DIL NAWAZ

by Anushka on June 28, 2006, 01:35:24 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2220 times)
Anushka
Guest
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaa Kwaja Garib Nawaz Ajmerri.... by Muhammed in Shayari-e-Parastish « 1 2 3  All »
NAZAR NAWAZ MERE GHAREEB NAWAZ by pradeep srivastava raunaq in Shayari-e-Parastish
tushar_4u_im
Guest
«Reply #1 on: June 28, 2006, 04:18:08 AM »
Quote from: "Anushka"



na ruswa tu ho k tujhe pyar kerne wale hazaro hai ....tu hai hai phool dali ka chaman me teri wajah se sitare hazaro hai ...hum bhi  ek kanta hai jo hai is gulista me aaye hue ....tu rona na kabhi humare bare me sochker hum to hai hi chot khaye hue....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: June 28, 2006, 09:41:12 AM »
bahuit khub Anu jaan ........sach mein post lajawab hai.......lovely
Logged
Anushka
Guest
«Reply #3 on: June 28, 2006, 10:36:54 AM »
Bahut bahut shukriya Tushar, Gum and Ranjan janu... appreciate it.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: June 28, 2006, 11:15:51 AM »
Gud Job Anu.......

Aye mere Dil Nawaz ab tu toh mera haath thaam.......
Karti hai yeh Dunia najane kyu Nafrat mujhse......
Aaah ab tu toh kar mere naam yeh Neela Asmaan......

Aye mere Dil Nawaaz ab tu toh mera haath thaam.......

Ranjishon se bhari yeh Jindagi meri......
Aur kitne pal jiye jayegi mujhe.....
Karke Nazar Ek Surkh Gulabon ki ladi.....
Ek Dinn Maut ka Manzar yeh Dosti dikhayegi mujhe......

Kar mera Vishwaas tu mera Aitbaar kar......
Khushian na sahi par Dard toh mere Naam kar......

Aye mere Dil Nawaz ab tu toh mera haath thaam.......!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: June 28, 2006, 11:24:13 AM »
too good gaurav,,,,,,,,

thaama thaa haath jindagi bhar ke liye
woh hi apna rasata badal le kisi aur ke ho liye

puakarti rahi manjile  naam unka le le kar
woh kisi aur ke khawabo ki duniya ho liye

they kabhi woh har raaz ke raazdaan
aaj unhone hi duniya ke saamne woh bhed saare khol diye

mujhe  mat puchana mere hamnawaz ka naam ab
ab woh kisi gair ki duniya ke dil nawaz ho liye
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #6 on: June 28, 2006, 11:24:55 AM »
Wah Wah Wah Anuskha =D> !

Very Very Nice Anuskha...

====================

NiCE Try Tushar Jee and BAdnaam Bhai...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #7 on: June 28, 2006, 11:41:01 AM »
Quote from: "ranjana"
too good gaurav,,,,,,,,

thaama thaa haath jindagi bhar ek liye
woh hi apna rasata badal le kisi aur ke ho liye

puakarti rahi manjile naam unka le le kar
woh kisi aur ke khawabo ki duniya ho liye

they kabhi woh har raaz ke raazdaan
aaj unhone hi duniya ke saamne woh bhed saare khol diye

mujhe  mat puchana mere hamnawaz ka naam ab
ab woh kisi gair ki duniya ke dil nawaz ho liye


Too gud Reply

Nazar Nazar me basa hai meri tere Liye Pyar......
Dil ko kyu doon ab dhoka le kehta hu tujhe aaj Dil Nawaaz.....

Na kehna ki kyu hai yeh Tanha raat......
Saath toh hona hoga kisina kisi ke akele nahi khila karta kabhi Gulzaar.....

Tere jawaab par ektak tika hai mera Maut ke liye INteZar.....
Na Darna iss Dunia se yeh nahi mere liye koi ab khaas......

Aa Sar-e-aam banata hu tujhe apni Dil Nawaaz........!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: June 28, 2006, 11:46:51 AM »
good one ..........

yeh jo teri justju hai yeh kya hai
ek nishaan hai dard ka aur yeh jindagi kya hai

sab kahwab mil rahe hain mitti mein jaise
waqt ke aage ab kisi ka jor kahan hai

chalte chalte thak chuke hain is veeran sehara mein
tere dil nawaz banane ki ab chahat is dil mein kahan hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #9 on: June 28, 2006, 11:54:15 AM »
Quote from: "ranjana"
good one ..........

yeh jo teri justju hai yeh kya hai
ek nishaan hai dard ka aur yeh jindagi kya hai

sab kahwab mil rahe hain mitti mein jaise
waqt ke aage ab kisi ka jor kahan hai

chalte chalte thak chuke hain is veeran sehara mein
tere dil nawaz banane ki ab chahat is dil mein kahan hai


JO aag Bhujj nahi sakti use tumne aaj aur jala dia.....
Kal Talak Jalta tha Seena mera aur aaj tum use Pavitra Ganga me bhi baha dia......

Na jaane kyu yeh WaQt mujhse rootha hai.....
Kehta hai harr pal ki yeh Janam bhi jhoota hai......

Aakhir kya galti thi meri ki kisi ne yeh kar dikhaya.....
Pighalti thi Jism par....aur aaj Binn Dard humne hai Ashk chalkaya.....!!!!!!!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #10 on: June 28, 2006, 12:02:27 PM »
Puzzled !
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: June 28, 2006, 12:04:09 PM »
gud Gaurav .....................

kya khabar thee hame jisne sikhaya hai hame jeene ka andaz
ajnabi se woh ban jaayenge mere liye ek din ............

tanaha hum reh jaayenge mohabbat ke is mukaam per
aur meri tanhaiyan reh jaayengi bas mere saath ek din

ghir jaayegi yun hi jindagi mein kaali si raat
aur hum ek ujaale ki kiran ko tarasenge  ek din

jam gayi ha barf si ab toh rishto ke darmiyaan
ek subeh ho dhup wali isko pighalne ke liye
us  subeh ki intaazar mein jee jaayenge aur ek din........
Logged
Anushka
Guest
«Reply #12 on: June 28, 2006, 12:48:20 PM »
Wah bahut khub mehfil seji hui hai... kamal kerdiya Ranjan janu , Gaurav bahut bhehterin jawab.. Thx Neer.... aur Tosha...

.. dil nawaz ki baat yeh hai...

Logged
Style_guru
Guest
«Reply #13 on: June 28, 2006, 01:44:32 PM »
The Style Guru Says.........

Nice work all.
Aur Anushka Ji, aapka andaaz-e-bayaan achha laga. Keep it up


Arz Hai,

Is sheher ki deewaron ke peeche,
In oonchi oonchi meenaron ke peeche,
Kuch ankahe kisse aur bhi hain,

Na main tha haara-Na tum the haare,
Na maine ki bewafai-Na tumne kuch kaha,
Par sangdili ke kisse aur bhi hain,

Main aaj bhi unhi veerano me hoon,
Main ab bhi teri daastano me hoon,
Magar ab meri zindagi ke hisse aur bhi hain......
Logged
Anushka
Guest
«Reply #14 on: June 28, 2006, 02:05:28 PM »
Shukriya Stylegurujii

Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:16:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer