Dil ke Zakham....

by angel4u on September 29, 2006, 05:12:47 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Author  (Read 7643 times)
angel4u
Guest
Yaad Hai Jaan
TuM Ne Pichhli Baar Kaha Tha,
Mujh Ko Bhool Ke Khush Rehna,
TuM Ko To Main Bhool Na Paayi,
Lekin Jaan
Chupke Chupke Dukh Sehti Hoon
Ab Main Aksar Khush Rehti Hoon...
* * * * *
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zakham by Sonu in Shayri-E-Dard
Zakham by Bharat in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
zakham by Sonu in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~~~ZAKHAM~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Zakham by Sonu in Miscellaneous Shayri
angel4u
Guest
«Reply #1 on: September 29, 2006, 05:14:38 PM »

Chalo HuM Maan Lete Hai Ke Waqt-E-Judayi Hai,
Magar Ye Bhi To MuMkin Hai Ke Ye Waqtii Judai Ho,
Ta'aluq Tark Kar Dena TuMhe Aasan Lagta Hai,
Magar MuMkin Hai Yun Na Ho,
Nahi Manzilki Jaanib Ye Safar Aasan Sahi Lekin,
Jise Ab Chahte Ho Wo Kareeb-E-Jaan Sahi Lekin,
Bhula Sakte Ho Wo LaMhe Jinhe TuM Zeest Ka Haasil SaMajhte The?
Ke Mere LuMs Ko Wajah-E-Sukoon E-Dil SaMajhte The,
Meri Tasveer Ko Locket Me Rakh Kar Dilki Har Dhadkan Sunate The,
Mere Khat Chhup Ke Padhte Aur Padh Kar Muskurate The,
Kya Wo Sab Jhuth Tha?
Hargiz Nahi. Dilko Ab Bhi Yakin Hai Ke
TuM Laut Aaoge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: September 29, 2006, 05:16:27 PM »

Aaj Ki Shab To Kisi Tarah Guzar Jayegi,
Raat Gehri Hai Magar Chand ChaMakta Hai Abhi,
Mere Maathe Par Tera Pyar DaMakta Hai Abhi,
Meri Saanso Me Teri Khushbu Mehakti Hia Abhi,
Mere Seene Me Tera NaaM Dhadakta Hai Abhi
Haasil Karne Ko Mere Paas Bahut Kuch Hai Abhi...

Teri Awaz Ka Jaadu Hai Abhi Mere Liye,
Tere Hothonki Khushbu Hai Abhi Mere Liye,
Teri Baahein Tera Pehloo Hai Abhi Mere Liye,
Sab Se Badh Kar Meri Jaan Tu Hai Abhi Mere Liye,
Haasil Karne Ko Mere Paas Bahut Kuch Hai Abhi...

Aaj Ki Shab To Kisi Tarah Guzar Jayegi
Aaj Ke Baad Magar Rang-E-Wafa Kya Hoga,
Ishq Hairan Hai Ke Sar Saher Saba Kya Hoga,
Mere Qaatil Tera Andaz-E-Jafa Kya Hoga...

Dekhna Ye Hai Ke Kal Tujhse Mulakat Ke Baad
Rang-E-UMMid Khilega Ke Bikhar Jayega,
Waqt Parwaz Karega Ke Thaher Jayega,
Jeet Ho Jayegi Ya Khel Bigad Jayega,
Khwaab Ka Shaher Rahega Ke Ujad Jayega...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: September 29, 2006, 05:19:10 PM »

Suno Aisa Nahi Karte
Safar Tanha Nahi Karte
Jinhe Shafaf Rakhna Ho,
Unhe Mila Nahi Karte,
Safar Jinka Mukarrar Ho,
Unhe Roka Nahi Karte,
Bahut Ujdi Hui Gher Mein,
Bahut Roya Nahi Karte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: September 29, 2006, 05:20:43 PM »

Kuchh Zyada Nahi Maanga Tha Maine Zindagi Se Lekin,
Zindagi HaMesha Mujhse Zyada Hi Maangti Rahi...

Taseer Hi Ulti Hai Ikhlaas Ki UMrat Ki,
HuM Jisko Pilate Hai Wo Zeher Ugalta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: September 29, 2006, 05:23:27 PM »

Khwabonse Banjar Benoor Aankhein,
Har ShaaM Naye Manzar Chhayein,
Bechain Badan, Pyaasi Raahein,
Har Aan Naye Paikkar Chahein

Tadapta Hai Lahoo
Andekhe Sapno Ki Khatir
Jane Anjane Raaston Par
Kuch Naqsh Banana Chahta Hai,
Banjar PaaMaal ZaMino Mein,
Kuch Phool Khilana Chahta Hai,

Yun Naksh Kahan Ban Paate Hai,
Yun Phool Kahan Khilne Wale Hai,
Yun ZakhMon Se Chhalni Roohon Ke
Yun Chaak Kahan Silne Wale...

Tadapte Lahoo Ko Behne Ke Adab Sikhane Padte Hai
Tab Mitti Mauj Me Aati Hai,
Tab Khwab Ke Mayne Bante Hai
Tab Khushbu Rang Dikhati Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: September 29, 2006, 05:25:11 PM »

Bahut Dino Ki Baat Hai...

Bahut Dino Ki Baat Hai,
Faza Ko Yaad Bhi Nahi
Ye Baat Aaj Ki Nahi
Bahut Dino Ki Baat Hai

Shabab Par Bahar The
Faza Be Khushgawar The,
Na Jane Kyon Machal Pada
Main Apen Ghar Se Chal Pada,

Kisine Mujhko Rok Kar
Bade Ada Se Tok Kar
Kaha Tha Laut Aayi
Meri KasaM Na Jaiye

Par Mujhe Khabar Na Thi
Mohalle Par Nazar Na Thi
Shaher Se Phir Ke Agaya,
Khayal Tha Ke Wo Gaya
Wo Jo Mujhse Dur The
Par Mere Zaroor The,

Gale Ka Rang Dekh Kar
Nayi Tarang Dekh Kar
Mujhe Badi Khushi Hui
Main Kuch Apni Khushi Me Tha..

Kisine Jhaank Kar Kaha,
Paraye Ghar Se Jaiye
Meri KasaM Na Aaiye

Wohi SurMayi ShaaM Hai
Bahaar Jiska NaaM Hai
Na Jane Jaoge Kidhar
Koi Nahi Jo Rok Kar,
Koi Nahi Jo Tok Kar,
Kahe Ke Laut Aaye,
Meri KasaM Na Jaiye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: September 29, 2006, 05:27:38 PM »

Jab Yunhi Kabhi Baithe Baithe Kuch Yaad Achanak Aa Jaye,
Har Baat Se Dil Bezaar Sa Ho, Har Chiz Se Dil Ghabra Jaye,
Karna Bhi Mujhe Kuch Aur Hi Ho, Kuch Aur Hi Mujhse Ho Jaye,
Kuch Aur Hi Sochun Main Dil Mein, Kuch Aur Hi Honthon Par Aa Jaye,
Aise Hi Kisi Ek LaMhe Mein, Chupke Se Kabhi KhaMoshi Mein,
Kuch Phool Chanak Khil Jayein, Kuch Beete LaMhein Yaad Aayein,
Tab Yaad TuMhari Aati Hai.....

Jab Chandni Dilke Aangan Mein, Kuch Kehne Mujhse Aa Jaye,
Ek Khwabeeda Se Chote Koi, Ehsaas Pe Mere Chha Jaye,
Jab Zulf Pareshaan Chehre Par Kuch Aur Pareshan Ho Jaye,
Kuch Dard Bhi Dil Mein Hone Laga, Aur Saans Bhi Bojhal Ho Jaye,
Aise Hi Kisi Ek LaMhe Mein, Chupke Se Kabhi KhaMoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein, Kuch Beete LaMhein Yaad Aayein
Tab Yaad TuMhari Aati Hai.....

Jab ShaaM Dhale Chalte Chalte, Manzil Ka Na Koi NaaM Mile,
Ek Hansta Hua Aagaz Mile, Ek Rota Hua AnjaaM Mile,
Palkon Ke Larazte Ashkon Se, Is Dilko Koi PaigaaM Mile,
Aur Saari Wafaon Ke Badle, Mujhko Hi Koi IlzaaM Mile,
Aise Hi Kisi Ek LaMhe Mein, Chupke Se Kabhi KhaMoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein, Kuch Beete LaMhein Yaad Aayein,
Tab Yaad TuMhari Aati Hia...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: September 29, 2006, 05:29:28 PM »

Yakeen Ki Aakhri Had Tak, Yakeen Hai Aur Daawa Bhi,
Ke Rukhsat Kar Ke Bhi Aksar
Nazar Ki Aakhri Had Tak Mujhe To Dekhta Hoga,
Magar Itne Yakeen Ke Baad Bhi Maine
Kabhi Mud Kar Nahi Dekha,
Bas Ek Gehra Sa Dar Hai
Kahin Aisa Na Ho Jaye
Palat Kar Main Use Dekhun
To Wapis Ja Chuka Ho Wo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: September 29, 2006, 05:30:53 PM »

Wo Mujhe Bhool Jana Chahta Hai,
Wo Mujhse Door Bahut Door Jana Chahta Hai...

Bas Kuch RasMein Hai,
Jo Wo Nibha Kar Jana Chahta Hai,
Bas Kuch Wade Hai
Jo Wo Tod Kar Jaana Chahta Hai

Mere Dil Me Kuch Mithi Yaadein Hai
Kuch Gaye Wakton Ki Baatein Hai
Wo In Sab Baaton Ko In Yaadon Ko
Mere Zehen Se Mita Kar Jaana Chahta Hai,

Wo Jo Usne Ek Ek Eint Jod Kar
Pyar Bhara Ghar Banaya Tha Mera
Wo Use Mujhse Cheen Kar
Kisi Aur Ke Hawale Kar Ke Jaana Chahta Hai,

Wo Jo Chahta Tha Wo Rahe Sirf Mera Bankar,
Wohi Mera Deewana Mujhe Chhod Kar Jana Chahta Hai,

Wo Mujhse Door Bahut Door Jaana Chahta Hai
Wo Mujhe Bilkul Bhool Jana Chahta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: September 29, 2006, 05:32:52 PM »

Jab Raat Ki Naagin Dasti Hai,
Nas Nas Mein Zeher Utarta Hai,
Jab Chaand Ki Kirne Tezi Se
Is Dilko Cheer Ke Aati Hai,
Jab Aankh Ke Andar Hi Aansu
Zanjeeron Me Bandh Jaate Hai
Sab Jazbo Par Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bahut TuM Aate Ho,
Jab Dard Ki Jhanjhar Bajti Hia,
Jab Raqs GaMonka Hota Hai
Khwabin Ki Taal Pe Saare Dukh
Wehshat Ke Saaz Bajate Hai
Gaate Hai Khwahish Ki Lay Mein,
Masti Me JhuMte Jaate Hai,
Sab Jazbon Par Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bahut TuM Aate Ho,
Tab Yaad Bahut TuM Aate Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: September 29, 2006, 05:35:17 PM »

Ye Aur Baat Hai Ke Unhe Fursat Hi Nahi
Aye Mere Dil Yun Na Toot Jaya Kar

Kyon Taraste Ho Unke Liye
Unki Nazron Me Teri Koi Aukaat Hi Nahi,

Anjaane Me Labon Pe Aa Gayi Ye Baat
Warna To HaMein Shikwon Ki Aadat Hi Nahi

UMr Guzar Di Teri Chahat Me Is Tarah,
Jaise Badh Ke Tujhse Koi Ibaadat Hi Nahi,

Ab Ban Ke Nadaan Baithe Hai Wo Yun,
Dil Tod Dena Jaise Kio Baat Hi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: September 29, 2006, 05:37:07 PM »

Mohabbatein Jab Yaad Karna To Sazeishein Bhi Yaad Karna
Jo Mere Hisse Me Aaye Hai Wo Aziyaatein Bhi Yaad Karna,

Chalaye Rakhungi Main Subah Tak TuMhare Raasto Me Apni Aankhein,
Magar Kahin Sabar Toot Jaye To Baarishein Bhi Yaad Karna

Jo Sardiyonka Udaas MausaM Me Dhadkanein Barf Hogayi Hai,
Jab Ye Ho Jaye Banjar To Bin MausaM Inka Barasna Bhi Yaad Karna,

TuM Apni Majbooriyon Ke Kisse Zaroor Likhna Wazahaton Se,
Jo Meri Aankhon Mein Jal Bhuji Hia Wo Khwahishein Bhi Yaad Karna,

Mohababtein Jab Yaad Karna To Sazishein Bhi Yaad Karna,
Jo Mere Hisse Me Aaye Hai Wo Aziyaatein Bhi Yaad Karna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #13 on: September 29, 2006, 05:40:08 PM »

Haan Abhi Bhi,
Jaan Kuch Baaki Hai,
Saans Kuch Baki Hia,
ArMaan Kuch Baaki Hia
Aur In Ashkon Ki, Rawaani Kuch Baaki Hai
HuM SaMay Ke Dariya Mein
Yun Tanha Tanha,
Aankhon Me Ashq Bhare Bhare,
In Dharaon Me Behte Behte,
KhaMosh Dishaon Mein
Kabhi Kidhar Kho Jayein
Kya Unhe Khabar Bhi Hogi Yaa Rab!!!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #14 on: September 29, 2006, 05:41:53 PM »

TuM Jo Pal Bhar Ko Thehro To Ye LaMhe Bhi
Aane Wale Kayi LaMhonki AManat Ho Jayein,
TuM Jo Thehro To Ye Raat Ye Mehtaab,
Ye Gulshan, Ye Gulab Aur HuM Dono Ke Khwab,
Sab Ke Sab Aise GuM Ho Ke Hakikat Ho Jaye,
TuM Theher Jao Ke Khwabon Ki Taabeer Ho TuM,
TuM Se Talkhiye Aukat Ka MausaM Badle,
Meherbaan Hoke Na Thehro To Phir Yun Thehro,
Jaise Pal Bhar Ko Khwab-E-TaManna Thehre,
Jaise Darwesh-E-Maddah Nosh Ke Piyale Me Kabhi
Ek Do Pal Ke Liye Talkhi-E-Duniya Thehre,
TuM Theher Jao Ke Madarat Ke Maykhane Se,
Chalte Chalte Kio Ek Aadh Sabu Ho Jaye,
Isse Pehle Ke Koi LaMha-E-Aainda Ka Teer,
Is Tarah Aaye Ke Paiwast-E-Qulu Ho Jaye...
* * * * *
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:38:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer