dil ki duniya nilaam kii .............................

by salil2002 on January 17, 2007, 08:47:16 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1012 times)
salil2002
Guest

kehna chaha tha tujhse ye haale-dil par tune izazat na di
mere aansuon ne bhi mere dost mujhse bagawat na ki

tu keh k alvida nayi raah par chal padi
tere musafir ne bhi apni zindgi ki aakhri shaam jii

tab se viraaniyaan likhwa li apne muqaddar main
jab se tune is dil ki duniya nilaam ki

dard ko chhupa k bhi main hansta raha doston
mere mehboob se mile dard ki na kissi ko pehchaan di

zakhmo pe marham bhi main kaise lagata
woh yaad dilaate thay oos beeti huyi dastaan ki
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
duniya by jeetufor_u in Shayri-E-Dard
^*^ Husn Sar-E-Bajar Nilaam ^*^ by Matrix Guy in Shayeri for Dard -e- Bewafai
***MOHABBAT NILAAM H**** by Asif samani jaunpuri in Shairi - E - Zindagi
Mohabbat Ko Nilaam Bazaar Mein Nilaam Kar Diya by Ajit_mehta in Shayri for Khumar -e- Ishq
is krobaar me to sab kuch nilaam ho jata hai..ma... by Asif samani jaunpuri in Shayri for Dard -e- Judai
Pooja
Guest
«Reply #1 on: January 18, 2007, 04:36:54 PM »
wah wah wah Salil ji,  kaya baat hai!! bahoot hi dil se likhi hui kavita hai.. bahoot hi acha likha hai…

Kah dete haal-e-dil to yah muqdaar na banta
Tere bin Door tujse aise jeevan na kat.ta

Ansoo mere samjhate rahe barso mujko
Her musafir main tera hi chehra na dikhata

Viraanio ke sung dhalati rahi subah sham meri
Jakhmo ki basati main, koi rasta na tha dikhta

Kaya soch kar dard ne diya hum dono ka sath
Bhari duniya main bhi, koi apna na tha dikhta

Kuch is tarah se ab sabar kar liya Pooja ne
Waqat se pahle, kismet se jayada, yahan kisi ko kuch nahi milta!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #2 on: January 18, 2007, 05:55:51 PM »
very well written.. pooja ji n salil...  keep it up.. ek choti si koshish mei bhi


Hal-e-dil SunaNe se araam kahan
Mujhe mere aaiboN se bard kar Inaam kahan

rangat kya hai iss zaamaane ke fitrat ki
Jo mil jaye sakoon,woh gardish-e-mukaam kahan

ek dar par panapta shabnami gulshan
magar shor-e-Qatal-e-amm se mehfoos kahan

JEET matt ulaj,bas aapni bandagi kar
bikhar jaayegi hasti,phir dhoonde tera naam-o-nishan kahan...!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: January 18, 2007, 06:05:05 PM »
Haal-e-dil mehboob ko SunaNa jaroori hai
Nahi kisi aor ko batlana dastoori hai

Payaar main aaibon ki parwaah na kar
Gardish-e-dard main, sath nibhana jaroori hai
Apne dar ki shabnam-e-gulistaan ko samjha
Waqat ke sath, zindagi ko samjhna jaroori hai

Kaya mila kaya rah gaya, iski soch kaha ab
Ishaq ki agg mai khud ko mitaana jaroori hai
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #4 on: January 18, 2007, 06:22:42 PM »
Ankheein boli,lub bejuban hi rahe
Hum har lamha uske liye bekrar hi rahe

Kiya jo kasoor lagaya usse dil sung
Iss paratish ki ajmaish humse woh karte hi rahe

bandagi-e-moha'bat kya samjhe hum
unse pyaar ki taman'na hum chahte hi rahe

chalte rahe yu silsaley,aor badalte rahe mausam
JEET dar-b-dar unke liye,hum batakhte hi rahe
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: January 18, 2007, 06:31:14 PM »
wah kaya baat hai dono hi kavita bahoot achi likhi hai apne Jeet... bahoot dino baad yoindia per likh rahi hu... sath dene ka shukaria Usual Smile

Bekarari tere dil ki, is dil ko di sunai hai
Waqat se is dil ne bahoot maat khai hai

Hua kasoor tujse sirf itna khud ke sung
Ek pathar dil se tune preet lagaai hai

Tamnnaye jiski ho chuki hai kab ki duffan
Usi ko dil ki tamnnaye  apni dikhlaai hai

Bhatak rahi hai jo Pooja khud waqat ki khak main
Kayun wahan apni manjil ki aass tumne  lagai hai!!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #6 on: January 18, 2007, 06:48:33 PM »
thanks...

Kuch batakti chaah jo mujhse aa mili hai
ussi pagdaandi par aab meri raah bani hai

Umeed-e-kiran tum kya jaanoge saki
meri kismat tere hathon se hi buni hai

Ishq ki agg se bekhabar na tha main
par teri preet ki chaw mere liye sabse badi hai

Dhoonda kiya uss pal ko hum bohaat JEET
har soch ki soch bas abh meri tujhse hi sujhi hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: January 18, 2007, 07:04:53 PM »
bahoot khoob !!

ek kadam bhi jo chale galat
umarbhar manjil talshate rahoge

Umeed-e-kiran ke jazbe ko salam
Umarbhar takdeer sawarnte rahoge
Ishaq ki agg ko samjh kar kudna
Umarbhar Ishaq talashte rahoge

Umarbhar bahoot dhoonda Pooja ko maine
Umarbhar ussi ko pukarte rahoge!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: January 18, 2007, 09:04:17 PM »
Bahut achhe pooja ji.
sabne achah likha hai,
behtareen.
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #9 on: January 19, 2007, 03:24:50 AM »
Thanks Anegl.. n good reply pooja ji...

Hashar-e-anjaam iss duniya se
isske siwa maine kya paya hai

kasoor tera nahi hoga iss mein
yehi kismat mein maine likhwaya hai

har mod pe mil jaate hain dil-fareb aksar
lekin iss dil-fareb pe maine tann mann lutaya hai

JEET Ishq paana shayad tere bas ki baat nahi
isse liye khuda ne tujhe itna tanha banaya hai....!!!
Logged
paani
Guest
«Reply #10 on: January 19, 2007, 03:56:20 AM »
Sahil , pooja  Nice...........
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: January 19, 2007, 09:08:02 AM »
u all r gr8 jeet ji aur pooja ji kya baat hai....................itne dino baad itni achchi lines aap ko toh regular likhna chahiye..............

thnks angel and paani
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:41:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.187 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer