Dil tarasta hain...

by Ravi_Dave on April 21, 2007, 04:59:42 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 663 times)
Ravi_Dave
Guest
Bhool hogayi humse, qurbat ke liye,
Dil tarasta hain, muhabbat ke liye,

Soch mein unke, khud se anjaan hogaye,
Kya hain sazaa, aisi chaahat ke liye,

Har guft-a-gu mein, ishaar-e-pyaar nikal jaata hain,
Vaid ne kya ilaaj bataaya, yeh wafa-o-vahshat ke liye,

Zamaana beet gaya, koi khabar nahi aayi unki,
Har kaasid ke saamne jhukta hoon, ek uske khat ke liye,

Woh bekhudi ko humari kya samjenge,
Samajte hain hum bulaaye hain, humari zooroorat ke liye,

Dekhte hain raasta unka, bhar chasm-e-khoon se,
Kya woh denge dawaa, yeh himat ke liye,

Naa de itni roshni, 'Ravi, unke zindagi mein,
Karte hain woh dua, tere zindagi mein zulmat ke liye,

Chaud tu intezaar mein, aanhe bharna,
Khushi tu kyun lootaata hain, unki nafrat ke liye,

Unki kya adaa hain, wafa ki qadrdaani bhi nahi,
Lekin mauka ek bhi nahi jaane dete shikaayat ke liye,

Ibaadat yeh sahi nahi hain, dekh to sahi,
Kya mila ghum ke siva tujhe, aisi teri kudrat ke liye,

Pyaar kyun ussi ko karte hoon, jo be-dil hain,
Kya paaya maine, aisi aadat ke liye,

Sabhi kuch de diya, kuch naa vaapas maanga,
Kya chaahiye tujhe, apni rukhi kismat ke liye,

Kitne qisse humein yaad dilaaye zaalim ke, logo ne,
Dil phir bhi tarata hain, unki muhabbat ke liye!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Main pyaar ko tarasta hu.. by hifrnd20 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shikwe-Gile Jo kutchh bhi hain, Tuzhko bhi hain Muzhko bhi hain by harashmahajan in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~Tarasta rehta hoon~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
TARASTA RAHA by saahill in Shairi - E - Zindagi
yeh dil tarasta hein by raj_4u1007 in Miscellaneous Shayri
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: April 23, 2007, 11:09:13 AM »
Very Nice One...  =D>

Har-ek Sher Behtereen hai ... Usual Smile
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #2 on: April 23, 2007, 02:37:21 PM »
Shukriya ShikaJi, kuch aur sehr inhi fasaano mein mohna chahta hoon...

Zulm-e-sitam naa dhaa, pyaar mein khokar,
Jaan-e-jigar lootana hain to loota ussi bewafaa par, naa dekh raah unki ijaazat ke liye,

Tu ponchta unke dar, nazar-e-anskh mein deed-e-arzoo leke,
Pairon mein chhaal milte hain woh kabhi naa mile, kya mila tujhko teri taaqat ke liye,

Har dil machal uthta hain, jab woh nikale kunche se,
Kaha milega aisa behtreen naqaab, aise chaand si surat ke liye,

Doli mein beth, chale woh humare dushman ke ghar,
Sabhi ke jaise, aaye hum bhi, rukhsat ke liye,

Koi nahi aata ghumkhaar banke,
Jo mein rowoo aajaye tamashaai, muft-e-nasihat ke liye,
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:54:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer