DEKHTE HI UNKO MERI NAZRON KA THAHAR JAANA,
KHWAB PAANE KE UNKO, DIL MEIN TAMAAM AATE HAIN.
WO ADA WO MIZAAJ WO NAZAR KI HAD HI BAS,
TASAVVUR BHI SABHI MERE UNKE NAAM AATE HAIN.
KAR AAYE HAAL-E-DIL BAYAAN BE-KHAUF TABEEYAT SE,
AB DEKHTE HAIN ISKE KYA ANJAAM AATE HAIN.
HAR SHAQS BE-SUDH MILA UNKE NASHE SE HI,
PAR APNI KISMAT MEIN TO KHAALI JAAM AATE HAIN.
LE KE ABHI ARMAANON KO SAATH CHALTE HAIN,
BUJHTE CHIRAAG HAIN LEKIN SAFAR MEIN KAAM AATE HAIN.
HO HAR JAGAH JISKI SHQSIYAT KA CHARCHA,
WAFADAARI KE US PAR HI SAB ILZAAM AATE HAIN.
AAJ MAHAUL HAI, WO BHI HAIN, HAIN HUM BHI FURSAT SE,
DEKHE FIZA MEIN RANG KYA IS SHAAM AATE HAIN.
JUDAAI KE LAHZE KO BHI DEKHA GAYA UNME,
JO MILNE KE UNKI OR SE PAIGHAAM AATE HAIN.
ROZ KAHNA AAJ UNKO BHOOL JAAYENGE AUR,
KAR KE AANKHON KI NAMI KA KHUD INTZAAM AATE HAIN.
GUZAARA HO KAISE LOG KAHTE HAIN IS MAHFIL SAJAAYI SE,
DEKHO ‘TANHA’ APNE SHERON KE KYA DAAM AATE HAIN.
-----TANHA(SAURABH)
BAHUT KHOOB BAHUT HI UMDA AUR HAR BAAR KI TARAH
ISS BAAR BHI LAJAWAAB KALAAM NAZAR KIYA AAPNE...
KOSHISH KAR RAHE HAI AAPKE HI ANDAAJ ME JAWAAB
DENE KI GUSTAKHI MAAF HO...
"KEHTE HAI LOG WO HASTE HAI BAHUT JAB KOI UNPE
JAAN NISAAR KARTA HAI,
DEKHTE HAI HAMARE MARNE PE KITNE UNKE HOTHON PE
KHUSHI KE AAYAM AATE HAI,
DUNIYAA NE HAR PAL KI BEWAFAYI AUR HAMNE HAR BAAR
BAAT WAFA KI HAI,
DEKHTE HAI AAJ BHARI MEHFIL ME WAFA AUR BEWAFAYI KE
KYA INAAM AATE HAI,
U TO DOSTO NE HAR WAQT PE SAAYA BANAYE RAKHA DUAYO
KA,DEKHTE HAI PHIR BHI KITNE GAMMO KE AASMAAN AATE
HAI,
UNKI MEHFIL ME AATE HONGE BESHAK LAAKH MEHMAAN ROZ,
AAJ BULAWA HAMNE UNHE BHEJA HAI DEKHTE HAI KAB WO
ISS AASHIQ KE GHAR BANKE MEHMAAN AATE HAI.
SHALLY.