dil lagaane ki saja

by Pooja on December 14, 2006, 02:56:07 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2385 times)
Pooja
Guest
dil tujse lagane ki saja paai hai
charo taraf sirf tanhaai hi tanhaai hai

barso ki preet ki yah keemat tune chukai hai
sadak per neelam hui meri rihaai hai

man mai tadap, tan per jakham, ankh meri bhar aai hai
ek hi baat aai hai man main, kayun haiwaan ne Insaan ki shakal paai hai!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dil lagaane ki by neha17 in Shayri for Dard -e- Judai
Tumhen Dil Lagaane Ki Saza Bhi Milegi by syednaami in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tum se dil lagaane mein........... by SURESH SANGWAN in Shayri for Khumar -e- Ishq
dil lagaane ki by saahill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
KAAJAL LAGAANE KO JI CHAAHATA H... by kavyanshi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Naya_Daur
Guest
«Reply #1 on: December 14, 2006, 04:19:04 AM »
laggi hai tehaas toh dil ajj khoob roya hai
teri yaadon se lipat kar,har ashQ sanjoya hai

judaa tujhse main nahi,aor mujhse alag tu nahi
aapna khawabon ka mehal,phir nilaam kayun hoya hai

leharon ne vapis khada kar diya,phir ussi sahil ke kinaare
Soch mein hu,kyun mere IshQ ne dilon mein gum piroya hai
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #2 on: December 15, 2006, 11:31:01 AM »
Pooja ji ...

dil wahi ke jismein dard ka ehsaas ho ...... mehboob wahi jo sab se khaas ho ....... haan yeh saza bhi naseeb waloon ko milti hai ......  jazbaat se zyada vo derd khaas hota hai jisme her waqt kisi ka ehsas hota hai...  likha kije ....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: December 16, 2006, 04:46:51 AM »
Bohat khoob Pooja & Jeet...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: December 16, 2006, 04:50:20 AM »
Tujhe Chorh Kar Aage Nikal Sakta Hoon
Mehez Do Chaar Qadam Ki Tau Baat Hai
Magar Tay Karoon Yeh Faasla Kis Tarha
Keh Tum Se Jeetna Meri Haar Hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: December 16, 2006, 04:53:54 AM »
shukaria Jeet, HumTum and Aryaan ji....

Likh hi deti hu jo bhi dil mai atta hai
bahoot samjhaya, na is dil ko kuch samjh atta hai
Ashaq kayun bahte hai ab bhi, jab kuch bhi na raha
kayun us bedard ke liye ajj bhi tadrapta jaata hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: February 12, 2007, 05:56:47 PM »
Paya na tha jise usse khone ka ahsaas kayun
Jo mera na tha, uska hi hone ka ahsaas kayun

Man mai sawal kai, her sawal ka jawab nahi
Jinka koi jawab nahi, aise mere sawal kayun

Cha rahi hai kali badali ajj mere khayalo per
Phir bhi zinda ussi ka naam, mere jahen mai kayun

Na payaar hai na nafrat jis shakas se mujko ajj
Ussi ki soch main beete, Mere din-raat kayun
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #7 on: February 12, 2007, 06:39:47 PM »
vo mante hai ki hame unse pyar nahi phir bhi hamara ehsas hai
aaj pata chala bande ki jagah aaj bhi unke liye kuch khash hai

unhe apne sawalon ka jawab nahi mila lagta hai isiliye vo aaj udas hai
sawalon ka kafila to yaha bhi hai, jawab ke liye ek zuki nazar ki pyas hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: February 12, 2007, 07:41:12 PM »
wah kay abaat hai niraj ji. bahoot acha likha hai apne!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: February 12, 2007, 08:03:34 PM »
Quote from: "niraj_191"
vo mante hai ki hame unse pyar nahi phir bhi hamara ehsas hai
aaj pata chala bande ki jagah aaj bhi unke liye kuch khash hai

unhe apne sawalon ka jawab nahi mila lagta hai isiliye vo aaj udas hai
sawalon ka kafila to yaha bhi hai, jawab ke liye ek zuki nazar ki pyas hai


Kuch sawalon ne zindagi ko beaasra kar diya,
jawab dhundne mein humne apna wajood tabah kar diya,
mile bhi to jawab ke sath hazaron sawal mile,
Zindagi ban gayi kyon aisi, aakhir humne kya gunaah kar diya...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: February 12, 2007, 09:30:17 PM »
wah wah wah kaya baat hai angle ji, bahoot hi acha likha hai apne!!!
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #11 on: February 13, 2007, 06:22:13 PM »
good words!!!!
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #12 on: February 13, 2007, 06:23:51 PM »
Quote from: "angel4u"

Kuch sawalon ne zindagi ko beaasra kar diya,
jawab dhundne mein humne apna wajood tabah kar diya,
mile bhi to jawab ke sath hazaron sawal mile,
Zindagi ban gayi kyon aisi, aakhir humne kya gunaah kar diya...


hotho se hum jawab de pate nahi
aur khamosh nigahonko vo path pate nahi
dil me ab kisiko hum basate nahi
ye keh kar hum hal-e-dil jatate nahi
Logged
angel4u
Guest
«Reply #13 on: February 13, 2007, 09:18:20 PM »
Quote from: "niraj_191"
Quote from: "angel4u"

Kuch sawalon ne zindagi ko beaasra kar diya,
jawab dhundne mein humne apna wajood tabah kar diya,
mile bhi to jawab ke sath hazaron sawal mile,
Zindagi ban gayi kyon aisi, aakhir humne kya gunaah kar diya...


hotho se hum jawab de pate nahi
aur khamosh nigahonko vo path pate nahi
dil me ab kisiko hum basate nahi
ye keh kar hum hal-e-dil jatate nahi


dil mein basayein bhi kiase hum kisi aur ko,
dilki har dhadkan mein tum hi dhadakte ho,
khamosh hi rehte hai kuch kehte nahi ab lab,
bewafa kehke hi sahi hamein yaad to karte ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #14 on: February 13, 2007, 09:22:07 PM »
Bahut bahut shukriya pooja ji.. Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:33:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer