DIL TOOTANA HAI KISMAT MAIN HAMARI

by BeNam on September 17, 2005, 08:05:56 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3177 times)
BeNam
Guest
Dil ko tutate dekha hai maine,
Ulfat ki laash hai kandhon pe mere!
Kya mahobaat hai nahi janata hai koi,
Bus apane dil ke tutane ka raag gata hai her koi!

Kyun dhundhate hai sahare, ke sun le koi fariyad hamari,
Sabhi janate hain ki dil tutana hi tha kismat main hamari!


--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
PALKEEN BHI CHAMAK UTHTI HEN SOTAY MAIN HAMARI by ibneadam1509 in Shayri for Khumar -e- Ishq
mere kismat main tu nahi by nadia brohi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Kismat main jo tha vo hi tou paaya hai by ek_tamanna in Shayri for Dard -e- Judai
jiski kismat main rona by Dineshkumarjonty in Shayri-E-Dard
Ab Hamari Ankhon Main by Lovely-Prince in Shayri-E-Dard
srishti2511
Guest
«Reply #1 on: September 17, 2005, 09:15:20 PM »
very nice BeNaam ji...touching!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #2 on: September 18, 2005, 11:30:52 PM »
Thanks Srishti!

Aah bhar rahi hi mahobaat meri, aur woh chale ja rahe  hai,
Janaja uth raha hai mera, aur woh muskura rahe hai!

--- BENAM ------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #3 on: September 19, 2005, 02:04:13 PM »
Aaacha likha benam par shyad isko dard wale forum me dete to aaur aacha lagta anyway gud lines.

   Dil ka tha ek sapna aaur sapno ka tha ek aangan
   sapney to ho gaye chur chur , par zinda hai dil ka aangan.
    JAI SHREE KRISHNA.
Logged
BeNam
Guest
«Reply #4 on: September 19, 2005, 03:43:03 PM »
Thanks for the appreciation and suggestion Nirbhay!

Kashti ko dubate dekhate meri, toh yun gila na karate,
DIL ko tutate dekhate mera, toh yun muskuraya na karate!

JAI Shree Krishna!

--- BENAM---
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: September 19, 2005, 09:56:58 PM »
Jai Shree Krishna!!!

Moved from Ishaq-e-khumar to shayri-e-dard!!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #6 on: September 20, 2005, 07:55:34 AM »
JAI  SHREE  KRISHNA and ur most well come benam , Jai shree krishna pooja this is nirbhay zaveri.

      dard shyad is shyar ki sine mein chip hai mujhse jyada
      Kiuki humse to hasinau ne kia hai isq daga kahi jyada
      rab kare tujhe isq gawara ho hir ranjha se bhi jyada  
      aare dard ko bhula ke to dekho isq me nasha hai dard se jyada!
      JAI  SHREE KRISHNA.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: September 20, 2005, 02:40:38 PM »
dard ke nashy mai dard ka ahsaas kahan hota hai
Ishaq ke zanoon se jayada, dard ka janoon hota hai
na koi chahat, na hi koi hasart baki rahti hai
Phir bhi ankhon mai ansoo liye, Dilbar ka intzaar hota hai!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #8 on: September 20, 2005, 03:13:13 PM »
Dilbaar ka intezar yehi to mahobaat ka izhar hota hai
   Intezar ho , yalgar ho, izhar ho fir jhagde se har zufzu mein pyar ho
   Tabhie to ye sacha pyar , har ruh mein hota hai ,
   Nasha mahobaat ka bhi kaam nahi baas zaruri hona ek yaar hota hai.
 
    JAI SHREE KRISHNA.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: September 20, 2005, 04:54:07 PM »
dard ki baat na kar, sari duniya dard ke nagari lagati hai
jab bhi naya jakham milta hai, zindagi aor sanwary lagati hai!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #10 on: September 21, 2005, 07:13:25 AM »
Wah Wah too gud pooja ji , really admireable JAI SHREE KRISHNA ,

         
      Dard chipa hai tere sine mein hi bhi
      ye baat hamien bhi samajh aati hai
      zaruri nahi ke ashk hii dard bahatein hai
      ye kalam bhi har dard bayan kar jaati hai
      JAI SHREE KRISHNA.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: September 21, 2005, 02:49:27 PM »
wah bahoot khoob Nirbhauy i!!!!

Dard jab dil mai hota hai, tabhi kalam bhi kaam ati hai
Baha kar dil ka dard, shabdo mai simat jaati hai!!
kabhi rokar, kabhi chup rah kar, yah dard kalam ka sath deta hai
Jo na kabhi hum kah paye, yah wo awaaz deta hai!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #12 on: September 21, 2005, 03:24:59 PM »
Wah wah aapne bhi kamal kiya , JAI SHREE KRISHNA.

     Tumse hai dosti tumhe nazron mein baasana ,par dil na churana
     tum ho jaan meri jine ke khatir maine  tumje har khwab me basana
     mai ji na sakun ga tere bin, ho baas tujhe har lamha dekhne ka bahana
     tum ho mere pyar , nazaron se saha tera har war.................
     par ha pyar karna par dil na churana.      
     Oh hoy hoy soniye dil na churana , aai hai hai dil mere dil mera dil na churana.
    JAI SHREE KRISHNA.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: September 25, 2005, 09:59:08 AM »
nirbhay ji yah shayari-e-dard hai khumar-e-ishaq nahi!!!

jab bhi murr kar sochati hu to yah samaj nahi atta
ek pal thy sath aor agly pal bichar gai hum
yah milane aor bichare ke bich ke pal
kaya hua tha bas yahi samaj nahi atta

Meri yaaden kahi pagal na kar de muje
tujse mil kar bicharna mujse saha nahi jata
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #14 on: September 25, 2005, 10:18:54 AM »
thnx 4 remider pooja ji and sorry my llines are mysterious too , JAI SHREE KRISHNA.
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:19:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer