Dekha Hai 3_____________Baadal

by baadal102 on May 07, 2010, 07:11:51 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 945 times)
baadal102
Guest
Apno ko apno ke jajbaato se kehelte dekha hai,
Jhut sun sun ke sach ka katl hote dekha hai,

Nahi farq padta unhe ki kya gujeregi kisi pe,
Unhe to bas humne armano ko kuchalte dekha hai,

Lamha lamha dur hone ka dard sata.ta rehta hai,
Us doori ka humne faida unhe uthate dekha hai,

Kar ke sitam fir khate hai apno ki jhuti kasam,
Un kasmo ko humne hamesha tut.te hue dekha hai,

Farebi nahi hai hum fir bhi kehlate hai farebi,
Farebi keh hume us ko humne haste hue dekha hai,

Sambhali apni har khusi us sachi ibadat ke liye,
Khushia baant.te humne unhe gairo ke saath dekha hai,

BAADAL to le jaayega apna sab dard khud mai samet ke,
Lakin iss dard mai humne bahuto ko jalte dekha hai,

 
Lakin iss dard mai humne bahuto ko jalte dekha hai.....






Baadal
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tumko dekha hai dekha hai jab se by tushar in Shayri for Khumar -e- Ishq
dekha by majid in Shayari -e- Husn « 1 2  All »
Dekha… by maya01 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
dekha by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dekha Aaj Jab Tujhko Dekha......... by Nikhaar in Ghazals « 1 2  All »
riyaz106
Guest
«Reply #1 on: May 07, 2010, 11:20:15 AM »
Bahot khoob Baadal ji. Bahot dard bhari poem likhi hai aapne.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: May 07, 2010, 11:05:30 PM »
Bahut khoobsurat ghazal likhi hai aapne Baadal ji. Bahut dard hai isme. Dard ek ek shabd me jhalak raha hai. Hamaare dil ko chhoo gayi aapki ye kavita. Bahut achcha likha hai aapne. Bahut khoob....

Clapping Smiley

kabhi kisi se ye shikayat nahi karte ki tanha hai hum,
aaye the is jahaan me tanha, tabhi tanhaayi ka ghum nahi karte,
shikayat to bas itni hai ki kuch pal ka saath q diya,
jaana tha to aaye hi kyun, varna hum jhooti ummeed to na karte,
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: May 08, 2010, 12:38:59 AM »
Bahut khoob Baadal Ji
Logged
baadal102
Guest
«Reply #4 on: May 08, 2010, 12:42:16 PM »
bahut bahut sukria Riyaz ji

Klaskar ji

N

Harish ji
notworthy
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: May 08, 2010, 07:33:59 PM »
Bahaut dard aur thoda sa gussa dekha hai...maine iss nazm main apki Baadal..aj dil udaas hai aur apki nazm parrke toh bas maza agaya...kehne ko toh bahaut hai mere pas mager bas itna kehna chahta hoon... Applause Applause Applause Applause
Logged
baadal102
Guest
«Reply #6 on: May 09, 2010, 02:28:37 PM »
bahut bahut sukria rahim ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: May 09, 2010, 05:09:25 PM »
Bahut khoobsurat ghazal likhi hai aapne Baadal ji. Bahut dard hai isme. Dard ek ek shabd me jhalak raha hai. Hamaare dil ko chhoo gayi aapki ye kavita. Bahut achcha likha hai aapne. Bahut khoob....

Clapping Smiley

kabhi kisi se ye shikayat nahi karte ki tanha hai hum,
aaye the is jahaan me tanha, tabhi tanhaayi ka ghum nahi karte,
shikayat to bas itni hai ki kuch pal ka saath q diya,
jaana tha to aaye hi kyun, varna hum jhooti ummeed to na karte,

Dil ki baat kehdete ho Dost... Applause
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #8 on: May 10, 2010, 04:47:32 AM »
bohat bohat khoob baadal ji. bohat dard likha hai aapne. bohat achchhi peshkash.... Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: May 10, 2010, 10:13:31 AM »
Shukriya Dost...!!!

Dil ki baat kehdete ho Dost... Applause
Logged
baadal102
Guest
«Reply #10 on: May 11, 2010, 12:22:44 PM »
bahut bahut sukria suarabh ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:18:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.393 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer