Dikhaai nahi dete...

by Ravi_Dave on March 27, 2007, 08:37:28 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1897 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #15 on: March 30, 2007, 08:21:12 PM »
Bahut-Bahut khooooob TALAT JI aur RAVI JI.. Behad khubsoorat mehfil sajaaye hai aap dono ne... Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaadon ko apne dil se mita kion nahi dete by safina786 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
pareshan khud ko hone nahi dete by mamta bajpai in Share: Poetry of Pain
Lafzo.n ko kaaghaz pe bitha kyu.n nahi dete.......... by vipul kumar in Ghazals
Awaz nahi dete by Sunil Malhotra in Shayri-E-Dard
Dikhai Nahi Dete by Er AK in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ravi_Dave
Guest
«Reply #16 on: March 31, 2007, 08:02:56 PM »
Shukriya PoojaJi and VickyJi!

Bohat Khoob TalatJi!

Waqt har zakhm bhar deta hain,
Har tanha shaam ke baad, ek nayi sahar (morning) deta hain,

Saaya guzare pal ka nahi jaata,
yaad karne par, anskh ubhar deta hain,

Kaun khaffa nahi hain, uske beete huve dinon se,
Har aadmi sirf sharmindagi se, munh (face) fair (turn) deta hain,

Absos (regret) hain ke humara naam unse kabhi jooda tha,
Jo humse pehle, humare dushman ko, pyaar udhar deta hain,

Nahin phir se karni unse guft-a-goo,
Jiska gussa, phir humein bewafaa kar deta hain!
Logged
pushp24
Guest
«Reply #17 on: April 01, 2007, 03:19:11 PM »
wah ravi ji bilkul sahi kaha hai...
2nd our last stanza to bahut hi khoob hai...
is par ek koshish apni bhi...

khafa to hum bhi hain apne beete hue dinon se,
ke hum bhi kabhi pyaar kiya karte the...

apni baaton, apni yaadon, apni saason me,
jikr unka har baar kiya karte the...

ek waqt ye hai ki har jakham nishani hai unka,
ek waqt wo tha jab marahm wo har baar diya karte the...

ab our nahin chaahte hum unse guft - goo,
jinse batein hum kabhi hazaar kiya karte the...

kya batayen us bewafa ko, ki kya paya humne pyaar karke,
bas wohi intzaar, jo hum har baar kiya karte the...

khafa to hum bhi hain apne beete hue dinon se...
ke hum bhi kabhi pyar kiya karte the...
[/size]
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: April 01, 2007, 03:33:26 PM »
Quote from: "_Vicky_"
Bahut-Bahut khooooob TALAT JI aur RAVI JI.. Behad khubsoorat mehfil sajaaye hai aap dono ne... Usual Smile


Thanks a lot Vicky Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: April 01, 2007, 03:38:55 PM »
Thanks again Ravi...and a good one...Nice Pushp !

Andheron ka sa gumaan hota hai jisme, ye kaisi sehar hai
Raat ki syaahi main jiska intezar tha, kya ye wohi sehar hai ?

Milte hain log apne chehron par ek naya chehra laga kar
Dhoondne se bhi nahin mile jahan ulfat, ye kaisa shehar hai

Jaane kis manzil ki talaash thi hum ko, kahan aa nikle hain hum,
Patharon se banayi hui, kaanton se bichaayi hui ye rehguzar hai !!
Logged
pushp24
Guest
«Reply #20 on: April 01, 2007, 04:10:24 PM »
thanks talat ji.... and nice one from you again....

tha intzaar jiska raat ki siyahi mein, haan ye wohi sehar hai...
har pal hain jakham jahan our dard ki nayi lehar hai...

dil ko ho gaya yakin ab in raahon ki sazaavat pe,
ye ashkon se sajaee hui , kanton ki dagar hai...

thak chuke hain ab in raahon pe chalte_chalte,
ab to wo de de sanam, jo tere paas thodi si zehar hai...
.
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #21 on: April 09, 2007, 12:16:10 PM »
Shukhriya TalatJi and PushpJi, aap dono ne bohat acha likha hain, Sorry i dnt knw hw to do the Screenshots!

Naa oolat naqaab chehre se, ke uspe koi jooth sajaana padjaaye,
Apni tanhai mein, dushmanon ko bhi dost banaana padjaaye,

Shab-e-mehfil mein tere, hum ladkharaate chale aaye,
Yun naa le imtihaan humari wafadaari ka, ke har wasla par humein mitjaana padjaaye,

Khwaishein ungeenat, hijr ek humari kismat ki rekha,
Qasam naa khilaa be-itminaa lautne ki, ke phir kal yaha aana padjaaye,

Naa oolat naqaab chehre se, ke uspe koi jooth sajanaa padjaaye,
Yaa humare chehre ke shikhan dekh, tujhe phir apne chasm ko phir bheegonaa padjaaye!
Logged
pushp24
Guest
«Reply #22 on: April 09, 2007, 06:40:32 PM »
Quote from: "Ravi_Dave"

Khwaishein ungeenat, hijr ek humari kismat ki rekha,
Qasam naa khilaa be-itminaa lautne ki, ke phir kal yaha aana padjaaye,

Naa oolat naqaab chehre se, ke uspe koi jooth sajanaa padjaaye,
Yaa humare chehre ke shikhan dekh, tujhe phir apne chasm ko phir bheegonaa padjaaye!

wah ravi ji bahut badiya...

naqaab hai chehre pe, tab tak rounak hai mehfil mein sanam,
varna ashk mere bhi chalak jaayenge,
kaate hain kuch din humne bhi khawhishon mein teri,
par baaki ab hijr mein kat jaayenge....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #23 on: April 09, 2007, 08:53:22 PM »
Very Nice Ravi, Talat & Pushp...
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #24 on: April 12, 2007, 02:27:47 PM »
Shukriya AryaanJi and Pushp, amazing again!

Kat jaayegi teri talaash mein, meri saari umar,
Chhaale padjaayege zubaan par, tera pataa pooch pooch kar,

Waqt ke aaghosh mein simat, kat jaayegi zindagi,
khilega wohi raasta, teri lautne ki umeed bankar,

Is roz aao milne to deed mein hi rehna,
Har baar jab nazar pherte hain, tum ho jaate ho be-nazar

Jalta hain kitna 'Ravi', undhere dinon mein,
Tumhare bina nahi hota, iski roshni ka undhero pe asar,

Sirf rang-bhur khayaalaat ki soch hain yeh,
Tanha kat gayi adhi umar, adhi yunhi hojaayegi basar!
Logged
pushp24
Guest
«Reply #25 on: April 13, 2007, 03:40:14 PM »
Quote from: "Ravi_Dave"

Sirf rang-bhur khayaalaat ki soch hain yeh,
Tanha kat gayi adhi umar, adhi yunhi hojaayegi basar!

nice again Ravi...

ummr hi to kat rahi hai intzaar mein unke liye,
palkein bichha ke baithe hain raahon mein jinke liye...
lagta nahin ki hogi is baar bhi khuda ki mehrbaani hum par,
kaat lenge jindgi hum bhi aadhi_aadhi...
aadhi sabke liye, to aadhi unke liye...
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #26 on: April 13, 2007, 10:04:33 PM »
Kuch to ho oos khuda ki mehrbaani,
Mile aaj to oos zaalim ki nishaani,

Khalish wohi hain, pehle jo hum mein thi,
Uske liye marna, hi hain humari zindagaani,

Waqt dekhte hum, chup chaap bethke,
Dekhte dekhte, beet gayi jawaani,

Ek awaaz ko dil, kabse bechain hain,
kaan taraste rahe, aankh mein bhur gaya paani,

Kaasid koi aaye, hum ko yeh to bataaye,
Kya kaha hain oosne, kya hain ooski hasrat-e-kahaani,

Koi milli naa khabar, naa koi nishaani,
Yaadon mein aati hain woh, itni to hain khuda ki mehrbaani!
Logged
pushp24
Guest
«Reply #27 on: April 14, 2007, 06:38:30 PM »
Quote from: "Ravi_Dave"
Kuch to ho oos khuda ki mehrbaani,
Mile aaj to oos zaalim ki nishaani,

these lines are too great ravi...

khuda ki mehrbaani kab hui muhobbat karne valon par,
uski mehrbaani par muhobbat mat kijie janaab,
kabhi to mil hi jayegi nishaani us jalim ki bhi,
bas khyalon mein baat unse kijie janaab...
[/size]
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #28 on: April 14, 2007, 07:22:29 PM »
Kya Baat Hain, Pushp I rely admire ur posts but im sorry bt i dnt knw hw to select lines like you bt keep it up its brilliant!

Koi mehrbaani ki arzoo nahi, us mehrbaan ki milne ki arzoo hain,
Meri dil ko hansi-e-gulshan ki nahi, uske hansi ke khilne ki arzoo hain,

Kuch to hain jiska sadma aaj bhi tadpaata hain,
Khalaayon mein to milte hain, magar mujhe haqiqat mein milne ki arzoo hain,

Kareeb the itne, ke hum be-khabar hoke door hogaye,
Mujhe bikhre huve judaai-e-daag silne ki arzoo hain,

Beet gaye kahin saal intezaar mein,
Mujhe unko sabhi saal ginwaane ke liye milne ki arzoo hain!
Logged
pushp24
Guest
«Reply #29 on: April 15, 2007, 07:15:38 PM »
Quote from: "Ravi_Dave"

Kareeb the itne, ke hum be-khabar hoke door hogaye,
Mujhe bikhre huve judaai-e-daag silne ki arzoo hain,

Beet gaye kahin saal intezaar mein,
Mujhe unko sabhi saal ginwaane ke liye milne ki arzoo hain!


ye shayri to aap sab se hi seekhi hui hai.... ravi ji...
fir bhi thanks for your apriciation...

itne the kareeb unke ki saansein tak gini humne...
dil ki har baat, aankhon ki har kahani suni humne...
bikhre hue lamhon ko silne ki bhi khawahish nahin ab unko,
khyalon mein jinke sadiyan tak gini humne...
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:47:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer