DIL GUFTAGU NAHI KARTA....

by SADIQA JAWED on October 30, 2004, 07:08:44 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
Print
Author  (Read 22255 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #45 on: November 25, 2004, 02:42:17 PM »
Thanx Pooja...........Nice  Sadiqa..........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
main kese ko roka nahi karta by muneeb in Shayri-E-Dard
Kabhiya nahi khana ka main tum sa pyar nahi karta (personal) by muneeb in Shayri for Khumar -e- Ishq
IZHAR NAHI KARTA by main_aisa_hi_hoon in Shayri-E-Dard
mujhse... koi baat hi nahi karta....|||||| by Friend_4uall in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Nahi Karta Pyaar to Inkaar Karde !! by abdulqadeer in Ghazals
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #46 on: November 29, 2004, 03:16:32 PM »
THNK U POOJA N WAHEED

WOH NA BAN SAKA HUMARA
Kiya hai humne pyaar jisse zindagi ki tarhan
Woh aashna bhi mila hum se ajnabi ki tarhan
Barhake pyaas meri us ne haath chor diya
Woh karaha tha Mohabbat bhi Dil lagi ki tarhan
Sitam to yeh hai ke woh bhi na ban saka humara
Humne jis ke sahe ghum bhi Khushi ki tarhan
kabhi na socha tha humne "SaDi" us ke liye
Karega hum pe sitam woh bhi her kisi ki tarhan
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #47 on: December 01, 2004, 09:10:17 AM »
Quote from: "SADIQA JAWED"
THNK you POOJA N WAHEED

WOH NA BAN SAKA HUMARA
Kiya hai humne pyaar jisse zindagi ki tarhan
Woh aashna bhi mila hum se ajnabi ki tarhan
Barhake pyaas meri us ne haath chor diya
Woh karaha tha Mohabbat bhi Dil lagi ki tarhan
Sitam to yeh hai ke woh bhi na ban saka humara
Humne jis ke sahe ghum bhi Khushi ki tarhan
kabhi na socha tha humne "SaDi" us ke liye
Karega hum pe sitam woh bhi her kisi ki tarhan


wah!!!!!  sadiqa.........very nice.........

aadami aadami se milataa hai
dil magar kam kisi se milataa hai

bhool jaataa hoon main sitam us ke
vo kuchh is saadagi se milata hai

aaj kyaa baat hai ke phoolon kaa
rang terii hansi se milata hai

mil ke bhi jo kabhi nahin milataa
Toot kar dil usi se milataa hai

kaar-o-baar-e-jahaan sanvarate hain
hosh jab bekhudi se milataa hai...................................
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #48 on: December 02, 2004, 07:16:29 AM »
THNKX....
N WOW....GAZAB....GOOD WAHEED...

AIS Y BADH KAR PASY WAFA KIA HOGA
K TERY SHEHAR SY GUZARIN OR TUJHY KHABAR NA KARAIN
Logged
lovebites
Guest
«Reply #49 on: December 02, 2004, 07:23:51 PM »
boat khoob every one........nice work.................!

itni fursat nahi abb aur sukhan kia likhna,,,,
bas ba andaz-e-ghazal oska sarapa likhna

oski ankhoon main machaltey hoey darya parhna,,,,
dil ko sailaab ke mausam main bhi pyasa likhna

oski zulfoon main andhairoon ko bikharney daina,,,
oskey chehrey ko magar chand ka tukra likhna
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #50 on: December 02, 2004, 08:33:27 PM »
nice ones frm sadiqa waheed n luvbites

zamaane se nahi tum tanhai se darate ho,
pyar se nahi tum ruswai se darate ho,
milne ki umang to hoti hai bahut,
par milne ke baad apni judai se darate ho...


 sad5
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #51 on: December 03, 2004, 07:10:15 AM »
THNK U EVERY ONE...THNKX AGAIN Usual Smile

KHAMOSH THE HUM TO MAGROOR SAMAJH LIYA,
CHUP THE HUM TO MAJHBOOR SAMAJH LIYA....
YEH GALTI TO AAPKI HI HAI KI ..HUM ITNE KAREEB THE
PHIR BHI AAPNE
DHUR SAMAJH LIYA
Logged
lovebites
Guest
«Reply #52 on: December 03, 2004, 01:34:12 PM »
Dost ban ban ke mile mujhko mitane wale
maine dekhe hai kai rang badlne wale
dost ban bank ke mile mujhko mitane wale

tumne chup reh ke sitam aur bhi dhaya mujh par
tum se ache hai mere haal pe hasne wale
tum se ache hai mere haal pe hasne wale

main to ikhla ke haathon hi bika karta hoon
aur dhoondey tere bazaar mein bikne wale

aakhir baar salaame dile mushtar lelo
phir naa lautenge shabe hizar ke rone wale
dost ban ban ke mile mujhko mitane wale
Logged
akela
Guest
«Reply #53 on: December 03, 2004, 02:31:25 PM »
nice all
Logged
lovebites
Guest
«Reply #54 on: December 03, 2004, 07:18:44 PM »
parakhna mat, parakhney mein koi apna nahi rehta
kisi bhi aainey mein der tak chehra nahin rehta

baRe logon se milne mein hamesha faasla rakhna
jahaan dariya samandar se mila dariya nahin rehta

tumhaare shehr ka mausam naye andaaz wala hai
hamaare shehr mein bhi ab koi hum sa nahin rehta

mohabbat aik khusboo hai, hamesha saath chalti hai
koi insaan tanhaai mein bhi tanha nahin rehta
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #55 on: December 03, 2004, 09:06:51 PM »
luv every1... thnx all of u...


hume maut pe yakeen hain
aur unpe aitebaar hai
dekhte hain kaun aata hain pehle
humein dono ka intezaar hai...


 Puzzled !
Logged
akela
Guest
«Reply #56 on: December 03, 2004, 10:35:42 PM »
bahoot khoob
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #57 on: December 03, 2004, 10:46:58 PM »
thnx akela ji!  Usual Smile


tujhse milkar deekhaunga apni deewangi
ke ek din teri nafrat ka pemana bhi tute jayega....


 Puzzled !
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #58 on: December 04, 2004, 10:53:52 AM »
GOOD ONE MYHEAR_URSONLY JEE
N GOOD LOVEBITES

Pyaar to hamain bhi hai uss sai,
Per keh naa sake yeh ki khatta,
Be-wafa woh nahi to Be-wafa ham bhi nahi,
Bas waqt naa mila nahi to kerte wafa.
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #59 on: December 04, 2004, 11:21:42 AM »
vvah bahot khoob sadiqa ji...  :lol:


tere bina jiya hai,tere bina aur bhi ji lenge.
is tute hue dil ko kisi aur ke dil se si lenge.....


 Puzzled !
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:40:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.334 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer