derd ke ird gird

by samnoj on June 18, 2005, 11:53:42 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Author  (Read 4588 times)
bond
Guest
«Reply #45 on: June 24, 2005, 11:56:27 AM »
bahut achhe sammy n sanya............

sitare bhi raat bhar unki raah takte rahe....
annsu bhi raat bhar aankhon se baraste rahe...
aata hai gum dene mein mazaa iss qadar  "RAJ"
woh tarasate rahe  aur hum yu hi taraste rahe
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zikr us derd ka by samnoj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
ae derd zra mary pas aa by aankhain in Shayri-E-Dard
derd by ROMEY in Shayeri for Dard -e- Bewafai
naya derd do mujko by chitralsony in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Derd Bhari Shayari by IndianaElsewhere in Shayri for Dard -e- Judai
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #46 on: June 24, 2005, 11:56:40 AM »
dil ki dunya basao to baat bane
labo per tabassum sajao to baat bane
shaam dhalte hi chale aao chat per
derd judai ka mitao to baat bane
Logged
sanya310
Guest
«Reply #47 on: June 24, 2005, 11:59:31 AM »
thnx bond..



teri mohobbat ki koi keemat nahi hai
har kisiko yahan, bas lena hi aata hai
Duniya se koi vasta nahi ab tera 'sanya'
har koi tujhe dukh dena hi chahta hai
Logged
bond
Guest
«Reply #48 on: June 24, 2005, 12:02:07 PM »
bahut achhe .....sammy n sanya....

deta raho sabko mein pyaar
par mujhey kabhi pyaar na mila
dhunda meine zamane bhar mein"RAJ"
tere dard se achha mujhey yaar na mila
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #49 on: June 24, 2005, 12:02:49 PM »
tere intezaar me baitha hu muddat se
mager marhoom hu deed ki lazzat se
tera naam dil se mitaye nahi mit ta
tum ko chaha hai itni shiddat se
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #50 on: June 24, 2005, 12:06:05 PM »
Nice Ones Samnoj, Sanya & Bond......
Logged
bond
Guest
«Reply #51 on: June 24, 2005, 12:07:01 PM »
bahut achhe.......

woh aaya nahi milne ko ek muddat se
hai pareshaan ishq husn ki iss adat se
dekhkar deewano ki halat kehta hai "RAJ"
dard hi milta hai iss tarah ki ibadat se
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #52 on: June 24, 2005, 01:22:56 PM »
nice one all ...........!!! bahut khoob...........!!!
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #53 on: June 25, 2005, 10:26:51 AM »
thanx aryaan, salma n bahut ache bond

chand kaliyaan nishat ki chunker
muddato mah-wo-yaas rahta hu
tera milna khushi ki baat sahi
tujh se milker udass rahta hu
Logged
bond
Guest
«Reply #54 on: June 25, 2005, 12:39:04 PM »
thanks  Rani sahiba...aur bahut khoob sammy....

teri judai mere gum ka karan hai
tera milna meri khushi ka karan hai
tu jab na mile tab bhi barse saawan hai
miley tab bhi aankh se barse sawaan hai
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #55 on: June 25, 2005, 12:44:09 PM »
good one bond

haatho se juda hoker wo
aankho se wida nahi hote hai
honto pe sada rahte to hai
per honto se bayan nahi hote hai

kis baat ko leker baat karu
her baat me wohi rahte hai
bhale karu na main zikr unka
per fiker me wo hi rahte hai

kyun ponchu main in aansuo ko
her boond me wo rahte hai
inhi bahano ke zariye
wo saath mera dete hai

bhale jhooti ye aas sahi
per sach hai ki hum sahte hai
sab log hai kahne ko apne
phir bhi tanha hum lagte hai
Logged
bond
Guest
«Reply #56 on: June 25, 2005, 12:54:09 PM »
AWSOME   HAI SAMMY......mast hai

dekhu mein jahan bhi janib
harsu woh hi dikhte hain...
manzil hai woh, ye soch hum
har kadam apna rakhtre hain

 jindagi likhi huyi hai hantho mein meri
kyun nahi woh inn lakeero mein dikhte
zamane ki nazro ne zuda kar diya hume aaj..
aab to unhe bas dil mein basa kar rakhte hain
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #57 on: June 25, 2005, 12:57:20 PM »
thanx n good one bond

aansu ke zariye sahi wo ankh me to rahte hai
bahte nahi to kya hua wo aankh me tahre hai

bhale hi chot hai purani, bhale hi ghaav hai purana
per zakhm ke zariye hi sahi wo jism se jude hai
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #58 on: June 25, 2005, 12:58:35 PM »
Quote from: "samnoj"
kagaz per nazar aati hai ye siskiyan kis ki
koun sa hai derd wo, jo, ird gird rehta hai

ye shabd lete hai talashi kis ki aahat ki
ki koun hai lafzo me jo yu khamosh rehat hai

ek kachchi khawaish hai justaju ki kaid me
ki zubaan per koi adhpaka sa sawaal rehta hai

kerte hai aansu guftagu lafzo ke nukhto se
ki koun hai jo boond me ye samaya rehta hai

udhde pade hai lafz kai khud tees se apni
phir koun hai jo charcha ye sar-e-aam karta hai

deti nahi mohlat yaha jeene ko zindagi
phir koun hai jo surat badal ker nayi shakal leta hai


Very nice
Logged
bond
Guest
«Reply #59 on: June 25, 2005, 01:03:12 PM »
GOOD ONE SAMMY.....

khuda karey ke tera diya jakhm nasoor ban jaye...
jakm ke bahane hi sahi, tu mujhse door na jaye...
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 01:14:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer