bheegi bheegi chup si tanha raat
tum nahi ho kahi bhi mere sath
bohat kuch kehna chahoon tumse
par lafz nahi hain mere pass
shaam-e-aalam Dhalii to chalii dard kii havaa
raaton kaa pichhalaa pahar hai aur ham hain doston
ye ajanabii sii manzilein aur raftagaaN kii yaad
tanhaiiyon kaa zahar hai aur ham hain doston
HumTum
Kasti Gayi,Kinara Gaya,
Toote Hua dilon ka Sahara gaya,
Koi puchhe kahan gaya,
To keh dena kisi bewafa ke pyaar main maara gaya
nm
ajiib saanehaa mujh par guzar gayaa
main apane saaye se kal raat Dar gayaa
har ek naqsh tamannaa kaa ho gayaa dhundhalaa
har ek zaKm mere dil kaa bhar gayaa
nm
HumTum
Tanhaiyon me jite rahe
Shama banake jalate rahe
Teri yadoon me hum..
Ekek pal ginate rahe !
Sawan aake chala gaya
Mahine baras bit gaye
Par tum na aaye yaara..
Hum to yunhi mit gaye !
is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa kii muhabbat nahiin ehasaan kiyaa hai
sochaa thaa ki tum duusaron jaise nahiin hoge
tum ne bhii vahii kaam merii jaan kiyaa hai
HumTum
wow excellent............... nishita.................humtum.......just_hate_lo
ve
Dasht jo dil ko bataya ho ga
aaina sab ko dikhata ho ga
rasta jis ney mohabbat ka chuna
rait main phool khilata ho ga
aur munkar hai mohabbat ka jo shakhs
chand muthi mein chhupata ho ga
phir sey karti hai saba sargoshi
koi us paar bulata ho ga
shab hai khamoshi kei sadyon sey
chand kirno ko batata ho ga
main samjha tha samundar tum ko
"tha" ka matlab tumhein aata ho ga............................nm