Dil maiN teri mahobbat ke vo khayalaat nahiN haiN

by manu1979 on May 23, 2006, 07:28:10 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2935 times)
manu1979
Guest
dosto aaj kaafi dino baad kuchh likhne ki nakaam koshish ki hai ,shayad aap ko pasand aayegi isi ummid mai yaha paish karta hu.

Dil maiN teri mahobbat ke vo khayalaat nahiN haiN
Ashqo maiN sab bah gaye koi jazbaat nahi haiN

Rishto ki bheed mai khud se ajnabee huN is kadar
Dosto ko pahchaan saku vo nazar saath nahi haiN

Gham ke meri pith par khanjar aiseN haiN chubeN
Mud kar bhi aah bhar saku vo haalaat nahi haiN

RaatoN ke karvatoN se maraasiim puraane haiN
Tere khwaaboN ke anjuman ki kaynaat nahi haiN

Zikra bhi ho tera kahiN to jhook jaati hai Nigaah
Khamoshi ke siva ab labo par koi baat nahi HaiN

Rona bhi agar chaahu to ro bhi na paaunga maiN
Gham mai habib ashko ki ab vo barsaat nahi haiN
Logged
manu1979
Guest
«Reply #1 on: May 23, 2006, 01:07:57 PM »
khawab dhekhe b or toot gaye
            wo humare hue b nahi or rooth gaye
                 hum jaagte rahe saree raat
                  or duniya soti rahi
                     or barish hi thi jo saat
                                    humare roti rahi
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: May 23, 2006, 01:11:49 PM »
Bohat khoob Manu...
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #3 on: May 23, 2006, 01:19:16 PM »
bahut achha laga aryan ji aap ko meri post par dekh kar par ye kya aap ne kuchh likha nahi,aap ke tilasmi labzo ko hamaree post par padhne ke liye mujhe intzaar rahega,aise hi aate rahiyega

regards
take care
manu

Milna tha iteefaq, bichadna mere naseeb meiN tha
Woh mujh se door hota gaya jitna kareeb maiN tha.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: May 23, 2006, 02:34:22 PM »
Mere humsafar teri nazar mein, mere jazba-e-dil ki shiddatein
Meri chah meri mohabbatein, mere sajde, meri ibaadatein

Woh jo sath chalne ka khwaab tha, kaheen reh gaya, kaheen kho gaya
Kaheen kho gaya mera humsafar, hain paas ab na woh chahatein

Woh gulaab they keh khwaab they, tere harf harf mein khitaab they
Tera taaza khat bhi mila magar, nahi uss mein woh pehli si shiddatein

Mere chaand tu hi bata mujhe, kahan hai woh mera zamaana-e-naaz
Kahan thak keh reh gaya mera karwaan, kahan reh gayin meri manzilein

Woh jo mausamon ka habeeb tha, meri pyasi aankh ka khwaab tha
Woh mujhe ab bhi bohat aziz hai, kare dil pe ab bhi hakumatein...
Logged
roshni246
Guest
«Reply #5 on: May 23, 2006, 03:39:42 PM »
gud one manu ji !!!
and aryan ji just awesome!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #6 on: May 23, 2006, 04:46:06 PM »
Bohat shukriya Roshni...
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #7 on: May 24, 2006, 04:22:34 PM »
bohot acha likha hai manu ji....aur aryaan ji...pls kee pit up dosto!!

 :D
Logged
manu1979
Guest
«Reply #8 on: May 25, 2006, 03:31:28 PM »
hey aryan ji just enjoy dis one

Teri Yaadon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahin
Ek pal Nahin jab Tumhe Humne Pukaara Nahin

Meri Naakaamiyon Ka Itna Bhi Ghum Na Kijiye
Agar aap Jeete Hain to Main Haara Nahin

Ye Naqsh-e-Dard Kaise Utar Jaaye Chehre Se
Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahin

Tere bin Youn Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahin

Kar Rakhaa Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala
Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahin

Kisko Gale Lagaa Ke Rooyen Na-Muraad Hum
Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahin

Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka ab
Gehre Hain Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahin

Wo aa Ke Poonchh Den Aansu Hamari Aankhon se
Itna bhi Hamare Haq Mein Naseeb Hamara Nahin

regards
take care
manu
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #9 on: May 25, 2006, 03:57:28 PM »
hi roshni ji aap ko meri post par dekh kar achha laga par aane kuchh likha nahi ham naara z hai aap se jab tak aap kuchh likhenge nahi
hame intzaar rahega

mera ye durd jazbo`N ka agr tum ko rulaaye tu
chalo tum yaad na kerna, mgr hum yaad aaye tu

mae us se bach k chaltii hoon mgr wo pas aaye tu
udaasii haath thaamay aur mujhe apnaaye tu

laga du pyaas per pehrey mgr us din kero ge kia
hamarii pyaas sachii thee, koii tum ko bataye tu

chalo ik pal ko sochu judaaii aa gayii hum mien
kahaN dhondhu ge tum ho ko agr hum mil na paaye tu

ana hii merii fitrat hai, nahii ye pyaas kamzourii
mae darya tuk nahi jaati mgr darya bulaaye tu

saja ker ankh mien aanso` agr dekha keroN tum ko
hamarii ankh ka jadoo agr yun aazmaaye tu

agr mae bund honto`N se zuban-e-lams mien boloN
hamara talsamii lehja tumhe pather banaaye tu

hathelii chaand kii ho gii tu koii daagh bhii ho ga
yehii soch ker koii hathelii ko jalaaye tu

koii tum ko kahay darya, koii tum ko kahay sehRa
koii aisii misalo`N se tumheiN yun aazmaaye tu

boht shiddat se lagta hai k mera dil adhoora haii
tumharii an-kahii baatien koii mujhe bataye tu

ye saray log kehte hien sakhii tum ko mgr janaaN
tumhare darr se mera dil agr kuch na paaye tu

adhooray khwaab thay jitne unhe takmeel de dieN ge
agr hum moot se jeete, agr hum laut aaye tu

koii us ko zara keh de abhii hum raasto`N mien haii
kaho hum laut aayieN ge, agr dil se bulaaye tu

mujhe kehta tha wo akser yun hien rukhsaar k bhanwar
kanwal k phool khilte hien, agr tu muskuraye tu

~Kanwal Shahab Ahmed~

regards take care
manu
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #10 on: May 25, 2006, 04:49:24 PM »
Quote from: "manu1979"
hey aryan ji just enjoy dis one

Teri Yaadon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahin
Ek pal Nahin jab Tumhe Humne Pukaara Nahin

Meri Naakaamiyon Ka Itna Bhi Ghum Na Kijiye
Agar aap Jeete Hain to Main Haara Nahin

Ye Naqsh-e-Dard Kaise Utar Jaaye Chehre Se
Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahin

Tere bin Youn Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahin

Kar Rakhaa Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala
Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahin

Kisko Gale Lagaa Ke Rooyen Na-Muraad Hum
Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahin

Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka ab
Gehre Hain Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahin

Wo aa Ke Poonchh Den Aansu Hamari Aankhon se
Itna bhi Hamare Haq Mein Naseeb Hamara Nahin

regards
take care
manu


beautiful...just mind blowing!!!

kuch pal hum bhi muskura de mehefil me,
zamane ko yeh bhi humara gawara nahin,
isslyie aaj tanhai hi rehte hai hum yaha,
mehefil me sajana humne doobara nahin!
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #11 on: May 25, 2006, 06:54:42 PM »
hi meena ji kaisi hai aap maine kaafi baar aap ko auro ki post par dekha ,mai is soch mai is intzaar mai tha ke aap kis din meri post par aayegi mujhe padhegi, aur kuchh kubsurat se khayaal paish karegi,mujhe intzaar rahega ke aap khaali haath na aaye aur kuchh likhey

teray falak ka damakta hoa sitara tha
ye patharoN pay hamieN kis nay la utara tha

hawa nay choo ke tumheiN hum say dushmani kar li
ye iltifaat bhi hum ko kahaN gawaara tha

meiN murr gaya to mujhay tou nazar nahiN aaya
maiN ja chuka to mujhay kis liay pukara tha

wo teray ashk, tery yaad teray khawab sabhi
bus aik tou hi nahiN or sab hamara tha

humiaN dubo key samandar nay bhar lia daaman
unheiN to lehar nay sahil pay ja utara tha

regards
take care
manu
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #12 on: May 26, 2006, 02:09:06 PM »
manu ji...mai jab kuch parti hoon to man me jo khayal ate hai wohi likhti hoon. aur doosro  ki rachna ko pasand bhi karti hoon jo ki khud ki likhi ho, agar khud ki na ho to "not mine" likhna banta hai, hai na?
Logged
manu1979
Guest
«Reply #13 on: May 27, 2006, 02:58:34 PM »
haan sahi kaha aap ne meena ji

Fir milegi jab woh to barsenge mausam meri nigaah ke
Isi soch mai maine barso se aankhe apni bahaayi nahi

Arso ki basabri ka sabak,bekhwab mujhe vo dekhenge
Tab janenge kitne lamho se ye palke maine jukaayi nahi

Mere lagjish-e-paa mai sanam paabandi-e-aadab raha
Tufaano mai bhi teri raho se nigaah maine hataayi nahi

Woh aksh-e -rukh-e-yaar se lahke hue mere ayaam rahe
Rang-e-labo-rukhsar-e-sanam koi aur ghazal banaayi nahi

aap ko shayad meri likhi ye lines pasand aayegi

regards
manu
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: May 27, 2006, 03:17:57 PM »
Nice One Manu And Aryan Bhai,..

Dard Tumhare Dekh Kar Mujhe Bhi Dard Hone Laga,..
Dard Ki Awaaz Sunkar Aaj Dil Bhi Mera Rone Laga,..

Bahoot Hi Dard Bhara Hai Tujhme Ke Har Aah Mein Dard Dikhta Hai,..
Tu Kyun Udaas Hai Pyaar Ko Lekar Ye Aaj Bhi Bazaron Mein Bikta Hai,..

Pyaar Tune Kiya Tha Dil Se Badkismati Uski Thi To Na Samajh Saka,..
Tu Kyun Har Pal Uske Liye Marta Hai Jo Tujhe Ek Pal Bhi Pyaar Na De Saka,..

----------------------__________-Jaanasheen-________-------------------------
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:03:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer