Dil ki baatein...

by -Kashish- on October 01, 2010, 10:54:34 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1404 times)
-Kashish-
Guest
Dil ki yeh baatein chahe sabse chupaye'in hum
Gunaah se apne kaise mukar jaaye'in hum...

Har chehre par hai naqaab par naqaab
nayi shaklon se kaise dil ko samjhaaye'in hum...

Kya manzar hai hi mera saaya hi mera raqeeb hai
apni parchaayi se kaise juda ho paaye'in hum...

Bas khaaali dil meintujhe paaya hai "kashish"
ab tanha rehte aur kab tak muskuraaye'in hum...

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil se dil ki baatein by urs4evasomdev in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 5 6 »
Baatein! by Ravi_Dave in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
dil ki baatein by phoenix in Shayri-E-Dard
DO BAATEIN AAPKI DO BAATEIN HUMARI by muskan_bye in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2 3  All »
Baatein... by daljeet_faqeer in Shairi - E - Zindagi
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #1 on: October 01, 2010, 11:01:26 AM »
bahut bahut khoob likha hai aapne kashish ji.. Applause Applause Applause
mujhe teesra sher bahut baut pasand aaya..
likhtee rahiye..
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: October 01, 2010, 11:08:33 AM »
Kashish Shahab/ Sahiba Aadaab...

Aapke tarruf se waqif nahi, gustaqi na ho jayeN is liye
Sahab aur sahiba kah raheN hai... Marrat chaheNge..
Janab behad achchi ashaaroN se nawaaza hai...
Daad kabool kijiye......

          



Dil ki yeh baatein chahe sabse chupaye'in hum
Gunaah se apne kaise mukar jaaye'in hum...

Behad gehra sher hai.... Daad janab         


Har chehre par hai naqaab par naqaab
nayi shaklon se kaise dil ko samjhaaye'in hum...

Kia baat hai behad sahiN farmaya aapne...
Kafi dilchasp baat kah dii.... Daad         



Kya manzar hai hi mera saaya hi mera raqeeb hai
apni parchaayi se kaise juda ho paaye'in hum...

Sher ka khayaal behad khoob hai daad.. par Raqeeb lafz se sher  complicate ho gaya hai wazahat farmaiyeNga... Usual Smile         


Bas khaaali dil meintujhe paaya hai "kashish"
ab tanha rehte aur kab tak muskuraaye'in hum...

Masha Allah Kia baat hai behad khoob sher kaha hai..
Daad janab.......         






Likhate rahiye.......
Khush o aabaad rahiye......

Aate rahiye.....
Khuda Hafez..... Usual Smile         

Logged
diya786
Guest
«Reply #3 on: October 01, 2010, 11:11:39 AM »
Welcome come Back Gudiya Rani
Bahut Khushi Hui Aapko Yahan Dekh

Auron Ko To Pata Nahi Par Shayad
Mein Aapke Dard Se Anjaan Nahi Hun Behna
So Mera Dil Gawaara Nahi Karta Ki Ispe Wah Wah Karun
Phir Bhi Itna Kahunga Ki Dil Ke Ehsaasaat Ko Aapne
Lafzon Ki Shaql Mein Badi Khoobsurati Se OPesh Kiya Hai.

ALLAH Pak Aapko Humesha Khush Rakhe Aameen...

Aapka Bhai...

~Shihab~


Shukriya Majid Bhai
bas dua'in dete rahiye...
aur kuch nahin.........
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #4 on: October 01, 2010, 11:12:14 AM »
wah kashish jii wahhh ..

kehen ko to dil bejubaan seene me dhadakta he yaron,
shayar wo he "Abhi" jo mehfil me dil ko jubaan deta he~

Logged
diya786
Guest
«Reply #5 on: October 01, 2010, 11:16:29 AM »
bahut bahut khoob likha hai aapne kashish ji.. Applause Applause Applause
mujhe teesra sher bahut baut pasand aaya..
likhtee rahiye..

Shukriya janaab
Logged
baadal102
Guest
«Reply #6 on: October 01, 2010, 11:20:12 AM »
bahut khoob kashish ji Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #7 on: October 01, 2010, 11:21:40 AM »
Kashish Shahab/ Sahiba Aadaab...

Aapke tarruf se waqif nahi, gustaqi na ho jayeN is liye
Sahab aur sahiba kah raheN hai... Marrat chaheNge..
Janab behad achchi ashaaroN se nawaaza hai...
Daad kabool kijiye......

          



Likhate rahiye.......
Khush o aabaad rahiye......

Aate rahiye.....
Khuda Hafez..... Usual Smile          



Bohat bohat shukriya Parwaaz sahab........ notworthy
aapki har sher par daad dene ka nazariya humein pasad aaya....
waise aap kashish Sahiba likh sakte hain
Logged
diya786
Guest
«Reply #8 on: October 01, 2010, 11:23:12 AM »
wah kashish jii wahhh ..

kehen ko to dil bejubaan seene me dhadakta he yaron,
shayar wo he "Abhi" jo mehfil me dil ko jubaan deta he~



shukriya Abhi ji
aapne bhi bohat accha likha hai

 Applause Applause Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #9 on: October 01, 2010, 11:26:13 AM »
bahut khoob kashish ji Applause

Shukriya Baadal ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: October 01, 2010, 11:34:17 AM »
Dil ki yeh baatein chahe sabse chupaye'in hum
Gunaah se apne kaise mukar jaaye'in hum...

Har chehre par hai naqaab par naqaab
nayi shaklon se kaise dil ko samjhaaye'in hum...

Kya manzar hai hi mera saaya hi mera raqeeb hai
apni parchaayi se kaise juda ho paaye'in hum...

Bas khaaali dil meintujhe paaya hai "kashish"
ab tanha rehte aur kab tak muskuraaye'in hum...




Bahut bahut Khoob kashish!!!Dil ke Jazbaaton ko lafzon mein utaara hai aapne. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aapko dekh kar bahut khushi hui hai,main yeh baat pehle bhi keh chuka hoon

humesha khush rahe.. icon_flower
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: October 02, 2010, 12:40:31 AM »
bahut khoob likha hai aapne Kashish ji...!!!
Logged
Yaash
Guest
«Reply #12 on: October 02, 2010, 02:53:35 AM »

 Applause Applause Applause

Dil ki yeh baatein chahe sabse chupaye'in hum
Gunaah se apne kaise mukar jaaye'in hum...

Har chehre par hai naqaab par naqaab
nayi shaklon se kaise dil ko samjhaaye'in hum...

Kya manzar hai hi mera saaya hi mera raqeeb hai
apni parchaayi se kaise juda ho paaye'in hum...

Bas khaaali dil meintujhe paaya hai "kashish"
ab tanha rehte aur kab tak muskuraaye'in hum...


Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #13 on: October 02, 2010, 05:59:26 AM »
Bahut Dard Bhari Peshkash Hai Kashish.. Dard Ho Ya Mohabbat.. Inhe Lafzon me Utaarna aap Bakhoobi Jaanti hain.. Daad Kubool Karen.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:30:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.169 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer