~*~ Dil lagata gaya ~*~ by Rahim

by dead heart on June 22, 2011, 10:07:07 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 3482 times)
dead heart
Guest
Zindagi main dard main ek dard aisa hai jab ap jis'se mohobat karte hai, woh kisi aur ko chahta hai..Sach hai kay maine jisse khud se zada chaha, woh kisi aur ka hai.. Faraz ka ek ashaar yaad ata hai kay:
"Main uska hoon, yeh raaz toh woh jangaya Faraz,
Woh kisi aur ka hai, yeh khayal mujhe sone nahin deta.."


Kuch dino pehle yunhi baithe, yeh khayal aya kay ek shaam, main hoon, woh hai aur uske saath uska ashiq..Kya mahol hoga, ehsaas honge, jo mehsoos kiya kuch lamhon main woh likh raha hoon..

"Aj dil soch main ghumgeen ho chala Rahim,
Kay woh shaks usse ab kahan choo raha hoga.."

Jisne samander se gehre zakhm diye the dil pe mere,
Muskurate hue wohi aj mere samne agaya..

Yeh pachtava tha uska ya tadpane ka naya andaaz,
Samne aa kar bhi mujse apni nazrein chupata gaya..

Thorri toh sharm kar leta woh kay main samne hoon,
Jo haath mere liye tha aj wohi kisi aur ki baahon main dalta gaya..

Shaam dhalti rahi, nasha badta raha, mehfil garma thi gayi,
Har badte lamhe kay saath woh mujhe aur bhi tadpata gaya..

Sach kaha hai kisi ne ‘khushk ankhon main silab hua karte hai’,
Uss shaam jaise mere ashkon ko har guzarta lamha sukhata gaya..

Dil ko najane kyun na aya hunar nafrat karne ka doston,
‘Khamosh’ tabhi apnon se leke dushmanon tak, sabse dil lagata gaya..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**Bhula diya gaya** by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
**Chorr ke kyun gaya** by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
~*~ Mohobaton ka mausam gaya ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~*~ Ruk gaya kahin ~*~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~*~ Yeh kya likh gaya ~*~ by Rahim by dead heart in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Anshumali
Guest
«Reply #1 on: June 23, 2011, 04:56:27 AM »
"Aj dil soch main ghumgeen ho chala Rahim,
Kay woh shaks usse ab kahan choo raha hoga.."

Jisne samander se gehre zakhm diye the dil pe mere,
Muskurate hue wohi aj mere samne agaya..

Yeh pachtava tha uska ya tadpane ka naya andaaz,
Samne aa kar bhi mujse apni nazrein chupata gaya..

Thorri toh sharm kar leta woh kay main samne hoon,
Jo haath mere liye tha aj wohi kisi aur ki baahon main dalta gaya..

Shaam dhalti rahi, nasha badta raha, mehfil garma thi gayi,
Har badte lamhe kay saath woh mujhe aur bhi tadpata gaya..

Sach kaha hai kisi ne ‘khushk ankhon main silab hua karte hai’,
Uss shaam jaise mere ashkon ko har guzarta lamha sukhata gaya..

Dil ko najane kyun na aya hunar nafrat karne ka doston,
‘Khamosh’ tabhi apnon se leke dushmanon tak, sabse dil lagata gaya..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~

Very Touching .... Rahim Ji !

Very Impressive Creation ... Dil se daad !!!!
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #2 on: June 23, 2011, 05:21:05 AM »
rahim ji…
bht sach likh gaye yar…
mai smjh skta hu in ehsaaso ko…
daad bht bht saari…
khus rahiye
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: June 23, 2011, 03:50:57 PM »
Zindagi main dard main ek dard aisa hai jab ap jis'se mohobat karte hai, woh kisi aur ko chahta hai..Sach hai kay maine jisse khud se zada chaha, woh kisi aur ka hai.. Faraz ka ek ashaar yaad ata hai kay:
"Main uska hoon, yeh raaz toh woh jangaya Faraz,
Woh kisi aur ka hai, yeh khayal mujhe sone nahin deta.."


Kuch dino pehle yunhi baithe, yeh khayal aya kay ek shaam, main hoon, woh hai aur uske saath uska ashiq..Kya mahol hoga, ehsaas honge, jo mehsoos kiya kuch lamhon main woh likh raha hoon..

"Aj dil soch main ghumgeen ho chala Rahim,
Kay woh shaks usse ab kahan choo raha hoga.."

Jisne samander se gehre zakhm diye the dil pe mere,
Muskurate hue wohi aj mere samne agaya..

Yeh pachtava tha uska ya tadpane ka naya andaaz,
Samne aa kar bhi mujse apni nazrein chupata gaya..

Thorri toh sharm kar leta woh kay main samne hoon,
Jo haath mere liye tha aj wohi kisi aur ki baahon main dalta gaya..

Shaam dhalti rahi, nasha badta raha, mehfil garma thi gayi,
Har badte lamhe kay saath woh mujhe aur bhi tadpata gaya..

Sach kaha hai kisi ne ‘khushk ankhon main silab hua karte hai’,
Uss shaam jaise mere ashkon ko har guzarta lamha sukhata gaya..

Dil ko najane kyun na aya hunar nafrat karne ka doston,
‘Khamosh’ tabhi apnon se leke dushmanon tak, sabse dil lagata gaya..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~

Bahut bahut Khoooooob Bhai Rahim..

Dil Se Nikle Lafzon Ka Koi Mol Nahi Hota..

Bahut Hi Jazbaati peshkash Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: June 24, 2011, 10:23:07 PM »
Very Touching .... Rahim Ji !

Very Impressive Creation ... Dil se daad !!!!
Teh teh dil se shukriya Naresh bhai..
Khush rahiye..!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: June 25, 2011, 01:25:49 AM »
Wow .. Its Simply Terrific .. Yea sirf Tareef Nahi hai Bhai... balki I can feel the emotions Behind this .,,,, Its Killing... Amazing ,,,

But ak baat Kahun.. Its too hard.. But Soo True.. Don't think or care the person who can't understand U...

keep Smiling and GOd Bless U !
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: June 25, 2011, 12:05:03 PM »
rahim ji…
bht sach likh gaye yar…
mai smjh skta hu in ehsaaso ko…
daad bht bht saari…
khus rahiye

Teh teh dil se shukriya Killbill jee..
Apki daad dene kay lavson main ehsaas main samaj gaya..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: June 25, 2011, 12:06:43 PM »
Bahut bahut Khoooooob Bhai Rahim..

Dil Se Nikle Lafzon Ka Koi Mol Nahi Hota..

Bahut Hi Jazbaati peshkash Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Teh teh dil se shukriya Khwaish dost..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: June 25, 2011, 12:09:53 PM »
Wow .. Its Simply Terrific .. Yea sirf Tareef Nahi hai Bhai... balki I can feel the emotions Behind this .,,,, Its Killing... Amazing ,,,

But ak baat Kahun.. Its too hard.. But Soo True.. Don't think or care the person who can't understand U...

keep Smiling and GOd Bless U !
Teh teh dil se shukriya..
It is killing..So so true..
jo yeh jazbaat jhel chuka hai wohi samajhega..
Khush rahiye..!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #9 on: June 28, 2011, 03:50:04 PM »
Rahimmmmmmmmm Bhaiiiiiiii.... Yaaaaaaaaaaaar Yeh Kya likh Daala Aapne.. Dil Ko Tadpa Sa Gaya Har Lafz aapki Is Nazm ka.. Dil Ka Dard Aankhon Tak aa Gaya aaj Phir Se aapki yeh Nazm Ko Padh Kar...Alfaazon Ko Itni Khubsoorati Se Dard Ke Saath Sajaaya Hai Ki Bassss.. Kya Kahun...!!!! Bahut bahut Bahut Umda Peshkash Hai mere Bhai..  icon_thumleft

Aapke is Khubsoorat Kalaam Ke Liye Dher Saari Daad..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: June 28, 2011, 09:39:16 PM »
Rahimmmmmmmmm Bhaiiiiiiii.... Yaaaaaaaaaaaar Yeh Kya likh Daala Aapne.. Dil Ko Tadpa Sa Gaya Har Lafz aapki Is Nazm ka.. Dil Ka Dard Aankhon Tak aa Gaya aaj Phir Se aapki yeh Nazm Ko Padh Kar...Alfaazon Ko Itni Khubsoorati Se Dard Ke Saath Sajaaya Hai Ki Bassss.. Kya Kahun...!!!! Bahut bahut Bahut Umda Peshkash Hai mere Bhai..  icon_thumleft

Aapke is Khubsoorat Kalaam Ke Liye Dher Saari Daad..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Apki ankhein nam hogayi, ek bhai kay roop main yeh mujhe acha nahin laga mager haan ek shayar kay tour par dil khush hua..
Khushi iss baat ka bhi hai kay apne dil se parra aur jazbaaton ko samjha..
Apki daad, mere liye bahaut mayne rakhti hai..
Hamesha yunhi saath dete rahiye..
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:04:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.161 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer