dil mera jala hai..................

by purani_jeans_aur_guitar on June 06, 2006, 12:40:04 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1052 times)
purani_jeans_aur_guitar
Guest
aahato se maut ki bhi ab na koi gila hai
   dard zindagi se mujhko kuch is qadar mila hai

    tanhayi ,dard,gamo se dhali hai jiski manzil
   mere dil ne mohabbat ka ,chuna woh kaafila hai

    woh yaad agar na aaye,to dil nahi dhadkta
   us dilnasheen se juda ,yu meri,saanso ka silsila hai

    har pal ye aankhein meri,dekhti hai jiska rasta
   woh to mast hawa ki ,shararat sa manchala hai

   jigar cheer ke mera dekhte ho kya shole
   sard sabnam ki bundo se ,bhi,dil mera jala hai.


   ................@fahi@.................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khud Ko Jala Jala Kar Dekha (Jaan) by waheed_rose2004 in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4  All »
Armaan jala kar by isha_verma7 in Shayri-E-Dard
Kabhi dil jala... by maya01 in Shayri-E-Dard
~~:dil na jala to jala kya:~~ by ek_tamanna in Shayri for Dard -e- Judai
Dil Yu Jala Mera Sari Raat... by Ritesh Modi in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: June 07, 2006, 03:48:34 AM »
Very nice work...PJAG =D>

Tumney yu choda mera hath raah mey chaltey chaltey...
Merey hath sey bikhar key merey kangan gir padey....
Aisey agey badh gaye tum apni manzil ki taraf e bewafaa,
Hum wafa key intezaar mey der tak sare-raah khadey rahey...
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #2 on: June 07, 2006, 01:38:28 PM »
sukriya shikha ji ..............


  tu bewafa kahe gar ,sikwa na main karunga
   tu khusiyo se rahe gar,har dard-e-gum sahunga
  main rasta tha tera,manzil kyun tune samjha
bankar raah tere saath hu main,pal pal rahunga
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: June 09, 2006, 06:17:05 AM »
Very nice PJAG...
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #4 on: June 09, 2006, 12:04:26 PM »
The Style Guru Says.......


Quote from: "Shikha12"
Very nice work...PJAG =D>

Tumney yu choda mera hath raah mey chaltey chaltey...
Merey hath sey bikhar key merey kangan gir padey....
Aisey agey badh gaye tum apni manzil ki taraf e bewafaa,
Hum wafa key intezaar mey der tak sare-raah khadey rahey...



Well said Shikha Ji!!!

Arz Hai,

Tumne yoon chhoda mera hath raah me chalte hue,
Badi gamgeen lagi har shaam dhalte hue,

Mujhe is baat ka ilm tha k tu kisi aur ke saath hai,
Par mujhe tera hi intezaar tha meri aakhri nabz chalte hue,

Tumne jaate hue kaha tha k tu na laut k aa payega,
Aaj to aa ke dekh le mera dam nikalte hue.....
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #5 on: June 09, 2006, 01:08:54 PM »
sukriya shikha ji...& very nice SG

     uski hi sansoo se aaj bhi dhadakta hai dil mera
      phir kaise keh du main ki woh bewafa hai.

   ...........@fahi@............
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #6 on: June 09, 2006, 01:13:57 PM »
The Style Guru Says........


Thanx Bro!!!!

Arz Hai,

Unki bewafai ke kisse chupaye bhi na gaye,
Kuch zakhm aise mile ki dikhaye bhi ma gaye,

Humne umeed-e-wafa ki thi jin se,
Unhi se mile gham bhulaye bhi na gaye.......
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #7 on: June 09, 2006, 02:12:01 PM »
very nice SG BRO...........

 
 mat chaho unhe itna ki kabhi bhula na paye
 shama ki low main khud ko phir jala na paye
 ashk-e-dard ke dariya main bheega na yu palke
 ki aankhon ko hum khusi main phir rula na paye
   
      ............@fahi@..............
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #8 on: June 09, 2006, 02:25:37 PM »
The Style Guru Says.......


Well said Bhai!!!


Arz Hai,

Kisi ko chahna na chahna apne bas me nahi,
Jo paakegzi ek mohabbat me hai wo hawas me nahi,

Ye aur baat hai ki wo hamare hum-safar na ban sake,
Ab raah me wo nahi-Hum bhi raah-guzar me nahi.....
Logged
roshni246
Guest
«Reply #9 on: June 10, 2006, 05:30:58 PM »
oye hoye kya mehfil saji hai! Winking AWESOME ALL OF YA

Dil to sabhi jalate hain mohabbat main magar
Hum teri yaad main khud ko jalaye baithe hain

Na jaane kab hogi tumse mulakat
Aankho main ashqo ka sailab liye baithe hain

Kahi mout na aajaye milane se pahle hi,
Tujhse Milan ki aas main daman bachaye baithe hain

Katra Katra zindagi gujar rahi hai bin tere
Mohabbat k rog dil ko lagaye baithe hain

Kahi khatam na ho jaye zindagi ka ye safar
Is safar ke liye jindagi aur mout shart la gaye baithe hain

Tere aane ka hi hai intezaar sirf is dil ko
Hum to haatho se apni arthi sajaye baithe hain


~rosh~
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #10 on: June 11, 2006, 07:17:57 AM »
nice 1 roshni ji ........

 chade de suli per,ya chin le ROSHNI aankhon  se
 per khuda bachaye webafayi ki aisi baton se
 ki woh kar rahe hai aaj,kabr per intzaar mera
  jalaya tha jinhone khud hame  apne haatho se

 ..............@fahi@..................
Logged
dg_getme
Guest
«Reply #11 on: June 11, 2006, 04:44:54 PM »
nice
Logged
ZindagiKhhoGai
Guest
«Reply #12 on: June 11, 2006, 11:51:41 PM »
han buht khob
dil jala hi kise  ko khabr nae dil tota he uss ko khabr hi
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #13 on: June 14, 2006, 06:02:51 AM »
thanx to both of u ............

 sannato main bhi sunayi nahi deti ki, dil tutne ki aahat hi aisi hoti hai
 zinda rakhti hai marne ki hallat mai ki ,yeh chahat hi aisi hoti hai
 
   .............@fahi@............
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:09:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer