Dil ke Zakham....

by angel4u on September 29, 2006, 05:12:47 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
Print
Author  (Read 7646 times)
angel4u
Guest
«Reply #30 on: October 02, 2006, 06:15:24 PM »

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai,
Ghar Hai Kachha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai,

Tere Tohfe Ne To Bas Khoon Ke Aansu Hi Diye,
Zindagi Ab Teri Saugat Se Dar Lagta Hai,

Pyaar Ko Chod Kar TuM Aur Koi Baat Karo
Ab Mujhe Pyar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai,

Meri Khatir Na Wo BadnaaM Kahin Ho Jayein,
Isliye Unki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai...
* * * * *
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zakham by Sonu in Shayri-E-Dard
Zakham by Bharat in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
zakham by Sonu in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~~~ZAKHAM~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Zakham by Sonu in Miscellaneous Shayri
angel4u
Guest
«Reply #31 on: October 02, 2006, 06:17:42 PM »

Mujhko Maut Ne Nahi Zindagi Ne Pal Pal Sataya Hai,
Ladte Ladte Is Zindagi Ne Phir Mere KaMzor Dilko Haraya Hai,

Kaise Kahoon Is MasooM Dil Pe Kya Kya Beeti Hai,
Sunke Kisse Hawaon Ne Bhi BeshuMar Ashkon Ko Bahaya Hai,

Aisi Zindagi Ka To Bas Ek Maut Hi Sahara Hai,
Aaj Zaroorat Padne Pe Khuda Ne Bhi Mooh Mujhse Phiraya Hai,

Kaise Jiyun, Jeene Ka Bahana Bhi Nahi Milta Hai,
Gair To Gair Apno Ne Bhi Mujhe Zaar Zaar Rulaya Hai,

Na Ye Aashiqui Na Ye Dostana Mere Kisi KaaM Aya Hai,
Mauka Milne Pe Sabhi Ne Meri Hasti Ko Paara Paara Jalaya Hai,

Sunke Mere GaM Ka Afsana Nasib Bhi Mujhse SharMaya Hai,
Aap Apni Hi Nazron Me Maine Khudaya Khudko Giraya Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #32 on: October 02, 2006, 06:21:12 PM »

Beete LaMhon Ki Daastanein Jo TuM Kaho To Sunaye TuMko,
Bahut Raatein HuM Jagte Rahe Hai Chalo Zara Jagaye TuMko,
TuM Hi Ho Jo Jugnu Se Ban Ban Kar Aankhon Mein Aa Base Ho,
Jab Apni Aankhein Keh Hi Diya Hai TuMko Phir Bhala Kyon Rulaye TuMko...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #33 on: October 02, 2006, 06:22:50 PM »

Meri KisMat Banane Wale
Meri KisMat Aisi Banayi Kyon,
Meri Zindagi Me Kuch Khushiyan Thi,
Tune Unhe Mujhse Chhin Liya Kyon,

Agar Ye Dastoor-E-Zindagi Hai
To Aisi Zindagi Banayi Kyon,
Ye Shikwa Nahi Tujhse Sawal Hai,
Tune Duniya Mein GaM Banaye Kyon,

GaM Bana Ke Kar Diya Insaan Ko Bebas,
Khudkhushi Ko Kiya HaraM Tune Kyon,
Mujhe Na Mili Meri Koi Bhi Arzoo,
Unhein Meri Aarzu Banaya Kyon,

Meri KisMat Me Agar Wo Nahi Hai
To Meri Zindagi Me Use Laya Kyon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #34 on: October 02, 2006, 06:24:00 PM »

Woh Mera Tha Ye Batana Ajeeb Lagta Hai,
Ab Usse Aankh Milana Ajeeb Lagta Hai,
Jo Zindagi Me Kabhi Bhi Mera Na Ho Paaya,
Ab Uska Khwab Mein Aana Ajeeb Lagta Hai,
Bade Khuloos Se Daawat To Usne Bheji Hai,
Par Uski BazM Mein Jaana Ajeeb Lagta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #35 on: October 02, 2006, 06:25:59 PM »

Faisle Ka Din Hai Ye
Faisle Se Darti Hoon,
Daav Pe Laga Hai Dil Apna,
Haarne Se Darti Hoon,
Zindagi Jeena Kya Hai?
Zindagi Se Darti Hoon,
Ajnabi Si Raahon Mein Ab,
Insaanon Se Darti Hoon,
Dilki Dilkash Baatein Ab
Maannne Se Darti Hoon,
Chup Bhi Rehna Mushkil Hai
Guftagu Se Darti Hoon,
Haar Bhi Nahi Sakti Ye Baazi,
Par Ab Jeetne Se Darti Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #36 on: October 02, 2006, 06:27:25 PM »

Chehre Pe Gard Pairon Me Safar Hai Ke Nahi Hai,
Tu Dekh Ke Meri Manzil Pe Nazar Hai Ke Nahi Hai,

Jaa Apne Liye Dhoond Le Kisi Ahl-E-Mahal Ko,
Na Jaane Meri KisMat Me Ghar Hai Ke Nahi Hai,

Tere Paas Hai Abhi Aur Dard To Wo Bhi Mujhe De,
Na Puch Ke Mujh Me Aur Sabar Hai Ke Nahi Hai,

Meri Nindein To Mar Chuki Hai Ratjagon Ke Haath,
Tere Khwabon Ko Bhi Koi Aisa Dar Hai Ke Nahi Hai,

Ye Soch Ke Le Ayi Hoon Main Jungle Se Kuch Jugnoo,
Na Jane Ab KisMat Me Sehar Hai Ek Nahi Hai,

Tu Dekh Mera Shauk Meri Shikaston Ko Na Dekh,
Pairon Tale Tere Gahr Ki Dagar Hai Ke Nahi Hai,

Maanga Hai Tujhe Rabse Ke Ek Zid Si Hai Kab Se,
Dekhun To Meri Duwaon Mein Asar Hai Ke Nahi Hai...

* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #37 on: October 02, 2006, 06:30:16 PM »
thanks gum, chalo kisine to ye thread me reply kiya, warna kisiko pasand hi nahi ata thanks a lot daer...


SaMundar Puchhta Hai Ab Wo Dono Kyon Nahi Aate,
Wohi Dono Jo Bhigi Ret Par
Ek Dusre Ka Haath ThaaMe Dur Tak
Kabhi Haste Kabhi Kuch Gungunate
Ya Kabhi Chup Chap Baithe Door Ulfat Ki Godh Mein,
Dhalta Hua Suraj Dekhte,
Aansu Bahate Laut Jaate!!!

SaMundar Puchhta Hai Ab Wo Dono Kyon Nahi Aate,
Jo Aate The To Apne Sath Kitne Khwab Laate The,
Kabhi Saahil Se Dheron Sipiyan Chunte The,
Nange Paanv Paani Me Chale Aate The,
Bhigi Ret Se Nanhe Gharonde Bhi Banate The,
Aur UnMein Sipiyan, Rangeen Se Patther Yun Sajate The,
Ke Jaise Aaj Ke Jugnu Se LaMhe,
Aane Wale Kal Ki Mutthi Me Chhupate The!!!

SaMundar Puchta Hai Ab Wo Dono Kyon Nahi Aate,
Magar SaMundar Ne Khiza Ki Siskiyan Leti Hui
Ek ShaaM Ko Wo Naujawano Ko Nahi Dekha,
Jo Der Tak Tanha Sare Saahil Raha Baithta
Phri Usne Dher Sare Khat
Bahut Se Phool Sukhe Aur Tasveerein
Aur Apne Aakhri Aansu
Kar Diye SaMundar Ke Hawale!!!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #38 on: October 02, 2006, 06:31:12 PM »

Aankhon Ko Intezar Ka De Ke Hunar Chala Gaya,
Chaha Tha Ek Shakhs Ko Jaane Kidhar Chala Gaya,

Din Ki Wo Mehfilein Gayi Raaton Ke Ratt Jage Gaye,
Koi SaMet Kar Mere ShaMon Saher Chala Gaya,

Jhonka Hai Ek Bahar Ka Rang-E-Khayal Yaar Bhi,
Har Soo Bikhar Bikhar Gayi Khushbu Jidhar Chala Gaya,

Uske Hi DaM Se Dil Me Aaj Dhoop Bhi Chandni Bhi Hai,
Deke Wo Apni Yaad Ke Aansu Jane Kahan Chala Gaya,

Koocha Ba Koocha Dar Ba-Dar Kabse Bhatak Raha Hai Dil,
HuMko Bhula Ke Raah Wo Apni Dagar Chala Gaya,
Chaha Tha Ek Shakhs Ko Jane Kidhar Chala Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #39 on: October 03, 2006, 06:09:02 PM »
Thanks a lot gum ji Usual Smile ek to tarif karne ke liye, aur dusra itan sweet sa promise karne ke liye Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #40 on: October 12, 2006, 06:01:07 PM »

Jane Kya Kya Mujhe Sunata Tha Ye Dil,
Khud Bhi Rota Tha Mujhko Bhi Rulata Tha Ye Dil,

Ab Ye Isse Kaun Puchhe Hai Ye Kis Haal Mein,
HuM Jo Rote The To TuM Par Muskurata Tha Ye Dil,

Bewafa Ki Chot Se Ab Tak Magar SaMbhla Nahi,
Shok Se Hi Chahaton Ke ZakhaM Khata Tha Ye Dil,

Ab To Muddat Se Is Ka Bhi Pata Nahi,
Aur Tab Meri Gali Tak Roz Aata Tha Ye Dil,

Roshni Ki Ek Kiran Is Ke Mukaddar Me Na Thi,
Chand Taaron Ke Liye Gul Machata Tha Ye Dil,

Rote Rote Aap Hi KhaMosh Ho Jata Hai Ab,
Wo Bhi Din The Jab HaMare Naaz Uthata Tha Ye Dil...
* * * * *
Logged
pinky
Guest
«Reply #41 on: October 12, 2006, 07:41:40 PM »
Quote from: "gum"
Angel aap sach mein bhayut aacha likte ho...Kis bewakuf ko aap ke shayari aachi nahi lagi..Aur rahi reply ke baat toh aaj gum aap ko promise karta hai ke aap ke har thread mein GUM jaroor reply karega


he he he :lol:

achcha promise hai GUM bhai..
Tum iska Gham padh padh kar
chewing Gum ban jaoge dekhna..
he he he :lol:

Par wakayi achcha likhti hai yaar!!
Logged
pinky
Guest
«Reply #42 on: October 12, 2006, 07:42:47 PM »
Mere Dil ke Zakhm Ab
uske bhi mohtaaj nahi rahe..
Ke uski yaadein hi itna
tadpa jaati hain mujhe..!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #43 on: October 13, 2006, 12:22:16 AM »
Koi nahi chewing gum bhi achha hi hota hia wiase Usual Smile
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #44 on: October 13, 2006, 01:05:19 AM »

Nigahein daal ke mujh pe yeh kaisa vaar kar daala
ke lab khole bina hi tum ne to izhaar kar daala

na khwaboon mein bhi tum aaye aur na hui tum se mulakaatein
arey kya khoob hain aap...lamhe mein hi pyaar kar daala

shararat tum mein bhi hai aur shararat hum mein bhi aey dost
shararat hi shararat mein dilon ko paar kar daala

zamana bhar to soche ga ki peche hai koi saazish Qaidi
ke baithe hi bithae pyaar be shumaar kar daala
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 03:52:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer