dil ki chubhan

by Nino on January 29, 2006, 03:19:21 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1697 times)
Nino
Guest
Aaj to rishta bhi toot gaya jise maine kabhi aapne haathoon se sawara tha
tum humse hi itni zid karke rooht gaye jaise main aapna nahi koi begana tha
aaj main apne dil ki baat jaker kis se kahoon is puri duniya mein
yahan to sab itne masroof hein kise bhi meri daastan sunna yaha na gawanra tha
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
raato ki chubhan........ by purani_jeans_aur_guitar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
KAANTO SE GEHRI CHUBHAN DE GAYA by amarhellboy in Shayeri for Dard -e- Bewafai
* Kaanton Kii Chubhan* by honeyrose in Shayri-E-Dard
***Kandia'n Di Chubhan*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Dard -e- Judai
chubhan by miss impossible in Shayri for Khumar -e- Ishq
Nino
Guest
«Reply #1 on: January 29, 2006, 03:22:26 PM »
kaise ker liya tune aetebar meri us baat ka
jisse main khud ko khud mitane nikal pada
ab to in rahoon mein koi humsafar bhi nahi
to phir kaisi umeed rakhoon ab is duniya se main
Logged
Nino
Guest
«Reply #2 on: January 29, 2006, 03:27:40 PM »
Kis baat ki de rahi ho saaza ab hume
kaun sa gunaah ho gaya ab humse
tumne sooch bhi kaise liya meri zindagi
ki zinda reh paunga ho ker judaa tumse
Logged
Nino
Guest
«Reply #3 on: January 29, 2006, 03:29:23 PM »
najane kaun si ghalti ki is dil ko mili hai sazaa
najne kaun sa aarmaan hai jo na hua pura
ab to dil ki chubhan bhi ghati nazer nahi aati
kab tak is aag mein jalna pade ye bata ab mere khuda
Logged
Nino
Guest
«Reply #4 on: January 29, 2006, 03:31:27 PM »
ik pal ke liye tumne  humari sanse bhi nikal di
phir kiyu dawa hai tumhara ki tumne pyaar mein jaan di
kaun si mangi thi maine tumse qurbani apne pyaar ki
jo aaj tak mil rahi hai tum se sazaa apne pyaar ki
Logged
Nino
Guest
«Reply #5 on: January 29, 2006, 03:36:23 PM »
teri di hui bechaini ne to humne kuch likhne ke qabil tak na choda
baitha hoon yahan sher likne per ye to dekhoo dosto ki
aaj unki ehsass ne muhj mein wo shayer tak na choda
ab do lqalaam likh bhi dunga to faida unka
unhone to humne jeene ke qabill tak na choda
Logged
Nino
Guest
«Reply #6 on: January 29, 2006, 03:38:19 PM »
maut mangta hoon us khuda se main din raat
kabhi to mil jaye hume is gunah se koi nijaat
ab to ye ghutaan nazoor si bangayi hai
bas dil keh raha ja ker khud ko kardoon aaj barbaad
Logged
Nino
Guest
«Reply #7 on: January 29, 2006, 03:40:26 PM »
Us barbaadi se bhi hume koi nijaat nahi mili
gunaah ka ehsaas aur bhi bad gaya hai seene mein
teri di hui baduwa aaj bhi mere saath hai
shayed is wajaah se ik aur hi rang hain mere jeene mein
Logged
Nino
Guest
«Reply #8 on: January 29, 2006, 03:43:15 PM »
tumhi bata do aaye mere dost ki kaise main unhe jaker mana loon
koi aaisi baat ho gayi jis ki main khud ko kaise saaza doon
ab to us khuda ke paas bhi mere is gunah ki koi maafi nahi
jitni bhi mil jaye is ki saaza shaiyed wo mere liye kaafi nahi
Logged
Nino
Guest
«Reply #9 on: January 29, 2006, 03:47:26 PM »
Dedo aaj tum bhi hume koi tana dedo
aur kuch nahi to marne ka bahana dedo
uske bina jeene se ab hume kia hasil
kaheen door qaberistan mein hume koi thikana dedo

Us qaber ko humre naam ik ashiyaane dedo
us miti mein do pal ki neend ke liye koi sarhana dedo
mar ke bhi hume shayed is gunhaa se nijaat na mil sake
per bhi aye yaaro koi to humne marne ka bhana dedo
Logged
Nino
Guest
«Reply #10 on: January 29, 2006, 03:49:37 PM »
dil ke toot te hi ik awaaz si aayi hai
najane kiyu maut ne ki hum se bewaafai
main to chala tha is zindagi ko tere naam quraban kerne
per meri kismat bhi dekho ki kitni harjai hai
Logged
Nino
Guest
«Reply #11 on: January 29, 2006, 03:59:56 PM »
Maar do muhjhe ab ye ghutaan bardaasht nahi hoti
sirf andhera hi andhera hai nazer nahi aati koi joti
kitna tanhaa hoon main aaj mehfil mein dosto
ki ye tanhai ab dil se bardasht nahi hoti

kiyu nahi milti hai maut muhjko aye khuda
ab to is ka faisla tu bhi humko de suna  
takleef kitni aur milegi is jahan mein muhjko
bas itni si baat aaj mihjko tu samjha
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:37:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer