Dil Behlana

by Pooja on May 16, 2007, 10:18:13 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
Print
Author  (Read 9486 times)
faiiz_76
Guest
«Reply #45 on: October 03, 2007, 08:07:29 PM »
yeh sukhan jo ham ne raqam kiye
hain yeh sab werq teri yaad ke ....

very very nice.
agar app thora wazan theek ker lain to bohat acha likh sakti hain ..keep it up waqt ke sath sath sab theek ho jayega
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujhe apne aashqo se behlana dekho... by Ritesh Modi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dil ko behlana mushkil ho gaya hai by saahill in Miscellaneous Shayri
BAKHOOBI DIL KO BEHLANA AATA HAI.....................................SARU by SURESH SANGWAN in Ghazals
Pooja
Guest
«Reply #46 on: October 03, 2007, 09:11:42 PM »
bahoot bahot shukaria Faiz ji!! app galtia batate rahe aor main thik karne ki koshish karugi taki kavita mai wazan aa sake Usual Smile
Logged
TeraKuttaGharKaNaGhaatKa
Guest
«Reply #47 on: October 04, 2007, 12:01:42 PM »
meri raah mein kante bicha kar
kaunsa tum phool traashte ho

beech safar mein raahein batka kar
kaunsi manjilo ke nishan banate ho

karke bewafai iss mord par aa kar
apni lalach ko mehfil mein dard batate ho

pal mein hassa kar, pal mein rula kar
Kaise mere ashQon se apna dil behlate ho
Logged
Pooja
Guest
«Reply #48 on: October 05, 2007, 03:43:29 PM »
Nice Lines TKNGKNGK.. Nice to see you after long time... ho sake to please apna nik change kar le.. likhte hue bahoot ajeeb lagta hai..

Shabdo ke teer se wo dil behlate hai
Kis tarah se pyar ko apne bhulate hai

Kabhi bandha tha rehsam ki dor se pyar
Jinko kanto se ajj wo torre jaate hai

Ajeeb naata hai bhawnao ka insaan se
Jo na hua apna, to mitti main use rondein jaate hai

Waqat dikhata hai kaya kaya manjar “Pooja”
Kabhi khud ko, kabhi is duniya ke rukh ko soche jaate hai!!
Logged
ISHPREET
Guest
«Reply #49 on: October 05, 2007, 07:50:54 PM »
Great one pooja...bahut khoobi se aap haal-e-dil bayan kar lete ho..

Tumhare chand alfaaz hi kaafi hai "pooja"
mehfil mein haal-e-dil bayaan karne ke liye
hum likh bhi le agar saari  kitab bhi
to kam padegi kisi ko
haal-e-dil samjhane ke liye Usual Smile
Logged
TeraKuttaGharKaNaGhaatKa
Guest
«Reply #50 on: October 06, 2007, 04:39:59 AM »
Quote from: "Pooja"
Nice Lines TKNGKNGK.. Nice to see you after long time... ho sake to please apna nik change kar le.. likhte hue bahoot ajeeb lagta hai..

Shabdo ke teer se wo dil behlate hai
Kis tarah se pyar ko apne bhulate hai

Kabhi bandha tha rehsam ki dor se pyar
Jinko kanto se ajj wo torre jaate hai

Ajeeb naata hai bhawnao ka insaan se
Jo na hua apna, to mitti main use rondein jaate hai

Waqat dikhata hai kaya kaya manjar “Pooja”
Kabhi khud ko, kabhi is duniya ke rukh ko soche jaate hai!!


thanks for welcoming Pooja, janta hu naam ajeeb hai, lekin yahi paya hai.

khud par aaye, tab dil tilmilaye
aoro ko rond kar sab uthna chahe

dil par ek tinke sa bhoj nahi,
koi zindagi chahe tinka tinka ho jaye

jis par bhi tum karlo vishwas "pagal"
wohi sab kuch cheen apna ghar basaye

kya fiza,kya rang tum dekhogi bewaffa
Pehle khud se ek bar Najar milana to aaye !!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #51 on: October 08, 2007, 03:25:53 PM »
Nice lines!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #52 on: January 14, 2008, 10:36:22 PM »
khud se jo nazar milai, ankho mai ansoo paya hai
teri jali kati baaton ne, mujhko bahoot rulaya hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #53 on: January 15, 2008, 02:52:49 AM »
meri raah mein kante bicha kar
kaunsa tum phool traashte ho

beech safar mein raahein batka kar
kaunsi manjilo ke nishan banate ho

karke bewafai iss mord par aa kar
apni lalach ko mehfil mein dard batate ho

pal mein hassa kar, pal mein rula kar
Kaise mere ashQon se apna dil behlate ho

Nice lines... But jaise didi ne kaha apna id change karlena
Kutta kehna accha nahi lagta... Huh? Roll Eyes
Logged
Roja
Guest
«Reply #54 on: January 15, 2008, 02:59:33 AM »
Nice Lines TKNGKNGK.. Nice to see you after long time... ho sake to please apna nik change kar le.. likhte hue bahoot ajeeb lagta hai..

Shabdo ke teer se wo dil behlate hai
Kis tarah se pyar ko apne bhulate hai

Kabhi bandha tha rehsam ki dor se pyar
Jinko kanto se ajj wo torre jaate hai

Ajeeb naata hai bhawnao ka insaan se
Jo na hua apna, to mitti main use rondein jaate hai

Waqat dikhata hai kaya kaya manjar “Pooja”
Kabhi khud ko, kabhi is duniya ke rukh ko soche jaate hai!!

Bahut khoob.... di daad hazir hai.
waqt ki kami hai varna kuch mai b jawab main likh deti..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #55 on: January 15, 2008, 02:31:43 PM »
Thanks Roja!!!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #56 on: January 15, 2008, 02:45:16 PM »
 
Kabhi Khamoshi Bhi Bahut Kuch Keh Jati Hai
Tadapne Ke Liye Sirf Yaad Reh Jati Hai

Kya Farak Padta Hai Dil Ho Ya Koiyla
Jalne Ke Baad To Sirf Raakh Rah Jati Hai


 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #57 on: January 15, 2008, 02:48:02 PM »
wah kaya baat hai

wo apni khamoshi se hume saja dete rahe
hum apni khamoshi se unka sath dete rahe
badal kar roop rahe wo mere pass pass kahin
aor hum apni tanhaio mai unhe awaz dete rahe!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #58 on: January 16, 2008, 03:21:37 PM »
very True Majid!! kaha ho app ajkal!! jayada dikhai nahi dete!!

Kon hai boora jahan main, koi nahi
humara hi na tha mukdaar, koi nahi
chaah usse aor khud hi chord diya
unto hai sari dunia, per mera, koi nahi
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #59 on: January 17, 2008, 11:17:03 AM »
Bohat acha hai majid ji..

Khushi mili lekin hans na sakey
gham mila lekin ro na sakey..
Zindagi ka yahi dastoor hai..
Jise chaha use paa na sake
Jise paya use chah na sakey
Tarasti nazron ki pyaas ho tum..
Tadapte dil keh aas ho tum..
Bujhti zindagi ki saans ho tum..
 

Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 07:16:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer