Dhoke Kis Tarah Khaaye Humne,.

by Jaanasheen on February 24, 2008, 03:15:49 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 6571 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Ab ye Hoga Shayad Apni Aag mein Khud Jal Jaayenge,.
Tum Se Door Bahoot Rehkar Bhi Kya Paya, Kya paayenge,.

Dukh Bhi sachche Sukh Bhi Sachche, Phir Bhi Teri Chahat Mein,.
Humne Kitne Dhoke Khaaye, Kitne Dhoke Khaayenge,.

Akhal Pe Humko Naaz Bahoot Tha, Lekin Ye Kab Socha tha,.
Ishq ke haathon Ye Bhi Hoga, Log Hume Samjhaayenge,.

kal ke Dukh Bhi Kaun Se Baakhi Aaj Ke Dukh Bhi kayi Din Ke,.
Jaise Din Pehle Kaate The, ye Bhi Din Katt Jaayenge,.

__________________________________-Ahamed Hamdani-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aksar Dhoke Naseeb Hue,. by Azeem Azaad in Ghazals « 1 2  All »
dhoke se badi by 19deepak94 in Miscellaneous Shayri
dhoke baz yaar by nadia brohi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
har mod par milenge tughko yaha par dhoke by jeet jainam in Miscellaneous Shayri
Dhoke Khaaye Bohat Hain,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Pankhuri2
Guest
«Reply #1 on: February 24, 2008, 03:19:01 PM »
bahoot khoob lil bro..... yah line bahoot hi achi lagi...


Dukh Bhi sachche Sukh Bhi Sachche, Phir Bhi Teri Chahat Mein,.
Humne Kitne Dhoke Khaaye, Kitne Dhoke Khaayenge,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: February 24, 2008, 03:53:52 PM »
Very nice sharing Azeem
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #3 on: February 24, 2008, 04:30:13 PM »
Dekhiye zindagi mein jaise hum samajhne lagte hai duniya ko,
jaise pahechanne lagte logo ko waise hi hume kuch dhoke ho jate hai, waise hi kuch log mil jate hai, shayad aapko pata na tha ki dhoke kya hote hai , isliye logo ne woh bhi kar dikha diye , aapko pyaar or dhoke matlab sikha diya or shayad zindagi ne aap ko jeena sikha diya ki hume kis tarha dhoke baad guzarni hai zindagi or dhokebaazo ko thikana lagana kiss tarha se..............
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #4 on: February 24, 2008, 04:33:52 PM »
Ye na samjhiyega ki zindagi aapki dhoke baad kuch nahi
dost hai hum hume kab yaad karoge jab waqt hoga aisa kam,
kabhi is dost ko bhi yaad rakhiye chahe kitne arse na ho jaye,
hum apni dosti nibhayenge hum hai un jaise ki ek baar dosti kiya toh boor ho gaye toh dusra apna liya ..............samjhe........
       **************************Muskan***********************
Logged
diya786
Guest
«Reply #5 on: February 25, 2008, 02:17:38 AM »
bahut khoob azeem aapki likhi shayari ne ek baar phir hume
bealfaaz kar diya ...
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #6 on: February 25, 2008, 10:59:38 AM »
wo halato k aage dar gaye

pyar apna khud hi ruswa kar gaye

bane the majhi meri kashti k wo

mujhko tufano k hawale kar gaye

itna hi ehsaan aapka kam nahi

aap apna haq to ada kar gaye

yaad na kar un chand lamho ko "BHAWNA"

wo khwab hi the jo tut kar bikhar gaye[/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: February 25, 2008, 03:43:57 PM »
Lil bro and Bhawana bahoot khoob!!
 Bhawana apka Yoindia mai sawagat hai!!

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: February 27, 2008, 09:28:55 AM »
Shukriya Diya Ji,.
Talat JI,.
Pankhuri Sis,.
Pooja Sis,.
And Nice One Bhawna Ji,.
And Welcome To Yoindia,. Grin
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: February 27, 2008, 09:31:54 AM »
Maloom Jab Hua Ke Dhoka Diya Unhone Hume,.
Hum Khud Dhoke Par Taras Khaake Uske Hogaye,.

________________________________-Jaanasheen-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 27, 2008, 09:42:50 AM »
Uski Hasrat Hai Jise Dil Se Mitaa Bhi Na Sakoon,.
Dhoondne Usko Nikla Hoon Jise Paa Bhi Na Sakoon,.

Daal Kar Khaak Mere Khoon Pe Qatil Ne Kaha,.
Kuch Ye Mehandi Nahi Meri Ke Mitaa Bji Na Sakoon,.[

Zabt Kambakht Ne Aur Aaake Gala Ghonta Hai,.
Ke Use Haal Sunaaoon To Sunaa Bhi Na Sakoon,.

Uske Pehlu Mein Jo Lejaa Ke Sulaa Doon Dil Ko,.
Neend Aisi Use Aaayi Ke Jagaa Bhi Na sakoon,.

Bewafa Likhte Hain Wo Apne Kalam Se Mujhe Ko,
Ye Wo Kismat Ka Likha Hai Jo Mitaa Bhi Na Sakoon,.

Is Tarah Soye Hain Sar Rakh Ke Mere Zaanon Par,.
Apni Soyi Hui Kismat Koi Jagaa Bhi Na Sakoon,.

_______________________________-Ameer Minaai-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: February 28, 2008, 09:21:28 PM »
nice sharing lil bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: March 02, 2008, 12:40:36 PM »
Shukriya Didi,.
Aapne Kyun Nahi Likha,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: March 02, 2008, 12:46:43 PM »
Dhoke Sab Khaaye Humne Aitbaar Karke,.
Mili Hai Sazaa Ye Dekho Kaise Pyaar Karke,.

Roka Karte The Log Safar-e-Ishq Karne Se Pehle,.
Humne Hi Kaha Tha Dekheinge Hum Ishq Ki Gaadi Me Sawaar Karke,.

_____________________________-Jaanasheen-
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #14 on: November 28, 2008, 09:32:49 AM »
Uski Hasrat Hai Jise Dil Se Mitaa Bhi Na Sakoon,.
Dhoondne Usko Nikla Hoon Jise Paa Bhi Na Sakoon,.

Daal Kar Khaak Mere Khoon Pe Qatil Ne Kaha,.
Kuch Ye Mehandi Nahi Meri Ke Mitaa Bji Na Sakoon,.[

Zabt Kambakht Ne Aur Aaake Gala Ghonta Hai,.
Ke Use Haal Sunaaoon To Sunaa Bhi Na Sakoon,.

Uske Pehlu Mein Jo Lejaa Ke Sulaa Doon Dil Ko,.
Neend Aisi Use Aaayi Ke Jagaa Bhi Na sakoon,.

Bewafa Likhte Hain Wo Apne Kalam Se Mujhe Ko,
Ye Wo Kismat Ka Likha Hai Jo Mitaa Bhi Na Sakoon,.

Is Tarah Soye Hain Sar Rakh Ke Mere Zaanon Par,.
Apni Soyi Hui Kismat Koi Jagaa Bhi Na Sakoon,.

_______________________________-Ameer Minaai-



nice sharing janasheen ji


mohobbat ki raahon ka bas yahi mukaam hota hai
jiski talaash ho najar ko wahi dil se juda hota hai

hui jab mohobbat hamei bhi tab jaan paaye ye ham
jo nibhana chaahe wafaa wahi to bewafaa najar mei sabki hota hai

Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:16:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer