Dil pukarta raha

by thycreator on May 26, 2008, 09:58:13 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5
Print
Author  (Read 3836 times)
Shikha12
Guest
«Reply #45 on: May 30, 2008, 05:38:23 PM »
Thanks Pooja di, Amit and Sonia..


Too good mahiya......specially the last line is a killer...Winking

Milan ki aisi hui bat mujhe judaai yaad aa gayi,
Mere mehboob se chahat ki wo khudai yaar aa gayi,
Kehte hain dard mein bhi ishq ka alag andaz hai,
Mehfil mein bhi baith kar hame tanhai yaad aa gayi...


Good Reply Amit.. Applause
Ek chhoti si koshish hamari taraf se..

Tumhare kuch khat puraane aaj almaari se nikal aaye,
Shabd har ek jinka tha, anginat armaanon ko sajaaye...
Beete lamhon ki yaad tabassum si palkon par bikhraaye,
Daaman thaam tanhaai ko mere kamre tak kheench laaye..


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ja raha hai koi.... by dev_omu in Shayri-E-Dard
bejaar ho raha hun mai jaar jaar ho raha hun by vaishnav in Shayri-E-Dard
pukarta hun aj bhi by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
pukarta raha...2..line by jeet jainam in Miscellaneous Shayri
Pooja
Guest
«Reply #46 on: May 30, 2008, 05:42:45 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
wah !! wah!! wah!!

kaya baat hai Mahiya.. ek ek line kamal ki likhi hai apne...
Daaman thaam tanhaai ko mere kamre tak kheench laaye..
 Clapping Smiley Clapping Smiley  bahoot khoob!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #47 on: May 30, 2008, 05:50:38 PM »
Thanks Pooja di.. Usual Smile


Aap bhi agar kuch likh dete, toh saath humara ho jaata,
Diary ke pannon par phir se kalam humara leharaata..
Kuch tukdon mein banti yaadein, adhoori si mulakaate,
Dil shayari mein keh jaata, bojhil mann halka ho jaata!!!

Logged
Pooja
Guest
«Reply #48 on: May 30, 2008, 06:03:02 PM »
Dil ko apne hum kuch dino se samjha rahe hai
Gum-e-halaat se kahin door le ja rahe hai
ek yug beeta, jinki hai chand yaadein dil main
khud ko khud he un yaadon se uljha rahe hai!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #49 on: May 30, 2008, 07:09:15 PM »
Gurujee yeh sab kamal Aap/Pooja di/Celmira/Mahiya jaise shayron ka kamal hai jee. mai kuch b nahi aap logon ke samne  notworthy  notworthy

Jane kya baat thi tujhme, yeh dil diwana ban gaya
Baat toh kuch nahi thi magar afsana ban gaya
Teri aankhon main itni masti thi yaara
Jisme doobkar tum ab dunia se begana ban gaya  Giggle


Hunar khud mein hi hota hai lovely....sirf usko pehchan.na jaruri hai......mujhe khushi hui agar maine ismein apki madad ki hai toh.....ab iss se pehle ki mere andar ka monitor jag jaye...dard mein ishq ki poetry band kar deni chahiye hum dono ko...pooja, talat, mahiya....sabki nigahen lagi hongi yahan...tongue3

Aye pyar tu mujhse yun juda kyun hai,
Bewafa tu nahi par yun khafa kyun hai,
Sun le kabhi toh mere ashkon ki sada,
Mere baton se tu yun unsuna kyun hai...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #50 on: May 30, 2008, 07:11:44 PM »
wah wah wah bahoot khoob Amit ji sabhi reply ek se bard kar ek diye hai apne...

Sonia bahoot acha likh rahi hai app!!

Thanks a lot Pooji ji.......shukriya!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #51 on: May 30, 2008, 07:29:15 PM »
Thanks Pooja di, Amit and Sonia..



Good Reply Amit.. Applause
Ek chhoti si koshish hamari taraf se..

Tumhare kuch khat puraane aaj almaari se nikal aaye,
Shabd har ek jinka tha, anginat armaanon ko sajaaye...
Beete lamhon ki yaad tabassum si palkon par bikhraaye,
Daaman thaam tanhaai ko mere kamre tak kheench laaye..




wo wo......another sixer.....form mein ho aaj aap....Winking

Aaj phir mere khayalon pe jaise cha gaya koi,
Muddaton bad bhi apni yaad yun dilaa gaya koi,
Wo apni muhabbat mere dil mein jinda rakhegi,
Apne kiye uss waade ko phir nibha gaya koi....
Logged
thycreator
Guest
«Reply #52 on: May 30, 2008, 07:44:58 PM »
Thanks Pooja di.. Usual Smile


Aap bhi agar kuch likh dete, toh saath humara ho jaata,
Diary ke pannon par phir se kalam humara leharaata..
Kuch tukdon mein banti yaadein, adhoori si mulakaate,
Dil shayari mein keh jaata, bojhil mann halka ho jaata!!!



Ha ha ha.......jawab ke liye majboor karne ka accha andaaz hai...tongue3

Didi ne saath de diya.....chalo hum bhi bina mange dene ki koshish karte hain.............tongue3

Hazaron nashtar jaise dil mein chubhte jaate hai,
Uski yadon ke diye ab toh mujhe jalate hai,
Aye khwabon-khayalon mujhe tanha hi rehne do,
Tumhari mehfil ke shor ab na sahe jaate hain..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #53 on: May 30, 2008, 07:48:28 PM »
wah kaya baat hai, full mood mai hai app bhi Amit ji!! bahoot acha likha hai !!

ek hi nashtar kafi hai, uski yaadon ko ane ke liye
ek hi yaad kafi hai, dil ko torr jaane ke liye
khwab-o-khyalo main hi hoti hai ab to usse baatein
ek hi baat kafi hai, ankhio ko rula jaane ke liye
Logged
thycreator
Guest
«Reply #54 on: May 30, 2008, 07:53:33 PM »
Dil ko apne hum kuch dino se samjha rahe hai
Gum-e-halaat se kahin door le ja rahe hai
ek yug beeta, jinki hai chand yaadein dil main
khud ko khud he un yaadon se uljha rahe hai!!!

Good one pooja ji.........

Beete kal ki parchai ka saath ajab nirala hai,
Tanhai mein har ek pal inhi se katne wala hai,
Darte hain par hum ye kal aaj ko na luta de...
Peeche na dekhne ka isliye humne andaz pala hai..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #55 on: May 30, 2008, 07:56:46 PM »
bahoot sahi kaha Amit ji apne!!!

Her kisi ka apna yaha andaaz hai
her ek ka andaaz bhi khas hai
koi samjh leta hai zindagi aoro ko dekh kar
koi khud ki zindagi se ladte ladte bezar hai
Logged
thycreator
Guest
«Reply #56 on: May 30, 2008, 07:57:46 PM »
wah kaya baat hai, full mood mai hai app bhi Amit ji!! bahoot acha likha hai !!

ek hi nashtar kafi hai, uski yaadon ko ane ke liye
ek hi yaad kafi hai, dil ko torr jaane ke liye
khwab-o-khyalo main hi hoti hai ab to usse baatein
ek hi baat kafi hai, ankhio ko rula jaane ke liye

Thank you jee....kam aap bhi nahi hain.....humne toh apse hi seekha hai...warna humari kya hasti hai...Usual Smile

Kyun tujhe yaad karun apna dil dukhane ke liye,
Muhabbat ka ye andaaz-e-dard nibhane ke liye,
Aur bhi gum hain zamane mein tere ulfat ke siva,
Hum gum ka sahara lenge gum ko bhulane ke liye...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #57 on: May 30, 2008, 08:01:04 PM »
bahoot sahi kaha Amit ji apne!!!

Her kisi ka apna yaha andaaz hai
her ek ka andaaz bhi khas hai
koi samjh leta hai zindagi aoro ko dekh kar
koi khud ki zindagi se ladte ladte bezar hai


Hmmmm.......

Zindagi se iss ladai ka koi haasil toh nahi hai,
Jiske liye lade wo apno mein shamil toh nahi hai,
Jo apna hi na hua, uske baare mein bhi soche kyun,
Kisi bewafai ko nibhana itna mushkil toh nahi hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #58 on: May 30, 2008, 08:02:29 PM »
wah kaya baat hai... magar last line main app khud hi apna sath chor gaye...

But thanks Amit ji, apki lines bahoot himmat deti hai!!!

wo hi nahi apna to uska gum bhi apna kyun kare
ussi ki raahon per chal kar, her us pal ko khud se juda kare
tanha hai, uski yaadon ke sath, tanha hai uski yaadon ke bin
phir kyun na khud ko tanha, khud ki tanhaai se kare
Logged
Pooja
Guest
«Reply #59 on: May 30, 2008, 08:04:40 PM »
Hmmmm.......

Zindagi se iss ladai ka koi haasil toh nahi hai,
Jiske liye lade wo apno mein shamil toh nahi hai,
Jo apna hi na hua, uske baare mein bhi soche kyun,
Kisi bewafai ko nibhana itna mushkil toh nahi hai...

mushkil hai kaya, yah soch kar to dekh
uski bewafai main meri wafa ko to dekh
mushkil nahi hai uski bewafai ko bhulana
bahoot mushkil hai magar dost, apni wafa ko kahin dafnana
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:12:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer