Dil Behlana

by Pooja on May 16, 2007, 10:18:13 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8]
Print
Author  (Read 9423 times)
Pooja
Guest
«Reply #105 on: March 04, 2008, 05:39:02 PM »
Samjh kar bhi hume, nsamjh ban jaate hai
Kis kis tarah , humse wo apna dil behlaate hai

Dard humari main, na jaane kaya sakoon wo paate hai
Ansoo humare per, wo dil se khush ho jaate hai

Mitti ho kar bhi dekh liya is dil ne
Her baat per, parron tale, rondein jaate hai

Kaha le jaaye is dard ko Pooja
Zakham din-b-din nasoor hue jaate hai !!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujhe apne aashqo se behlana dekho... by Ritesh Modi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dil ko behlana mushkil ho gaya hai by saahill in Miscellaneous Shayri
BAKHOOBI DIL KO BEHLANA AATA HAI.....................................SARU by SURESH SANGWAN in Ghazals
Pooja
Guest
«Reply #106 on: March 10, 2008, 06:21:38 PM »
Bohat Bohat Shukaria Khwais Bhai
Aap Bhi Kisi Se Kaam Nahi Hai Good Job.

Aur Pooja Ji Aapto Hai Hi Lajawab...

Lage Raho

janab jawab ki wait kare ya nahi.. yah to bata de app!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #107 on: March 11, 2008, 03:42:12 PM »
ha ha ha bahoot khoob Majid ji!! bahoot sahi likha hai apne!!!

her kisi ka dil kuch is tarah behlaya
sunte rahe sabko, apna dard dil mai chupaya
kahte bhi to kahte kis se e Pooja
her kisi ko apni tarah hi rota paaya
Logged
Roja
Guest
«Reply #108 on: March 11, 2008, 03:44:37 PM »
aha nice majid ji and pooja di


Logged
Pooja
Guest
«Reply #109 on: March 11, 2008, 03:49:26 PM »
Thanks Roja!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #110 on: March 12, 2008, 06:38:16 PM »
Bohat khoob Pooja, Azeem, Majid & Khwaish...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #111 on: March 12, 2008, 06:39:49 PM »
bahoot bahoot shukaria Aryaan ji!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #112 on: March 13, 2008, 02:41:06 PM »
chattano mai se bhi jharne nikal; atte hai
yah baat hum nahi, bujurg sunate hai

na jaane kis baat per yah dil phoot phoot kar ro parda
barso se jo badi se badi baat bhi, hansi main urdate hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #113 on: March 14, 2008, 02:43:12 PM »
Apni garj ko yaha per sab hota hai
Kon yaha, kab, kis ke liye rota hai
De kar dard kahte ho ajj mujhse
Yah sab to meri wajah se hi hota hai
Apni garj ko yaha per sab hota hai................

Sawarth mai insaan, kitna khudgarj hota hai
Kar ke apne dil ki, dunia ke samne phir rota hai
Her koi dhongi yaha, her koi vyopaari hai
Insaan ko de kar dard ab, kaha kis ko koi dard hota hai
Apni garj ko yaha per sab hota hai..........................

Kyun sochu main baitni baithi
Mere sochane se kab yaha kuch hota hai
Chal Pooja ab chal de tu bhi kahin
Is dunia mai kab, kaha, koi, kisi ka hota hai
Apni garj ko yaha per sab hota hai...........................
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #114 on: March 14, 2008, 03:28:21 PM »
BAHUT KHOOOB POOJA..MAJID BHAI AAP NE BHI 4 LINE MEIN BAHUT KUCH KAHA HAI...

ISAAN IS JAHAN MEIN KAB KOI BURA HOTA HAI
YAAD RAKHNA MAJBOORIYAN KA DUSRA NAAM HI INSAAN HOTA HAI...

KHUSHIYON KI TALAASH MEIN GUUM SA HO JAATA HAI INSAAN
SAFAR KE AAKHIR RAAH TAK KAHAN USKA KOI MUKAAM HOTA HAI...

DIL BEHLATA RAHA AUR DIL BELATA HI REH JAAYEGA
KHWAABO KI DUNIYA MEIN REHTA THA,
KHWAABO KI DUNIYA MEIN HI REH JAAYEGA
INSAAN KA KAHAN APNA KOI MAKAAN HOTA HAI....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #115 on: March 14, 2008, 03:29:16 PM »
Dil Ke Tootne Par Rona Kaisa Pooja Ji..!!!
Hayyat.e.Safar Main Ye Sab To Aam Hota Hai.

Suna hai dard itna ki yah dard bhi ajj aam ho gaya
Dekhon insaan ka dard kitna sar-e-amm ho gaya
Magar dukhata hai dil dost yah ankh roti hai
Na jaane kyun yah dard, ajj jaan leva ho gaya

Mana mana kar na jaane kaha ise chor aati hu
Kuch dino ke liye phir khud ko sahi samjhati hu
Laut atta hai yah baar baar jaise koi purana sathi
Lipat kar is se phir na jaane kyun ashq bahati hu

Na chora jaaye, na hi sath nibhaya jaaye
Ajeeb kash-m-kash mai khud ko paati hu
Jeevan gujar gaya isi tarah kab Pooja ka
Baith tanhaai main, yahi hisaab kiye jaati hu….

Logged
Pooja
Guest
«Reply #116 on: March 14, 2008, 03:35:11 PM »
BAHUT KHOOOB POOJA..MAJID BHAI AAP NE BHI 4 LINE MEIN BAHUT KUCH KAHA HAI...

ISAAN IS JAHAN MEIN KAB KOI BURA HOTA HAI
YAAD RAKHNA MAJBOORIYAN KA DUSRA NAAM HI INSAAN HOTA HAI...
[color]


Majboori aor sawarth ko yah dil janata hai
Insaan ki najar ko ab yah dil pehchanta hai
Pyar hai is liye jhuk jaata hai yah dil
Warna munh morna bhi yah dil janta hai

Apni khushi ki talash main, khushia kisi ki chin lena
Ankhir kaha ise koi, kahin ka insaaf manta hai
Samjh mai akar bhi nahi samjhati Pooja
Uske dil ka haal, bas ek khuda hi janta hai!!!!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #117 on: March 14, 2008, 03:59:51 PM »
bahoot sahi kaha majid ji!!!

Haq hai kaya, yah kaise insaan kisi ko samjhaye
Haq jatane ko, kyun itna hai, ussi ka dil dukhaye
Kaya paana hai jeevan main, koi yah to samjhaaye
Ek zisam se nahi hota pyar, Ruhani baat kyun na samjh ayye

Zisam ke jakham bhar jaate hai, rooh ko kaise koi murham lagaye
Mar mar kar kahin ho gai jo bejaan, us main jaan kaha se laaye
Pathar ker ke kahte ho ki pathar ho, pathar se kon sir takraaye
Pathar baithe soch raha hai, kyun wo itani thokar khaye

Dhadkate dil ki dhadkan se kah do, na ab wo awaz lagaye
Tanhaai hai payari mujhko, mehfil na ab koi bulaye
Andheri hai raahein itani, Pooja kaha khud ko le jaaye
Kabhi to hoga koi sawera, yahi deep hai wo pathar mai jalaye......
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:02:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer