derd ke ird gird

by samnoj on June 18, 2005, 11:53:42 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Author  (Read 4581 times)
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
kagaz per nazar aati hai ye siskiyan kis ki
koun sa hai derd wo, jo, ird gird rehta hai

ye shabd lete hai talashi kis ki aahat ki
ki koun hai lafzo me jo yu khamosh rehat hai

ek kachchi khawaish hai justaju ki kaid me
ki zubaan per koi adhpaka sa sawaal rehta hai

kerte hai aansu guftagu lafzo ke nukhto se
ki koun hai jo boond me ye samaya rehta hai

udhde pade hai lafz kai khud tees se apni
phir koun hai jo charcha ye sar-e-aam karta hai

deti nahi mohlat yaha jeene ko zindagi
phir koun hai jo surat badal ker nayi shakal leta hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zikr us derd ka by samnoj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
ae derd zra mary pas aa by aankhain in Shayri-E-Dard
derd by ROMEY in Shayeri for Dard -e- Bewafai
naya derd do mujko by chitralsony in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Derd Bhari Shayari by IndianaElsewhere in Shayri for Dard -e- Judai
dolly
Guest
«Reply #1 on: June 18, 2005, 11:55:51 AM »
wah bahut achha.....Samnoj ji........................really nice..........
Logged
sanya310
Guest
«Reply #2 on: June 18, 2005, 11:56:44 AM »
wow nice samnoj, bohot hi umda likha hai..


Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,

Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata,

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,

Main Apne Hi Uljha Hua Raho Ka Tamasha,
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,

Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata ..

nm
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #3 on: June 18, 2005, 12:04:12 PM »
thanx dolly n sanya
bahut ache sanya

ye hawa meri nahi to kya
ek saans mujhe lene to do
ye raah meri nahi to kya
ek aas bandhi rahne to do

derwaze bache nahi kahi
rishte bandhe nahi kahi
kuch bhi nahi hai ab bacha
itna mujhe kahne to do

mana ki sukh nahi mile
mana ki sapne nahi rahe
tute tute hi sahi
mujhe inhe uthane to do

mehfil me zikr nahi raha
dilo me naam nahi bnacha
dhundla dhunmdla sa sahi
mujhe khud se milne to do

bujh gayi hai raah saari
bachi nahi zindagi zara bhi
marti hui is zindagi ko
mujhe kahi dafnane to do
Logged
dolly
Guest
«Reply #4 on: June 18, 2005, 12:13:21 PM »
again very very nice one...Samnoj ji...........

yeh raasta jaata hai maut ki taraf
mujhe bhi aaj iss dost se milne to do..
kitni laashein rehti hain kabron mein..
mujhe bhi kisi kabr mein jeene to do....
Logged
sanya310
Guest
«Reply #5 on: June 18, 2005, 12:16:52 PM »
bohot khoob...
sam n dolly..

har chehre ko tu samjhke ye dil rokta hai
har dilwale se ye dil ehsaan maangta hai
iss qadar tere na hone se zamana tokta hai
ke ab aaina bhi meri pehchaan maangta hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #6 on: June 18, 2005, 12:17:40 PM »
Bohat hi khoob Samnoj.....& ..Sanya.......
Logged
dolly
Guest
«Reply #7 on: June 18, 2005, 12:19:24 PM »
Thanx sani....n Bahut achha likha hai....yaara......
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #8 on: June 18, 2005, 12:19:42 PM »
thanx dolly n sanya
aap don ne bhi bahut acha likha hai

meri tamannao ka katl-e-aam hone do
wardaat aaj ye bhi ser-e-shaam hone do
tum apne daman ko mehfooz rakho dost
mera kya hai, tum mujhe badnaam hone do
Logged
sanya310
Guest
«Reply #9 on: June 18, 2005, 12:23:43 PM »
wah sam kya baat hai..bohto achha likha hai..


hum tow akele jiye ja rahe the
saath wo aaye khawab dikhaye
ishq hum se kah kar fir wo bewafai uski
jahan mein ishq hi fareb hai

wo muskurahat wo najaron ke jaam
wo apnapan wo wade tamanam
wo hum safar ban ne ki kasamien khana
jindagi ka safar hi fareb hai

kaash tanhaai mein jeena seekh lete
yoon tanahaiyon mein bhi ham tanha tow hote
uski yadein liye yoon siskate hue
mar mar kar jeena jeena hi fareb hai
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #10 on: June 18, 2005, 12:28:47 PM »
bahut ache sanya . .
shayed unhe meri ab zaroorat nahi rahi
warna mujhe palat ker wo dekhte kabhi zaroor

yaadon me unki, meri, ab saanse nahi rahi
aankho se apni warna wo bahte kabhi zaroor

wo honge khush waha per nahi honge dukh se choor
warna wo haal apna sunate mujhe zaroor

nahi honga naam mera kabhi unki zubaan per
warna wo bhool se hi bulate mujhe zaroor

nahi hoga unhe mere dil pe aitbaar
warna wo ek mouka dete mujhe zaroor
Logged
dolly
Guest
«Reply #11 on: June 18, 2005, 12:36:38 PM »
Bahut khoob Sani.....n Samnoj ji....................................
Logged
sanya310
Guest
«Reply #12 on: June 18, 2005, 12:40:00 PM »
very nice sam..

karte rehte hain unka intezaar hum
jabki iss dil se ab raha jaata hi nahi

aansu chhupane ki koshish karun to bhi
dil se aur dard ab saha jaata hi nahi

ummeed liye baithe hain, dard ka ehsaas hojaye
par rulaakar maafi maangna unhe aata hi nahi

karte rehte hain humse wo laakh vaade
jabki ekbhi vaada nibhana unhe aata hi nahi
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #13 on: June 18, 2005, 12:46:31 PM »
thanx dolly n sanya
bahut khoob sanya

wo dour wo suhana manzer chala gaya
rukhsat hoker gher se dilber chala gaya

rasta jisne dikhaya tha mayusiyon me mujhe
meri zindagi se wo rahber chala gaya

manzil milne ke ab aasaar nahi hai
haath chuda ker mujhse humsafer chala gaya

uske jaane se ye mehsoos ho raha hai
jism se jaan seene se dil-o-jiger chala gaya

kuch bhi jachta nahi dil kahi lagta nahi
sukoon dil se ker ke benoor-o-nazer chala gaya

akela gaya hai per saath le gaya rounake
jaate jaate udaas ker ke saara shaher chala gaya
Logged
sanya310
Guest
«Reply #14 on: June 18, 2005, 12:50:25 PM »
wahh nice one again...

chalte chalte ye kahan aagaye hum
vaapas lautne ka ab koi raasta hi nahi
kyun fikr kare ab raaste ki bhi hum
jabke zindagi se ab koi vaasta hi nahi..
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:05:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer