----- /// Dil mera tanha rota hai /// -----

by ~Hriday~ on October 10, 2010, 06:52:14 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 6993 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW



ye mohabbat bhi ajeeb ehsaas hai
na to jeene deta hai
na hi marne deta hai
bas tanhaayi me aake tadpata hai

main bhi aksar khoya rehta hoon
aankhen khol ke soya rehta hoon
dard nahi hota hai fir bhi
jaise har pal roya rehta hoon

wo aansoo jo mere dil se behte hain
aksar mujhse yahi kehte hain
ki kyun khud ko tu jalata hai
par ye aansoo behte rehte hain

wo meri hoke bhi meri na ho saki
mujhse dur jaake bhi khush na reh saki
socha karti hai aaj bhi mere baare me
wo meri mohabbat ko bhula na saki

kyun aisa hota hai ki khushi do pal ki
aur dard zindagi bhar ke liye milte hain
kyun dil dard me dooba rehta hai aur
muskuraane k liye wajah nahi milte hain

aasaan hai kisi ko bhi chaah lena
par kyun kisi ko bhulaana mushkil hota hai
bas inhi khayaalon me mera dil khoya rehta hai
aur un yaadon me kho ke tanha akele rota hai.....


*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MUJHE TANHA CHODNE WAALE KAHIN TOO TANHA NA RAH JAAYE by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
Mai Rota Hoon... Aur Behisaab Rota Hoon... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
dil rota hai mera .......... anmol arora by anmolarora in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Mera har lafz rota hai (Shani) by Lovely-Prince in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dil mera rota hai by nandbahu in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
dead heart
Guest
«Reply #1 on: October 10, 2010, 08:10:50 PM »
 tearyeyed tearyeyed
Kapil Dost, bahaut gehra dard samaya hai iss nazm main apki..bahaut bahaut khoob..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: October 10, 2010, 08:15:05 PM »
bahut bahut shukriya Rahim bhai jo aapne mere dard ko mehsoos kiya aur meri rachna ko pasand kiya...!!!

tearyeyed tearyeyed
Kapil Dost, bahaut gehra dard samaya hai iss nazm main apki..bahaut bahaut khoob..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: October 10, 2010, 08:17:25 PM »
Ansuon ka yeh silsila bas yunhi chalta rahega,
Ki hai mohobat tune ae insaan, tu yunhi rota rahega..

Kal jo muskurahat ki wajah thi, aj ansuon ka sabab hai,
Par kitna nadan hai tu ae insaan, tu uss Zalim se hi pyaar karta rahega..

Yeh zindagi badi haseen hai, kabhi toh isse jeena seekh,
Par kamzor hai tu ae insaan, tu bas uski yaadon main palta rahega..

Kitni ajeeb baat hai kay likh di apni hi kamzoriyan 'Khamosh',
Mager sach kehta hoon yaaron,
Jab mohobat se bhara hoon, tab tak yunhi yeh dil rota rahega..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: October 10, 2010, 08:27:50 PM »
bahut bahut khoob likha hai aapne Rahim bhi.. bahut dard se bhari hui hai aapki ye daastaan.. yaad hai shuru shuru me jab hamaari dosti hui thi.. jab ekdum fresh fresh sa mera dil tuta tha... tab main aise hi likha karta tha aur aapka jawaab turant aa jaata tha.. aaj aapka jawaab dekh k bahut achcha laga..  too good bhai...



mohabbat ko apne dil se kaise dur kar paunga,
main insaan se paththar kaise ban paaunga,

kisi bachche ko rota dekh mere aansoo nikal aate hain,
main apne is kamzor dil ko kaise sambhaal paaunga,

aadat nahi hai mujhe har baar tut ke jud jaane ki,
ab in kaanch ke tukdon ko main kaise jod paaunga,

aaj meri mohabbat meri nahi hai mere dost,
par ek din main uske dil me bas jaaunga,

apni mohabbat se main use mohabbat karna sikhaunga,
aur na kar saka to bas mohabbat me bikhar jaunga,

ek roz tadap ke main ye duniya chhod chala jaunga,
mere dost jaate huye bhi bas uska naam dohraunga....
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: October 10, 2010, 08:44:30 PM »
Teh dil se shukriya Dost..
Haan woh dinn kaise bhool sakte hai..yaaad hai sab kuch..!

Apne toh aag laga di dost..kya baat hai..har line par bas wah wah karte jaa raha tha main..aur akhri line..jate jate bhi uska naam dohraunga..kya baat hai..Dard bahaut dikhta hai mager usse zada mohobat nazar ati hai...
Bahaut khubsoorat..!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ashiq ko toh yahan aksar toot'ta hi rehta hai,
Bewaffaon kay sabab, dil yahan pathar banta hi rehta hai..

Tu dil main basne ki baat karta hai mager sunkar takleef hogi tujhe,
Tera woh mehboob aj kal kisi aur ki baahon main rehta hai..

Aur bhi bahaut hai batane ko jo tujse suna na jaega 'Khamosh',
Tera woh ashiq har raat kisi se toot kar mohobat bhi karta rehta hai..

Tu duniya chorr bhi de toh koi fark nahin parrta usse,
Tujhe bhula kar inn dino woh muskurakar jeeta rehta hai..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: October 10, 2010, 08:57:36 PM »
bahut bahut shukriya dost.. aapne bhi bahut hi khoob likha hai... dil ko chhooti hui... ek dum zabardast....

 Applause Applause Applause Applause Applause


na wo dur ho paai hai mujhse, na duur jaa paegi mujhse,
baahon me kisi ke rahegi tab bhi mohabbat karegi mujhse,

aaj kisi aur ki duniya saja rahi hogi apni mohabbat se,
par bhooli nahi hogi kabhi mohabbat karti thi mujhse,

asaan nahi hota kisi ki yaad ko mita dena zindagi se,
haqeeqat me nahi par khwaabon me baatein karti hai mujhse,

"dur hoon par tumhaare baahon ki garmi mehsoos karti hoon",
aake har raat mere khwaabon me wo ye kehti hai mujhse,

kya hua jo zamaane k bandishon ke kaaran meri na ho saki,
duur hai meelon par aaj bhi wo mohabbat karti hai mujhse...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: October 10, 2010, 09:11:40 PM »
Shukriya Shukriya Dost..

Kya baat hai..Koi seekhe apse..Main hoon jo uske zulm bata raha hoon aur ap usme bhi mohobat dhund rahe hai..Wakei dil se apki tariff yaar..
Bahaut khoob likha hai..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Do lines yaad agayi apni jo kabhi likhi thi..
Woh dusron ki baahon main rehkar mujhe 'I love you' kehti hai,
Kuch log yun bhi mohobat karne kay andaaz rakhte hai..

Woh dusron ki baahon main rehkar tujse mohobat karti hai,
Hairan hoon dost, kay yeh kaisi mohobat hai..

Sapnon main tere ati hai aur ghar kisi aur ka basati hai,
Hairan hoon dost, kay yeh kaisi mohobat hai..

Meelon dhoor baithe mohobat karti hai, mager kareeb ane main usse takleef hoti hai,
Hairan hoon dost, kay yeh kaisi mohobat hai..

Saath rehne ko hi kamyab mohobat samjha jata hai 'Khamosh',
Isiliye hairan hoon, kay yeh kaisi mohobat hai..


~..Rahim..~..A Silent HEart..~
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: October 10, 2010, 09:27:26 PM »
bahut bahut shukriya dost.. mohabbat hai hi itna khoobsurat ko mehboob ke diye har dard ko wo andekha kar deta hai.... bahut bahut khoob jawaab likha hai aapne...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause

mohabbat wo ehsaas hai jiske liye milna jaruri nahi,
wo chahti hai mujhe is baat ki gawaahi jaruri nahi,

chahte ho kisi ko chaaho use is kadar mere dost,
dekhe zamaana bhi to kahe ki aisi mohabbat dekhi nahi,

wo khoobsurat sa ehsaas har lumha mujhe jeena sikhaata hai,
ye to rishta rooh ka hai iske liye paas aana jaruri nahi,

ye na kaho zamaane waalo ki usne koi zulm kiya hai mujhpe,
ye to uski koi majboori thi warna kehlaati wo bewafaa nahi,

chaaha tha maine us har khoobsurat cheez se badhke is jahaan me,
main usko na samajh paaya to jo tha mere dil me wo mohabbat nahi...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: October 10, 2010, 09:49:46 PM »
Shukriya Dost..

Sach kahun toh apke iss akhri jawab main mujhe mere dil ki awaz sunayi di hai..Kay woh bewaffa nahin zarur koi majburi hogi..Akhri line toh dil loot le gayi..Apne bahaut acha likha hai..
 Applause Applause Applause Applause
Iske saath saath yeh bhi kehta chalunga kay 'Actions speak louder than words"..Insaan ki harkatein humare bharose se zada kuch keh jati hai..Khair yeh mera man'na hai..Alag alag log alag alag opinions rakhte honge..

Majbooriyan sabki hoti hai, Har koi bewaffa nahin hota,
Mohobat bhara dil dokha pane ka haqdaar nahin hota..

Main toh bas yehi kehta hoon kay ager chorrna tha mujhe yunhi,
Toh kash Zalim tune haath thama nahin hota..

Mana kay yeh jismani nahin rooh ka rishta hai,
Mager woh shaks toh mere dil se juda hai,
Aisa shaks kabhi mohobat main nahin hota..

Majbooriyan sabki hoti hai,
Mager har koi bewaffa nahin hota..


~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: October 10, 2010, 10:14:32 PM »
bahut sahi baat kahi hai aapne Rahim bhai.. bahut khoob likha hai aapne...

 Applause Applause Applause Applause Applause



wo na aa saki meri zindagi me ant tak,
par usne koshish to ki hogi na,
haar gayi wo zamaane ke jhoote bandhano se
par usne koshish to ki hogi na,

aayi thi meri zindagi me kuch palon ke liye,
ummeeed thi use ki jeet jaayegi uski mohabbat,
kya hua agar haasil na mil paaya use,
par usne koshish to ki hogi na,

jaruri nahi ki har mohabbat ki kahaani poori ho,
ek mohabbat ki kahaani hamaari adhuri hi sahi,
kya hua agar na le saki ise khushnuma anjaam tak,
par usne koshish to ki hogi na,

yum kisi ke jaane ke baad use kosa nahi karte,
har kisi ke bas me har bat mumkin nahi hoti,
apne chaukhat k baahar wo kadam na rakh saki,
par usne koshish to ki hogi na,

zamaane k aage wo haar gayi apni mohabbat,
aansuon me doob ke reh gayi uski mohabbat,
uski mohabbat ka anjaam dard bhara hi sahi,
par usne koshish to ki hogi na...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: October 11, 2010, 12:08:52 PM »
Shukriya Dost..!

Bahaut bahaut khoob..!
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Koshishein toh maine ki hai usse pane ki,
Woh toh bas dhoor jane ka kam karti rahi..

Kisi aur shaks ki mojudgi ne uski zindagi main,
'Hum' ko 'Main' aur 'Tu' banane ka kam karti rahi..

Dehlees apne ghar ki par ki usne mager mere liye nahin,
Uski yahi harkatein meri umeedon ko dafnane ka kam karti rahi..

Ab kya shikayat karoun us'se jisne shayad kabhi chaha hi nahin mujhe,
Woh toh bas 'Khaomosh' ko jhoote dilase dene ka kam karti rahi..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: October 12, 2010, 01:10:34 PM »
bahut bahut khoob likha hai aapne Rahim bhai... abhi kuch jawaab nahi ban paa raha hai mujhse.. jab ban paayega jawaab jarur dunga...!!!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: October 13, 2010, 12:58:27 PM »
bahut bahut khoob likha hai aapne Rahim bhai... abhi kuch jawaab nahi ban paa raha hai mujhse.. jab ban paayega jawaab jarur dunga...!!!
Shukriya Dost..
Koi baat nahin..Aram se jawab dijiyega.!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: October 13, 2010, 04:20:30 PM »
Thanks Rahim bhai.. jald hi reply karunga ...!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:52:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer