Dil maiN teri mahobbat ke vo khayalaat nahiN haiN

by manu1979 on May 23, 2006, 07:28:10 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 2897 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #30 on: June 01, 2006, 05:42:18 PM »
very  nice  Manu......Jansheen..........  Badnam  Shayar...........
Logged
manu1979
Guest
«Reply #31 on: June 01, 2006, 06:39:06 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "manu1979"
dosto aaj kaafi dino baad kuchh likhne ki nakaam koshish ki hai ,shayad aap ko pasand aayegi isi ummid mai yaha paish karta hu.

Dil maiN teri mahobbat ke vo khayalaat nahiN haiN
Ashqo maiN sab bah gaye koi jazbaat nahi haiN

Rishto ki bheed mai khud se ajnabee huN is kadar
Dosto ko pahchaan saku vo nazar saath nahi haiN

Gham ke meri pith par khanjar aiseN haiN chubeN
Mud kar bhi aah bhar saku vo haalaat nahi haiN

RaatoN ke karvatoN se maraasiim puraane haiN
Tere khwaaboN ke anjuman ki kaynaat nahi haiN

Zikra bhi ho tera kahiN to jhook jaati hai Nigaah
Khamoshi ke siva ab labo par koi baat nahi HaiN

Rona bhi agar chaahu to ro bhi na paaunga maiN
Gham mai habib ashko ki ab vo barsaat nahi haiN


Awesome :thumb: ,bohat khoob Aryaan n janasheen also.




nidhi ji aap ka bahut bahut shukriya meri post ko padhne ke liye par ye kya aap ne kuchh likha hai nahi ,koi baat nahi mai likh deta hu,

Fursat kise hai jakhmo par marham lagaane ki
Nigaahe badal jaati hai apne aur begaane ki
tu na chhodna dosti ka mera ye haath kabhi
varna tamnaa nahi rahegi naye dost banane ki
Logged
manu1979
Guest
«Reply #32 on: June 01, 2006, 06:43:46 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
GUd Job Manu aaj pada maine you r marvalous......

Saath tera na sahi par yeh behti hawa toh hai.....
Banjar kismat meri par rehnuma Dard toh hai.....



hi badnaam ji kuchh dino busy tha ,aap ka swaagat hai isi mahfil mai fir se ,shukriya yaha ane ke liye.
ye ap ka jawaab

saath mera tu har dam hawaao mai paayega
chhu kar gujregi tujhe vo duaoo mai paayega
shayad mere labz tere dard ki dawaa ban jaaye
itna asar to meri dosti -vafaao mai paayega
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #33 on: June 01, 2006, 06:56:45 PM »
hi ranjana ji achha laga aap ko yaha dekh kar par aap khaali haath mat aao ,kuchh apne jazbaato ko kavitaa ki maala pahna ke laaya karo to ye mehfil aur sajti rahe.

Shayad tere labz mere dard ki dawaa ban jaayenge
Sochunga tujhe aur mere gham hawaa ban jayenge
inhi ummido mai ham jite the teri parastish ko liye
ke ek din pathhar dil  mere yaar khuda ban jaayenge
Logged
nikki
Guest
«Reply #34 on: June 01, 2006, 07:07:09 PM »
very nice all of u ...

main sochti hun jise
ajj woh mere paas nahi hai
magar mere dukh ka use koi ehsaas nahi hai
yeh doori bhi dard deti hai
yeh sooni rahein bhi hasti hain mujhpar
na jaane kab woh yeh baat samajh payega
main tanha bahut tanha reh jaati hun usse bichad kar
Logged
manu1979
Guest
«Reply #35 on: June 01, 2006, 07:13:04 PM »
Quote from: "nikki"
very nice all of you ...

main sochti hun jise
ajj woh mere paas nahi hai
magar mere dukh ka use koi ehsaas nahi hai
yeh doori bhi dard deti hai
yeh sooni rahein bhi hasti hain mujhpar
na jaane kab woh yeh baat samajh payega
main tanha bahut tanha reh jaati hun usse bichad kar



bahut hi khoob likha hai nikki ji aapne,ye mera jawaab hai aap ko

mai tere paas hi hu aur tera khaas bhi hu
tere dard ko padh saku vo ahsaas bhi hu
mai samajhta hu tere gham ki khalish ko
teri duri mai tere dil ki pyaas bhi hu.
Logged
nikki
Guest
«Reply #36 on: June 01, 2006, 07:18:38 PM »
too good n thanx Manu

agar mujhe samajhte ho mujhe iss kadar
to aazmate kyun ho
nahi raha jaata agar mujhse bichad kar
to door jakar mujhe bhi satate kyun ho
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #37 on: June 03, 2006, 08:57:30 AM »
Shukriya Manu And waheed Bhai,..

Nice One Nikki Ji And Manu,..
Sach Kaha Manu Tum Kisi Se Kam Nahi,..


Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #38 on: June 03, 2006, 09:09:04 AM »
Quote from: "nikki"
too good n thanx Manu

agar mujhe samajhte ho mujhe iss kadar
to aazmate kyun ho
nahi raha jaata agar mujhse bichad kar
to door jakar mujhe bhi satate kyun ho


Nice One,..

Samajhta Hoon Main Tumhe Phir Bhi Tumhari Chahat Ko Azmaata Hoon,..
Tumhare Aansoon Ko Dekh Dil Bhi Taradap Uth Tha Hai Phir Bhi Thoda Tumhe Rulaata Hoon,..

Judaa Hoon Main Tumse Meri Kuch Majbooriaan Hai,..
Door Rehkar Bhi Tumse Jaanasheen Main Tumse Wafaa Nibhaata Hoon,..

Kabhi Na Samajhna Hume Tum Ke Hum Be-Dard Hain,..
Mere Dil Mein Bhi Lakhon Gham Hain Phir Bhi Main Muskuraata Hoon,..

_______________________-Azeem-________________________
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #39 on: June 03, 2006, 09:25:29 AM »
wah kaya baat hai, bahoot khoob mannu, jsheen and nikki
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #40 on: June 03, 2006, 10:17:31 AM »
Shukriya Pankhuri Ji,..
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:08:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer