Dil Behlana

by Pooja on May 16, 2007, 10:18:13 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 8
Print
Author  (Read 9422 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: May 25, 2007, 08:34:21 PM »
shukaria Niraj ji!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujhe apne aashqo se behlana dekho... by Ritesh Modi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dil ko behlana mushkil ho gaya hai by saahill in Miscellaneous Shayri
BAKHOOBI DIL KO BEHLANA AATA HAI.....................................SARU by SURESH SANGWAN in Ghazals
_Vicky_
Guest
«Reply #16 on: June 03, 2007, 12:25:43 PM »
Wah Kya Baat hai Pooja ji.. bahut Khooooob...!!
Waise to Main Dard Me Likhta Bahut Kam hoon par Aapke is Kalaam
ko padh Kar Likhe Bina Raha nahi paya........... !! Usual Smile Usual Smile



Kya Khoob Tumne Aaj Mujhe, Mohabbat ka Tohfa Diya,
Chahat Bhare is Mere Dil ko, Ek Pal Me Yun Thukra Diya....

Kar Lete Jhoota Hi Iqraar, Yeh Dil To Bahal Jata Dilbar,
Meri Tadap Ko Aaj Tumne, Kuch Aur Yun Bhadka Diya.....

Hum Kaha Na Paye Apna Gum, Dil Liye Bas Firte Rahe,
Ab Kya Gila Karen Kisi se, Jab Taqdeer ne Khud Dhokha Diya..!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: June 07, 2007, 06:49:47 PM »
bahoot bahoot shukaria Vicky ji!!! bahoot hi acha likha hai apne!!

Kahte hai ki payaar humi se karte hai
Jaan tak apni nisaar humi per karte hai

Payaar usnka magar bada hi zalimana hai
Ek andhi-andheri gali mai banaya ashiana hai

Be-aitbaari ka rishta jismain sajaaya hai
Her roj zalim sawalo se gharana banaya hai

Be-aitbaari se kabhi, koi gharbaar hota nahi
Hai tujhko mujhse payaar, is per ab aitbaar hota nahi!!!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #18 on: June 07, 2007, 07:00:46 PM »
yaar.........iss thread ki pehli wali hi kavita padhi....apke kayal ho gaye hum bas.....

Bhara hai dard jo dil mein, mujhe de kyu nahi dete,
Kaha hai saathi jo mujhko, toh apna kyu nahi lete,
Sahil pe khade ho tum dariya tumhe pukarta raha,
Kadam badha ke uska haath tham kyu nahi lete....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: June 07, 2007, 07:15:53 PM »
bahoot khoob creator ji...

Dard hai kuch aisa, dosto ko bataya nahi jaata
Apne dard ki gahraai ka arth, kisi ko samjhaya nahi jaata
Sahil ho ya ho ab koi bhi kinara safar main
Kadam kisi bhi manjil ki taraf, uthaya nahi jaata!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #20 on: June 07, 2007, 07:23:30 PM »
wah wah...........

Kab tak chupega haal-e-dil, bataoge kabhi,
Dost kehte ho agar humko, nibhaoge kabhi,
Kab tak bajegi taali ek hath se yuhi,
Visahwas ka ek diya dil mein, jalaoge kabhi....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: June 07, 2007, 07:51:06 PM »
bahoot khoob Creator ji!!


Vishwas ki low mai hi dost banaye jaate hai
Magar humse nahi apne haal sunaaye jaate hai
Dard ki tanhaai main, tanhaiyo ko suna karte hai
Zindagi ke safar mai, tanha hi chala karte hai!!
Logged
risky
Guest
«Reply #22 on: June 08, 2007, 02:49:49 AM »
Quote from: "Pooja"
Gira kar khud ko, mujhe girana acha lagta hai
Shayad yahi usko, apna dil behlana lagta hai

Sath sath chal rahe the jo sathi kuch barso purane
Unki najaro mai, mujhko boora banana acha lagta hai

Waqat ki thokar kahun, ya kahu kismat ka khail isko
Her koi apna ajj, mujhko anjana – anjaana lagta hai

Andhere hai mere liye, na bulaye koi ab roshni main
Aise duniya main jeene se acha, mar jaana mujko lagta hai

Gira kar khud ko, mujhe girana acha lagta hai
Shayad yahi usko, apna dil behlana lagta hai……


pooja ji aaj yaisa laga jaise aap ne hamarai dil ke baat eash kalam mein utar de hooo dil ko choo gayee aap ke feelings bahoot umenda andaz mein viyan kiya hai aap ne ek sher khood mein appena ek mukam rakheta hai hamari dil se daad kabool karai dua usha khuda se bhagwan se woh aap ko har sahurat dai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: June 08, 2007, 05:23:05 PM »
shukaria Risky ji!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: June 21, 2007, 07:17:26 PM »
Quote from: "Pooja"
Gira kar khud ko, mujhe girana acha lagta hai
Shayad yahi usko, apna dil behlana lagta hai

Sath sath chal rahe the jo sathi kuch barso purane
Unki najaro mai, mujhko boora banana acha lagta hai

Waqat ki thokar kahun, ya kahu kismat ka khail isko
Her koi apna ajj, mujhko anjana – anjaana lagta hai

Andhere hai mere liye, na bulaye koi ab roshni main
Aise duniya main jeene se acha, mar jaana mujko lagta hai

Gira kar khud ko, mujhe girana acha lagta hai
Shayad yahi usko, apna dil behlana lagta hai……


Adding more with same Rythem....

Gira kar khud ko, Mujko Girana acha lagta hai
Shayad yahi usko, apna Dil Behlana lagta hai

Waqat ke sath sath, tora ek ek Khwab mera
Koi bhi Khwab ab sajana, Mujhe Ajeeb lagta hai

Tora her kisi se, her ek Rishta mera is kadar
Koi naya Rishta ab banana, Mujhe Zuram lagta hai

Vishwas ka ek Sagar lah-lahata tha is dil mai hamesha
Her ek Insaan Dunia ka, Mujhko Dhokebaz ab lagta hai

Gira kar khud ko, Mujko Girana acha lagta hai
Shayad yahi usko, apna Dil Behlana lagta hai!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #25 on: June 21, 2007, 07:53:08 PM »
BAHOOT KHOOB,DARD SE BHARA,AUR BAHUT SIMPLE...MAIN KOSHISH KARUNGA KI SAME RYTHEM PAR MAIN BI KUCH LIKHU..PAR ABHI KE LIYE AAPKA JAWAAB NAHI POOJA
Logged
thycreator
Guest
«Reply #26 on: June 22, 2007, 05:51:38 PM »
Wah Pooja ji..............bahut khub........

Haal-e-dil kehte ho mujhse aur chupate bhi ho,
Raat bhar jagte ho khud bhi aur jagate bhi ho,
Kab tak dard-e-berukhi sahenge aise hi hum,
Apna mante ho mujhe aur yun satate bhi ho....Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #27 on: June 22, 2007, 07:13:21 PM »
GOOD ONE AMITJI...EK KOSHISH POOJAJI HAMARI TARAF SE USSI RYTHEM PAR EK JAWAB..PASAND AAYA TO ZAROOR KEHIYEGA..

GIRAKAR KHUD KO,MUJHE GIRANA ACHA LAGTA HAI
SHAYAD YEHI USKO APNA DIL BEHLANA LAGTA HAI

SHIKAYAT KARE TO BI KARE KISSE YAHAN
YEH SHEHAR KA HAR INSAAN PARAYA SA LAGTA HAI

LOG KEHTE HAI WAQT KE SAATH,HAR ZAKHM BHAR JAATE HAI
PAR JAB ZAKHM GEHRE HO JAAYE TO WAQT TO LAGTA HAI

NA KARO YUH DIL KE FAISLE,JAZBAATON MEIN AAKE
ZINDAGI KO SAMAJNE MEIN SAMAY TO LAGTA HAI

ANDHERO MEIN SE NIKALKAR,ROSHNI BI DEKHA KARO
KABHI KABHI DALTE SURAJ SE,UBARTA SURAJ ACHA LAGTA HAI

RISHTE HI HOTE HAI JEENE KI BUNIYAAD...
RISHTO KO SAWARNE MEIN KUCH PAL KA INTEZAAR TO LAGTA HAI

LOGON KI SOCH KO TO NA BADAL SAKE EH"KHWAISH"
PAR KHUD KO BADLNE MEIN WAQT TO LAGTA HAI
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: June 22, 2007, 08:56:15 PM »
wah khwaish ji.. bahoot khoob jisko kahte hi ki ati sunder limha hai apne!!!

Good one Dr. Amit!!!
Logged
paani
Guest
«Reply #29 on: June 23, 2007, 11:14:22 AM »
touching all post pooja n all guys n Khawais so nice
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:55:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer