam baahon me meri Ranjana Zindagi bann jayegi......!!!!!!!!!!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #14 on: September 13, 2006, 12:55:24 AM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote from: "ranjana"
ajab hai aaj dil ka haal
ab unse hum kya kahe
yahi hai jo zindagi
toh ise zidnagi kaise kahe
dil ke aaeine mein hai surat unki
khud se hi nazar sharma jaaye toh kya kahe
dhoondate hain hum apni manzilo ko wahan
jahan se na mile uske ghar ka rasta toh kya kahe
bahut chaha ki chipaa le apne ashqo ko
haste haste aankh fir bhi bhar aaye toh kya kahe!!


Jo Dil me aaj mere Dehek rahe Angaare......
Karti nahi jo tu baat toh kyu karti yeh IShare......

Sitam ki hai Ghadi jo yeh Durian bahut hai......
Hum na honge Takleef bhi tujhe kyunki Duniawalon ki Majburian bahut hai.......

Uljha dunga harr ek ko uske hee Sawaal me.......
Kahenge na pocho humse kya rakha mere Jawaab me.....

Ranz Ranz se ab saji tu toh kal bhi Raat ayegi......
Simat jaa Sanam baahon me meri Ranjana Zindagi bann jayegi......!!!!!!!!!!


doorh se manghti hoon teri salamati
karti hoon peeche se tumhe ishare

usse ishare mein koyi raaz chupa hota hai
mere dil ki baat usme dhaabhi hoti hai

aikh baar de dete mujhe samajhane ka maukha
tu sanam,,,hum kehlate nahi tumhare bewafa :D:D:D
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:46:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer