Dil se dil ki baatein

by urs4evasomdev on December 22, 2005, 11:07:42 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Author  (Read 6923 times)
urs4evasomdev
Guest
These ones my bf wrote for me..
...i just want everyone to see it...
    ....coz i love it....!



Main kahi bhi rahu har kadam har ghadi
meri dil mein basi teri yaad hai,
Meri aankhon ki duniyaan hai suni padi,
par meri dil ki duniyaan tujhse aabad hai


Murjha gaye ha phul
par bahaar vahi hai,
Aap dur hai humse
par pyaar vahi hai,
jaante hai mil nhahi paa rahe aapse
lekin in aankhon mein intzaar vahi hai....


Pyaar ke fulo se mehken aap
khushiyon ke jhulo mein khele aap,
hai humaari yehi tamanna,
kabhi hasna na bhule aap....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Baatein! by Ravi_Dave in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
dil ki baatein by phoenix in Shayri-E-Dard
DO BAATEIN AAPKI DO BAATEIN HUMARI by muskan_bye in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2 3  All »
Baatein... by daljeet_faqeer in Shairi - E - Zindagi
Dil ki baatein... by -Kashish- in Shayri-E-Dard
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: December 22, 2005, 11:14:23 AM »
welcome urs4evesomdev to yoindia.............bahut acha likha apne................keep writing................ tongue3
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #2 on: December 22, 2005, 11:27:16 AM »
"Mujhse Milne Ki Fariyad Karoge,
Dosti Kar Ke Dekho Yaad Karoge....

Badnaam sirf duniya ke liye
Tere liye toh abhi bhi Likhta hoon......."


Aapse milne ka vada karke
darde-e dil hum dena nahi chahte,
Is dil ke berukhaye ko samajhye
hum unke tara bewfafa kehlana nahi chahte
Darte hai humse hi koi khata hui hogi
jo hume is kadar tukhra diya,
ab tho pyaar ya dosti ke raah mein chalke
aur ek baar hum zakhm khana nahi chahte
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #3 on: December 22, 2005, 05:53:26 PM »
Dhuaan banaa ke, fiza me urra diya mujhko,
me jal rahaa tha, kisi ne bujha diyaa mujhko,

Mein ek zarra bulandi ko chhoone nikla tha,
hawaa me thaam ke zamin par giraa diyaa mujhko,
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #4 on: December 23, 2005, 10:07:18 AM »
[Dhuaan banaa ke, fiza me urra diya mujhko,
me jal rahaa tha, kisi ne bujha diyaa mujhko,

Mein ek zarra bulandi ko chhoone nikla tha,
hawaa me thaam ke zamin par giraa diyaa mujhko,]

Aye! badnaam shayar,
Kya tu ab aise gira hai?
ke fir kabhi ud na payege?
kya dil tera jal kar raakh ban gaya hai?
Ke tu ab jal na payega?
khwabon mein tere baadle honi chahiye
aur kehte reh uthkar
ke "jo bhi ho ... kal fir ayega"
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: December 23, 2005, 11:31:37 AM »
Quote from: "urs4evasomdev"
[Dhuaan banaa ke, fiza me urra diya mujhko,
me jal rahaa tha, kisi ne bujha diyaa mujhko,

Mein ek zarra bulandi ko chhoone nikla tha,
hawaa me thaam ke zamin par giraa diyaa mujhko,]

Aye! badnaam shayar,
Kya tu ab aise gira hai?
ke fir kabhi ud na payege?
kya dil tera jal kar raakh ban gaya hai?
Ke tu ab jal na payega?
khwabon mein tere baadle honi chahiye
aur kehte reh uthkar
ke "jo bhi ho ... kal fir ayega"



Doobti agar kashti meri ufanti lehron me toh koi baat na thi,
Par meri toh kashti wahan doobi jahan koi musibat saath na thi,
behete chale gaye un tez lehron k sang,
or na jaane kahan jaa k takraye,
phir dia kisi ne tinke ka sahara or haath pakad apne Dil mein le aaye,
dekhi na gayi us khuda se meri khushi,
cheen lia phir mujhse jo bhi dia woh sabhi,
Agali subha uth kar Khudaa se ki ek hee darkhast ki,
"yaa Khudaa kuch bhi ho....woh kal meri Zindagi mein phir kabhi na aye""
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #6 on: December 23, 2005, 12:22:22 PM »
waah!....... loved it.....
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #7 on: December 23, 2005, 01:52:06 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote from: "urs4evasomdev"
[Dhuaan banaa ke, fiza me urra diya mujhko,
me jal rahaa tha, kisi ne bujha diyaa mujhko,

Mein ek zarra bulandi ko chhoone nikla tha,
hawaa me thaam ke zamin par giraa diyaa mujhko,]

Aye! badnaam shayar,
Kya tu ab aise gira hai?
ke fir kabhi ud na payege?
kya dil tera jal kar raakh ban gaya hai?
Ke tu ab jal na payega?
khwabon mein tere baadle honi chahiye
aur kehte reh uthkar
ke "jo bhi ho ... kal fir ayega"



Doobti agar kashti meri ufanti lehron me toh koi baat na thi,
Par meri toh kashti wahan doobi jahan koi musibat saath na thi,
behete chale gaye un tez lehron k sang,
or na jaane kahan jaa k takraye,
phir dia kisi ne tinke ka sahara or haath pakad apne Dil mein le aaye,
dekhi na gayi us khuda se meri khushi,
cheen lia phir mujhse jo bhi dia woh sabhi,
Agali subha uth kar Khudaa se ki ek hee darkhast ki,
"yaa Khudaa kuch bhi ho....woh kal meri Zindagi mein phir kabhi na aye""




Ke badal deta hai Kudrat bhi aapni fitraat hum dil farkhton ke liye
Hai jeena aab kambakht ek kasm-kasm inn Husn farkhton ke liye

Kabhie maangtein hai duaain, kabhie loot tey hain fizaein, Gum ke ghoot peene ke liye
Dard kehta hai ke abb door chale jaayein, kamzor hi sahi par kafan ki chadar seene ke liye.........

Nirbhay............................!!!!
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #8 on: December 23, 2005, 02:29:02 PM »
tujhko dekha tho dil machal gaya,
sochti rahi ye kaise kashish hai tere mere bich,
tujhko pyaar kia tho sapna haqeeqat ban gaya,
sochti rahi ke kaisi baechaeni hai tere saath jine ki,
tujhko khoya tho tadapti aag main hum jal gaye,
sochte rahe ye kaisa faisla hai khuda ka
jisme milke ...  bichadna likha hai in lakeero mein....  
dono alag hoke bhi saath jite hai,
pyaar tho dono ab bhi karte hai,
sochti hu kambhaqt hum kaise jite hai!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #9 on: December 24, 2005, 11:52:13 AM »
bahut khoob neer..........dard kehta hai ki ..........................kamzor hee sahi kafan ki chadar seene k liye....very gud
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #10 on: December 24, 2005, 01:14:40 PM »
Thx mere yaar.................Par tujhse to bahut kuch likhna sikhna hai mujhko aabhie........!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: December 25, 2005, 05:21:06 AM »
ye keh k neer mujhe sharminda mat kar bhai................... tongue3

"Koi kabhi un chehron ko parhay
Jo afsaanon ki tarha hotay hain
Woh ankhein jin mein shokhion ki jagha
Gehray gehray samandar hotay hain
Woh hont jin hon nay hansi ki bajaye
Chup ki chaadurain orhi hoti hain
Woh dil jin mein hazar khuahishain nahi
Tootay huway armaan chupay hotay hain"
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #12 on: December 25, 2005, 09:57:52 AM »
gaurav.very nice..........
especiallly........
      " Woh hont jin hon nay hansi ki bajaye
        Chup ki chaadurain orhi hoti hain
       Woh dil jin mein hazar khuahishain nahi
      Tootay huway armaan chupay hotay hain"
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: December 25, 2005, 12:24:30 PM »
thnx minu........... tongue3
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #14 on: December 26, 2005, 02:10:01 PM »
Hume is kadar bekarar karke yu na jaaye,
aapko humaari kasam laut aye!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 07:46:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer