Dil Ko Patthar Bana Liya Maine

by majid on March 25, 2008, 07:53:05 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 5107 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: March 31, 2008, 06:17:46 PM »
Saari Tamannao Ko Mita Diya Hai Maine.
Haan Ab Dil Ko Patthar Bana Liya Hai Maine.

Ye Sochkar Ki Ab Koi Khushi Nahi Bakht Main Mere
Bus Isi Liye Khud Ko Gum Main Doobo Diya Hai Maine.

Kamaal Ye Hai Jo Kabhi Dushman Pe Chalana Tha Mujhe
Wahi Teer Aaj Apne Kalejey Pe Kha Liya Hai Maine.

Aakhir Main Tanhaai Aur Akelapan Hi Kaam Aaya Mere
Jab Ki Is Hayyat Main Har Ek Rishety Ko Aazma Liya Maine

Jab se apki yah kavita padi thi.. tab se dil mai tha ki kuch likhu.. magar kabhi waqat to kabhi mood... ajj koshish kar rahi hu..

Her Tamanna ko mita kar bhi teri tamnna na gai
Dil ko pathar bana kar bhi, ankhon se nami na gai

Her baar soch kar murd ayya teri gali se main
Itani socho ke baad bhi, najar se teri gali na gai

Her apna bhi lage mujhe ab paraya paraya
Dil se bas ek teri hi chahat na gai

Milan judai mai ab koi farak na mujhe najar ayya
Jab khayalo se teri murat hi na gai

Her Tamanna ko mita kar bhi teri tamnna na gai
Dil ko pathar bana kar bhi, ankhon se nami na gai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Patthar banaa liya by isha_verma7 in Shayri-E-Dard
~*~Mujhe Patthar Bana Dena~*~ by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
dard ko apna bana liya maine by saahill in Shayri-E-Dard
Tumhare hi rang ka paikar bana liya maine......mann by mann.mann in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
zakhmola
Guest
«Reply #16 on: April 04, 2008, 01:30:26 PM »
Dil patthar ka banaya jisney
mujhey poojna hai ussey
Uske Khuda ho jaaney tak...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #17 on: April 07, 2008, 01:19:40 PM »
Humne Bhi Rang Apna Liyaa Zamaane Ka,.
Patthar Dil Rakh Kar, Jhoote Ashq Bahaane Ka,.

Kaun Yahaan Parwa Karta Hai Kisi Ki,.
Karta Hai Dhong Har Ek, Jhooti Chahat Dikhaane Ka,.

___________________________________-Jaanasheen-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: April 07, 2008, 02:47:44 PM »
Main Mohabbat Se Mehekta Ek Gulaab Tha
Waqt Ne Mujhe. Bejaan Patthar Bana Diya Hai.

Ujjala Ab Hota Nahi Meri Raah Main Kabhi
Jo Tha Haseen Chand Use Maine Bhuja Diya Hai

Jo Kabhi Rehta Tha Aankhon Main Noor Ki Tarah
Aaj Usi Chehre Ko Ashqon Main Bahaa Diya Hai.

Yun Bhi To Barbaad Hona Hi Tha Tujhey.e.Majid.
Fir Aaj Kyun Apni Kismat Se Tune Gila Kiya Hai.!

Mere Sher Padhne Ke Baad Wah Wah Na Karna.e.Doston
Maine To Bus Lafzon Main Apna Haale.e.Dil Bata Diya Hai.

JALAD HI KUCH LIKHNE KI KOSHISH KARUGI!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: April 08, 2008, 02:35:32 PM »
Majid ji, kuch khas nahi likh saki.... magar jo bhi man mai ayya wo yaha likh rahi hu:

samjhaya bahoot, samjh ko phir bhi na samjh bana diya
roye itna hum zindagi main ki dil ko pathar bana diya

dil-e-raah per chale the ek tere he to vishwaas per
kaise kaise chot se mera vishwaas mitti mai mila diya
roye itna hum zindagi main ki dil ko pathar bana diya

barsata tha pyar hi pyar in nigaho se meri sada
in nigaho ko ek bejaan murat sa bana diya
roye itna hum zindagi main ki dil ko pathar bana diya

toota hai her ek sapna, her khwab ko tumne sula diya
haqiqat ki kadavi is chadar koi mujh per orda diya
roye itna hum zindagi main ki dil ko pathar bana diya
Logged
Titanic26
Guest
«Reply #20 on: April 08, 2008, 03:45:15 PM »
very touching pooja ji...........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: April 08, 2008, 03:47:30 PM »
shukaria Titanic26 ji!!
Logged
mobile
Guest
«Reply #22 on: April 08, 2008, 06:51:07 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
punam
Guest
«Reply #23 on: April 11, 2008, 01:21:11 PM »
Bahot khoob majid ji...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #24 on: April 11, 2008, 04:59:34 PM »
Nice One Majd Bhai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #25 on: April 11, 2008, 05:01:46 PM »
Patthar Jahaan Ne Phenke, Inse Gilaa Nahi,.
Ghar Likhe the Kaanch Ke Naseeb Mein Mere,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: April 11, 2008, 06:44:48 PM »
bahoot khoob Shihab  and Lil bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #27 on: April 18, 2008, 04:13:31 PM »
Shukriya Pooja Did,.
majid Bhai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #28 on: April 18, 2008, 04:15:22 PM »
Main Gham Ke Ghar Mein Kaid Hoon,. Beghar Nahi Hoon Main,.
Thokar Na Yun Lagaa Mujhe Patthar Nahi Hoon Main,.

Khush Hoke Dekhte Ho Kya Meri Tabaahi Ko,.
Koi Suhaani Shaam Ka Manzar Nahi Hoon Main.,.

__________________________________-NM-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: April 18, 2008, 04:20:59 PM »
Nice sharing Lil bro
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:54:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer