Dhoondta hoon~~~ Saahil

by salil2002 on June 01, 2009, 11:26:51 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1730 times)
salil2002
Guest
doston yeh ek aise musafir kii kahaani hai jo zindgi meinchalta gaya jab ruka toh socha kii kya chhoot gaya...shayad aapko pasand aaye

in darakhton par ukere huye naamon ko dekhta hoon
toh apne haathon se likhe tere naam ko dhoondhta hoon

aaj bahut waqt hua mujhko tanha huye
mein aaj apni duniya main tera ehsaas dhoondta hoon
woh waqt ka daur tham gaya jab tum pahle mein rehte thay
aaj mein teri tasveeron mein yaadon ka bikhra samaan dhoondta hoon

jaane kya wajah rahi teri chale jaane kii
kabhi maine roka nahin , kabhi tujhse poochha nahin
aaj jab waqt k is mod par kadam ladkhate hain
toh apne haathon mein tere haath dhoondta hoon

teri majboori rahi hogi kucch toh
magar mere dil ne poochhne kii izazat na di
aaj jab saawalon k katghare mein gherte hai jawaab
toh apne bhi kucch sawaalon k jawaab dhoondta hoon


kat gaya yeh safar tanha ,jis par saath chalna tha
magar is baat kii bhi shikayat na huyi
aaj jab band ho rahi hai aankhen  "Saahil' Kii
toh apne saath chalne walon k nishaan dhoondta hoon
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kab Se Usko Dhoondta Hoon,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
ASHQ LE K BEITHA HOON~~~ SAAHIL by salil2002 in Shayri-E-Dard
dard chhupaata hoon ~~SAAHIL by salil2002 in Ghazals
main anjaan hoon~~~ SAAHIL by salil2002 in Ghazals « 1 2  All »
saahil hoon magar kinare Se dhoor hoon by saahill in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #1 on: June 01, 2009, 12:52:24 PM »
Bahut khoob likha hai Salil Ji
Wah wah
SARVESH RASTOGI
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: June 07, 2009, 06:46:08 AM »
doston yeh ek aise musafir kii kahaani hai jo zindgi meinchalta gaya jab ruka toh socha kii kya chhoot gaya...shayad aapko pasand aaye

in darakhton par ukere huye naamon ko dekhta hoon
toh apne haathon se likhe tere naam ko dhoondhta hoon

aaj bahut waqt hua mujhko tanha huye
mein aaj apni duniya main tera ehsaas dhoondta hoon
woh waqt ka daur tham gaya jab tum pahle mein rehte thay
aaj mein teri tasveeron mein yaadon ka bikhra samaan dhoondta hoon

jaane kya wajah rahi teri chale jaane kii
kabhi maine roka nahin , kabhi tujhse poochha nahin
aaj jab waqt k is mod par kadam ladkhate hain
toh apne haathon mein tere haath dhoondta hoon

teri majboori rahi hogi kucch toh
magar mere dil ne poochhne kii izazat na di
aaj jab saawalon k katghare mein gherte hai jawaab
toh apne bhi kucch sawaalon k jawaab dhoondta hoon

kat gaya yeh safar tanha ,jis par saath chalna tha
magar is baat kii bhi shikayat na huyi
aaj jab band ho rahi hai aankhen  "Saahil' Kii
toh apne saath chalne walon k nishaan dhoondta hoon

Wah wah...Saahil dear... bahut bahut accha likha hai aapne.
Very tochy lines...  Thumbs UP
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: June 07, 2009, 07:21:51 AM »
Really Salil Bhai.. Ek ek Lafz se Dard Bayan ho raha hai.. Is Rachna ko Bhi Jo Padhega Dost.. use Kahin Na Kahin Yeh apni si Kahaani Lagegi.. Bahut Bahut Khooooooooooooooooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: June 07, 2009, 12:52:40 PM »
BOhat Khoob Sahil Bhai, Bohat Achche, Har Baar Ki Tarah,.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #5 on: June 09, 2009, 07:40:10 AM »
Bahut khoob likha hai Salil Ji
Wah wah
SARVESH RASTOGI
Wah wah...Saahil dear... bahut bahut accha likha hai aapne.
Very tochy lines...  Thumbs UP

Really Salil Bhai.. Ek ek Lafz se Dard Bayan ho raha hai.. Is Rachna ko Bhi Jo Padhega Dost.. use Kahin Na Kahin Yeh apni si Kahaani Lagegi.. Bahut Bahut Khooooooooooooooooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**
BOhat Khoob Sahil Bhai, Bohat Achche, Har Baar Ki Tarah,.
thanks roja,mann bhai,azeem bhai and sarvesh bhai
Logged
aaina
Guest
«Reply #6 on: June 09, 2009, 12:03:19 PM »
very nice sahil
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: June 09, 2009, 02:47:56 PM »
shukriya aslam bhai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: June 09, 2009, 02:52:23 PM »
Bahut Bahut Khoob Salil Bhai..

Bahut Dard Chupa Tha Iss Nazm Mein..Bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: June 09, 2009, 02:58:20 PM »
shukriya khwahish bhai
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: June 10, 2009, 09:14:05 PM »
Bohot hi khoob....bohot dard hai is nazm main tumhari Saahil  Applause Applause Applause
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: June 13, 2009, 06:37:27 AM »
thanks a lot di
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:04:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer