Dil Behlana

by Pooja on May 16, 2007, 10:18:13 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8
Print
Author  (Read 9429 times)
Pooja
Guest
«Reply #75 on: February 04, 2008, 05:10:35 PM »
Bohat Khoon Pooja Ji And Thycreator Sir...Lage Raho..


Khawabon Ki Buniyaad Par Taamir Ki Thi Imaarat Hamne
Ilzaam Is Tabaahi Ke Mere Sar Par Hi To Aayenge.

Hume Kya Pata Tha.E Khuda Yun Kar Unse Sacha Pyaar.
Ek Deen Hum Yun Mehfilon Main Bewafaa Kehlaayenge.



ek ek shabad dil ko chu gaya Majid!!! bahoot sahi kaha hai aor sahi likha hai....

tadpa kar hume, wo humse humara pyar mange
jo tha unhi ka, kyun uske liye, yah gum bandhe

dukhte dil ko bas yahi kah kar samjhaya hai
uske tadpaane main bhi to mere pyar lena ka najar ayya hai

behla rahe hai kis kis tarah se ajj hum dil ko
yah soch soch kar bahoot rona hume ayya hai!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujhe apne aashqo se behlana dekho... by Ritesh Modi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dil ko behlana mushkil ho gaya hai by saahill in Miscellaneous Shayri
BAKHOOBI DIL KO BEHLANA AATA HAI.....................................SARU by SURESH SANGWAN in Ghazals
thycreator
Guest
«Reply #76 on: February 04, 2008, 08:03:21 PM »
Bohat Khoon Pooja Ji And Thycreator Sir...Lage Raho..


Khawabon Ki Buniyaad Par Taamir Ki Thi Imaarat Hamne
Ilzaam Is Tabaahi Ke Mere Sar Par Hi To Aayenge.

Hume Kya Pata Tha.E Khuda Yun Kar Unse Sacha Pyaar.
Ek Deen Hum Yun Mehfilon Main Bewafaa Kehlaayenge.


Thanks a lot Majid ji.....and very well said....bas hame SIR na kahen.....naam hi kafi hai...Usual Smile

Kabhi hum mefilon ki jaan hua karte the,
Aaj mehfil mein jaane se bhi katrate hain,

Chalakte jaam-o-saaki ke saath bhi ab toh,
Khud ko sada hi tanha se hum paate hain,

Wafa ki tooti dor hath mein liye firte hain,
Phir bhi jahan mein bewafaa kehlate hain...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #77 on: February 04, 2008, 08:05:40 PM »
good one Amit!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #78 on: February 04, 2008, 08:13:48 PM »
Thank you Pooja ji!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #79 on: February 05, 2008, 03:25:42 PM »
sunte hai roj unse kaise wo bewafa ho gaye
her pal dard zakhmo ke mere taar taar ho gaye
atta hai sakoon kyun sun kar uski baato ko
zinda hu main per shayad mere zazbaat so gaye!!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #80 on: February 05, 2008, 03:31:32 PM »
Rukhi rukhi hawa, dukhi dukhi sansein
Do pal ka sukoon bhi, hasil nahi hame

Khase ber rahein, lamba safar zindagi ka
Koyi haseen sahil, hazil nahi hame

Hay, kisii ko chahkar, ye kya kiya tumne "Roja"
Zindagi jee nahi rahe, maut hasil nahi hame..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #81 on: February 05, 2008, 03:34:17 PM »
bahoot khoob majid and Roja!!!

chahiye sath magar ab wo sath najar nahi atta
teri baaton mai wo payar najar nahi atta
dukha dete ho mere dil ko ab kisi ke bhi liye
mere dard se ho tujhko dard, wo dard najar nahi atta
Logged
Roja
Guest
«Reply #82 on: February 05, 2008, 03:46:30 PM »
bahoot khoob majid and Roja!!!

chahiye sath magar ab wo sath najar nahi atta
teri baaton mai wo payar najar nahi atta
dukha dete ho mere dil ko ab kisi ke bhi liye
mere dard se ho tujhko dard, wo dard najar nahi atta

Again nice 1 didi

Aajmaya bhi , dil behlaya bhi, dukhaya bhi, toda bhi
Is dil main wafa karna na aaya kisii ko
Logged
Pooja
Guest
«Reply #83 on: February 05, 2008, 03:48:37 PM »
bahoot khoob Majid!!

chalna hai zindagi, chalati hi jayegi
ajj khai hai ek thokar, kal doosri khayegi
kuch hum na samjhe kaise chalaye ise
kuch un mai se, unki bewafai na jayegi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #84 on: February 05, 2008, 03:49:35 PM »
very True Roja...

Toot kar kisi se, kaise ksis aor ko torr gaya
kahi khaya khud ne dhoka, kahi khud dil mord gaya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #85 on: February 05, 2008, 04:20:00 PM »
bahoot sahi kaha majid!!!


Adat uski kuch aise ho gai
her galati uski her baar maaf ho gai
pata hi na chala aor dil toot.ta sa gaya
bin rahna uske mushkil, sath rahne se bhi badtar ho gai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #86 on: February 15, 2008, 07:26:34 PM »
good one majid ji!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #87 on: February 20, 2008, 05:54:56 PM »
bahoot achi lines lagi majid ji...
Hum To Yun Hi Baithe Rahe.e.Dost Unke Intezar Main Aur
Na Jane Ye Zindagi Aahista Aahista Kiase Khatam Ho Gayi.

ek koshish meri taraf se:
Kabhi lard kar kabhi pyar main
Waqat ka na pata chala is takraar main

Humare ansuo se milta raha unhe sakoon
Kahein ab kaya is zakham-o khar main

Rote hai hum unke liye, to wo sakoon jaate hai pa
Yakin atta hai unhe, ajj bhi hai hum unhi ke pyar main

Dil behlaane ka unka yah naya shok to dekhiye
Dard dete hai humne, na jaane kaise kaise ahsaas main

Deewangi isse pyar ki kis kadar main maan jaau
Dil aor ho gaya taar taar, unke aise izhaar main
Logged
Pooja
Guest
«Reply #88 on: February 21, 2008, 05:49:15 PM »
wah kaya baat kahin hai:

Aarzoo Ki Qaid Main Tadpa Kare.
Ik Saza Ye Zindagi Hai Dar Asal..

hum apke likhne ka intzaar karege...  mai bhi tukbandia hi likhti hu.. yah app jaise dost hai jo kavita ka naam de dete hai Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #89 on: February 21, 2008, 05:52:53 PM »
Dil mai raz, ankhon mai muskuraht hai
Mere hi zakhmo ko dard dene ki uski chaht hai

Meri her baat per kar dete hai sawal
Phir se ane wale tufaan ki yah ahat hai

Mujhe hansta dekh kar, dard mere ko dete hai cher
Phir kyun nakli muhobaat ki dikhwat hai

Behlaate hai kis kis kadar insaan bhi khud ko
Na jaane kyun insaan ke man mai itani kadwahat hai

Dil mai raz, ankhon mai muskuraht hai
Mere hi zakhmo ko dard dene ki uski chaht hai
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 01:14:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer