Dil ke Zakham....

by angel4u on September 29, 2006, 05:12:47 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Author  (Read 7701 times)
angel4u
Guest
«Reply #45 on: October 13, 2006, 05:58:00 PM »
Nice one zkq ji...


Khoya Khoya Udaas Sa Hoga,
TuM Se Wo Shakhs Jab Mila Hoga,

Qurb Ka Zikr Jab Chala Hoga,
DarMiyan Koi Faasla Hoga,

Rooh Se Rooh Ho Chuki Begaani,
JisM Se JisM Kab Judaa Hoga,

Phir Bulaya Hai Usne Khat Likhkar,
SaMne Koi Maslaa Hoga,

Ghar Mein Sab Log So Rahe Honge,
Phool Aangan Mein Jal Chuka Hoga,

Kal Ki Baatein Karoge Jab Logon,
Khauf Se Dil Mein MaataM Hoga...
* * * * *
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zakham by Sonu in Shayri-E-Dard
Zakham by Bharat in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
zakham by Sonu in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~~~ZAKHAM~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Zakham by Sonu in Miscellaneous Shayri
angel4u
Guest
«Reply #46 on: October 13, 2006, 06:01:16 PM »

Haath Ki Lakeeron Mein,
Kya Talash Karte Ho,
In Fuzool Baaton Mein
Kis Liye Ulajhte Ho,
Jin Ko Milna Hota Hai,
Bin Lakeer Dekhe Hi
Zindagi Ki Raahon Par
Saath Saath Chalta Hai,
Phir Kab Wo Bichhadte Hai,
Jo Nahi Muqaddar Mein
Kab Wo HaMein Milta Hai,
Kab Wo Saath Chalta Hai,
Hath Ki Lakeeron Mein
Kya Talash Karte Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #47 on: October 13, 2006, 06:05:04 PM »

Ab To HuM Hai Aur HaMari Tanhaiyan,
Ishq Ki Kuch Ruki Hui Hai Dil Mein Parchhaiyan,
Tootti Jaati Hai Saansein Doobta Jaata Hai Dil,
Kyon Mili Aakhir HaMein Pyar Mein Ruswaiyan,
Ki Thi Jitni Bhi Dua HuMne Tujhe Paane Ki,
Utni Hi Tanha Karti Gayi Mujhe Ye Dardki Gehraiyan...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #48 on: October 13, 2006, 06:07:13 PM »

Zindagi Se Badi Saza Hi Nahi,
Aur Kya JurM Hai Pata Hi Nahi,

Itne Hisso Mein Bat Gayi Hoon Main,
Mere Hisse Mein Kuch Bacha Hi Nahi,

Sach Ghate Ya Badhe To Sach Na Rahe,
Jhuth Ki Koi Intehaan Hi Nahi,

Tol Do Chandni Me Chahe Sone Mein,
Aaina Jhuth Bolta Hi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #49 on: October 13, 2006, 06:09:39 PM »

Ye Raaz-E-Mohabbat Chhupa Raha Hai Koi,
Hai Ashq Aankho Mein Aur Muskura Raha Hai Koi,

Nazar Nazar Mein Kisika Aks Dikha Raha Hai Koi,
Nafaz Nafaz Pe Mujhe Yaad Aa Raha Hai Koi,

Dhoke Hi Dhoke Hai Saare Waade Aur KasMein Uski,
Na Aa Raha Hai Koi Aur Na Jaa Raha Hai Koi,

Ye Husn-O-Ishq Ki Tasveer Ke Hai Do Manzar,
Ki Ro Raha Hai Koi Muskura Raha Hai Koi,

Hashr Mein Pahuche To HuM Ne Kya Dekha,
Kisike Hath Se DaaMan Chhuda Raha Hai Koi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #50 on: October 13, 2006, 06:10:38 PM »

Mere Rafiqon Mere Doston Mujhe Zindagi Ki Dua Na Do,
Main To Pyar Ke Kaabil Nahi Mujhe Dil Mein Itni Jagah Na Do,

Mujhe Zindagi Ka Shauk Na Raha Mujhe Zindagi Ne Diya Hai Kya,
Main Marun Ye Mujhko Haq Hai, Main Jiyun Ye Mujhko Saza Na Do,

Wo Bane The Mere Jo HuMsafar Wohi Chal Diye Mujhe Chhod Kar,
Main Jahan Se Aya Hoon GhaMzada, Mujhe Phir Wahin Se Sada Na Do,

Is Zindagi Ki ShaaM Ka, Mujhe Dar Tha Is AnjaaM Ka,
Mujhe Ek Aansu Ki Tarah Kahin Aankh Se TuM Gira Na Do,

In Tanhaiyon Ki Qabr Par GaM Ka Kafan Odhe,
Main Jo So Gayi Hoon Chain Se Mujhe Nind Se Phir Jaga Na Do...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #51 on: October 13, 2006, 06:11:38 PM »

Seene Mein Dard Aankh Mein Paani Aya Hoga,
Teri Raah Mein Bhi Ye MuqaaM Aaya Hoga,
Sisakte GhaM Ka Saya Har Taraf,
Roshni Ka Pata Nazar Na Aaya Hoga,
Naaz Tha TuM Par Jo Rahoge UMr Bhar Saath,
Kuch Hi Din Mein Kaise Bhulaya Hoga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #52 on: October 13, 2006, 06:14:15 PM »

Jo Dilko Lagate Hai
Aksar Pachhtate Hai,

Ek Aag Ke Dariya Mein,
Kashti Ko Chalate Hai,

Deewane Phirte Hai,
Raatko Karaahte Hai,

Koi Puchhe Wajah Un Se,
To Saaf Chhupate Hai,

Dil Me To Rote Hai,
Zaahir Muskaate Hai,

Sab SitaM Mohabbat Ke,
Hans Hans Ke Uthate Hai,

Sachhe Aashiq To Khalish
Sooli Chadh Jaate Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #53 on: October 13, 2006, 06:17:21 PM »

Udaas Aankhon Se Aansu Nahi Niklate Hai,
Ye Motiyon Ki Tarah Seepiyon Mein Palte Hai,

Ghane Dhuwein Mein Farishte Bhi Aankh Malte Hai,
TaMaM Raat TaMannaon Ke Ped Jalte Hai,

Main Phool Nahi Raaste Ka Patthar Hoon,
Yahan Se Sawaar Bhi Paidal Chalte Hai,

Unhein Kabhi Na Batana Main Unki Aankhein Hoon,
Wo Log Phool SaMajh Kar Mujhe Masalte Hai,

Ye Ek Ped Hai Aa Isse Milkar Ro Lein HuM,
Yahan Se Tere Mere Raaste Badalte Hai,

Kayi Sitaron Ko Main Jaanti Hoon Bachpan Se,
Kahin Bhi Jaun Mere Sath Sath Chalte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #54 on: October 13, 2006, 06:21:36 PM »

Dil Se Aankh Tak Dard Ka Safar Aansu Kehlate Hai,
Jitna Bhulaun Main Apna Maazi Utna Yaad Aata Hai,
Raato Ke Pichle Paher Uth Kar,
Khwab Saare Ashq Bahate Hai,
Bata To Sahi Dil-E-Tanha Mere,
Tujhe Kaun Yaad Ata Hai...
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #55 on: October 16, 2006, 11:26:14 AM »
Good job Angel... Bohat khoob!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #56 on: October 23, 2006, 05:24:33 PM »
Thanks Aryaan


Aitbaar Toote To,
Wo Bhi Aise Logon Par
Jinko HuM Apna Jaanein,
Jab Bhi GhaM Se Bojhal Ho,
Unko Meherbaan Maane,

Aitbaar Toote To,
Aise ZakhaM Milte Hai,
Jo Kabhi Nahi Bharte,
Meherbaan Saaye Jab
HuMse Rooth Jaye To,
Aisi Dhoop Milti Hia,
JisMe Rooh Jalti Hai,

Aitbaar Toote To,
Dil Ke Aaine Jo Hai,
Wo Bhi Toot Jaate Hai,
Wo Jo Aks Apne Ho
Wo Bhi Rooth Jaate Hia,

Aitbaar Toote To,
Aise ZakhaM Milte Hai,
Aisi Dhoop Milti Hai,
Aise Aks Khote Hai,
Log Hans Bhi Lein Shayad,
Dil HaMesha Rote Hai,
Aitbaar Toote To...
* * * * *
Logged
Prashant_Orissa
Guest
«Reply #57 on: October 23, 2006, 07:16:50 PM »
Hi Angel..All r superb really..i have no words to explain it..keep it up..

Ye khuda unki dil se to mera pyar mit chuka hai,
Ab unki yadon se mera naam ko mita de,

Unhe bhulne ki faryad main kabhi karun to ,
Woh faryad ko mera kafan hi bana de..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #58 on: October 23, 2006, 08:19:32 PM »
Thanks prashant.

YOu too write lovely. Keep it up buddy..
Usual Smile

take care
Angel
Logged
Prashant_Orissa
Guest
«Reply #59 on: October 24, 2006, 06:04:29 AM »
Thank U Angel..

Kis mod pe hum mile the ye na tumhe yaad hai na mujhe
Phir kaisi hai ye yaden jisme na tum ho na hamari baten

Har manzil pe pahunch ke jab bhi palat ke dekhta hun
khamoshion se kuchh awaz to aa raha hai jo na tumhe sunai de raha hai na mujhe..
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 05:40:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer