Dil Ki Baat Dil Me Rahii Ho Jaise... !! (Naresh Mehra)

by Anshumali on July 10, 2010, 11:34:25 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3316 times)
Anshumali
Guest
Dil Ki Baat Dil Me Rahii Ho Jaise
Hans Ke Tuu Naa Hansii Ho Jaise...

Um'r Se Lambii Sadak Pe Chalte
Koi Sadaa Tuune Sunii Ho Jaise...

Armaan Jitne Sajaye The Kabhi
Woh Aas Dil Me Dabii Ho Jaise...

Dekhne Ko Tasveer Haath Me
Yaad Koi Puraani Lii Ho Jaise...

Raat Ke Khaali Sannaate Me
Saans Ruk Ruk Ke Chalii Ho Jaise...

Waqt Ke Band DarwaazoN Me
Jaag Ke Der Tak Darrii Ho Jaise...

"Naresh" Se Le Ke Koi Kiitaab
Tuune Raat Bhar Padhii Ho Jaise...

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pyaar Me Milne Ki Zaroorat Hoti Hai... !!! ( Naresh Mehra ) by Anshumali in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Koi Baat Dil Se Yun Naa Lagaya Karo ... ! ( Naresh Mehra ) by Anshumali in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ke Tum Mujhe Pasand Ho... ! By : NARESH MEHRA by Anshumali in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Duniya Baat SochTii Reh Jayegi ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Ghazals « 1 2  All »
Ghar Ki Har Baat Baahar Chali Gaii ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Ghazals « 1 2 3  All »
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #1 on: July 10, 2010, 11:40:18 PM »
Wah Wah Naresh Ji Kya Kehne
Behad Khoobsurat Peshkash Hai
Aagaz Se Anjaam Tak Behtareen
Bahut Hi Umda Ghazal Hai Janaab

Dad Hazir Hai.
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #2 on: July 12, 2010, 02:51:25 AM »
Wah Wah Naresh Ji Kya Kehne
Behad Khoobsurat Peshkash Hai
Aagaz Se Anjaam Tak Behtareen
Bahut Hi Umda Ghazal Hai Janaab

Dad Hazir Hai.


Aapki Hausla Afzaai ka bahut bahut shukriya.....Ji !
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #3 on: July 12, 2010, 05:38:07 AM »
BEHAD HASEEN KHAYALON SE AARA BEAD KHOOBSURAT TAKHLEEQ........
BAHUT KHOOB.......
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #4 on: July 12, 2010, 06:09:39 AM »
har lafz tujhse li us kitaab ka
teri daastaan keh raha ho jaise

teri kahani me thi kuch aisi baat k
mujhe apni kahani lag rahi ho jaise

gunguna uthi main teri har nazm
mere sur saje hon inme jaise
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #5 on: July 12, 2010, 06:18:40 AM »
Badi achhi peshkash hai Naresh-ji aapki.... Applause Applause Applause

Issi lay mai kuchh lines pesh hain.....

Kehne ko labo tak koi baat aayee ho jaise
Majboor kaaranvash keh naa sakee ho jaise

Waqt k gujarte lamho me kahin uljhi ho jaise
Meri yado k saaye me kabhi soyee na ho jaise


Dil Ki Baat Dil Me Rahii Ho Jaise
Hans Ke Tuu Naa Hansii Ho Jaise...

Um'r Se Lambii Sadak Pe Chalte
Koi Sadaa Tuune Sunii Ho Jaise...

Armaan Jitne Sajaye The Kabhi
Woh Aas Dil Me Dabii Ho Jaise...

Dekhne Ko Tasveer Haath Me
Yaad Koi Puraani Lii Ho Jaise...

Raat Ke Khaali Sannaate Me
Saans Ruk Ruk Ke Chalii Ho Jaise...

Waqt Ke Band DarwaazoN Me
Jaag Ke Der Tak Darrii Ho Jaise...

"Naresh" Se Le Ke Koi Kiitaab
Tuune Raat Bhar Padhii Ho Jaise...

 
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: July 12, 2010, 07:55:21 AM »
Dil Ki Baat Dil Me Rahii Ho Jaise
Hans Ke Tuu Naa Hansii Ho Jaise...

Um'r Se Lambii Sadak Pe Chalte
Koi Sadaa Tuune Sunii Ho Jaise...

Armaan Jitne Sajaye The Kabhi
Woh Aas Dil Me Dabii Ho Jaise...

Dekhne Ko Tasveer Haath Me
Yaad Koi Puraani Lii Ho Jaise...

Raat Ke Khaali Sannaate Me
Saans Ruk Ruk Ke Chalii Ho Jaise...

Waqt Ke Band DarwaazoN Me
Jaag Ke Der Tak Darrii Ho Jaise...

"Naresh" Se Le Ke Koi Kiitaab
Tuune Raat Bhar Padhii Ho Jaise...

 

Bahut Bahut Khoob Anshumali Ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut Ache Koyalji,Kasak Dil ki.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: July 12, 2010, 08:31:20 AM »
Dil Ki Baat Dil Me Rahii Ho Jaise
Hans Ke Tuu Naa Hansii Ho Jaise...

Um'r Se Lambii Sadak Pe Chalte
Koi Sadaa Tuune Sunii Ho Jaise...

Armaan Jitne Sajaye The Kabhi
Woh Aas Dil Me Dabii Ho Jaise...

Dekhne Ko Tasveer Haath Me
Yaad Koi Puraani Lii Ho Jaise...

Raat Ke Khaali Sannaate Me
Saans Ruk Ruk Ke Chalii Ho Jaise...

Waqt Ke Band DarwaazoN Me
Jaag Ke Der Tak Darrii Ho Jaise...

"Naresh" Se Le Ke Koi Kiitaab
Tuune Raat Bhar Padhii Ho Jaise...

 

Bahut khoob Naresh Ji
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #8 on: July 12, 2010, 10:50:52 AM »
tHANKS A LOT kHWAISH-BHAI....

Bahut Bahut Khoob Anshumali Ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut Ache Koyalji,Kasak Dil ki.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
Anshumali
Guest
«Reply #9 on: July 12, 2010, 04:46:37 PM »
BEHAD HASEEN KHAYALON SE AARA BEAD KHOOBSURAT TAKHLEEQ........
BAHUT KHOOB.......

Bahut bahut shukriya....Mamta Ji ! aapka koshish ko saraahne ka....khush rahen...

apna khayal rakhen...
duaaon ke saath....
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: July 12, 2010, 05:16:18 PM »
Naresh Bhai.. Yakin Maaniye Aapko Pahali Baar Padha hai.. aur Padh Kar dil Baag baag Ho gaya.. Aapki Yeh Rachna Dil Tak utar Gai.. Jazzbaaton Ko Lafzon Me Behad Khubsoorati se Utaara Hai aapne.. Applause Applause

Yunhi Likhte Rahiye.. Aapki Har Peshkash Ka ab Intzaar raha Karega..!!  icon_thumleft icon_thumleft

Daad Kuboooool Karen.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #11 on: July 13, 2010, 12:14:13 AM »
har lafz tujhse li us kitaab ka
teri daastaan keh raha ho jaise

teri kahani me thi kuch aisi baat k
mujhe apni kahani lag rahi ho jaise

gunguna uthi main teri har nazm
mere sur saje hon inme jaise


Very Impressive Lines....Kasak JI ! bahut khoob !

aainda bhi aise hi saath nibhaate rahiyega... khush rahen...

apna khayal rakhen...
duaaon ke saath....
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #12 on: July 14, 2010, 04:55:42 PM »
Badi achhi peshkash hai Naresh-ji aapki.... Applause Applause Applause

Issi lay mai kuchh lines pesh hain.....

Kehne ko labo tak koi baat aayee ho jaise
Majboor kaaranvash keh naa sakee ho jaise

Waqt k gujarte lamho me kahin uljhi ho jaise
Meri yado k saaye me kabhi soyee na ho jaise



Aapke pesh kiye ashaar bahut khoob lage mujhe....koyal Ji ! meri koshish ki pasanegi ka bahut bahut shukriya...aainda bhi aise hi saath nibhaate rahiyega...khush rahen...

apna khayal rakhen...
duaaon ke saath...
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #13 on: July 15, 2010, 05:47:23 AM »
Why not sure we all are here to express ourselves......
Thanks....Nareshji


Aapke pesh kiye ashaar bahut khoob lage mujhe....koyal Ji ! meri koshish ki pasanegi ka bahut bahut shukriya...aainda bhi aise hi saath nibhaate rahiyega...khush rahen...

apna khayal rakhen...
duaaon ke saath...
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #14 on: July 16, 2010, 02:57:07 PM »
Bahut Bahut Khoob Anshumali Ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut Ache Koyalji,Kasak Dil ki.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Khwaish Ji.....aapki pasandegi aur hausla afzaai ka bahut bahut shukriya...khush rahen.... !
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:29:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer