Dil Udaas Rehta Hai ...............!!!

by Talat on August 01, 2006, 05:09:12 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2785 times)
Talat
Guest

Machal jaata hai seene main, kabhi tadapta hai
Kabhi baithe baithe sard aaahen bharta hai
Dil ki udaasiyon ka sabab hum jaan na paaye
Besabab, yunhi ye dil udaas rehta hai .........!

Hansti aankhon main ashk ye bharta hai
Seene main dhadakta hai, shor ye karta hai
Batata nahin kabhi, kya chaahta hai yeh
Muddatain guzreen, ye dil udaas rehta hai.....!

Ek dhundla sa khwaab kabhi ye dikhaata hai
Aur ek saaya sa mere paas se guzar jaata hai
Benaam si khwaahishain karta hai, mitaata hai
Deewana thehra, ye dil udaas rehta hai..........!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Deewaron Sa Chup Rehta Hoon... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
udaas udaas sa manzar dikhai deta hai by nadanashiq in Shayeri for Dard -e- Bewafai
paas hi rehta hai by sunny.22 in Shayri for Khumar -e- Ishq
{Hansi Labon Pe Sajaye Udaas Rehta Hai} by angel4u in Shayri-E-Dard
ranjana
Guest
«Reply #1 on: August 01, 2006, 05:27:53 PM »
bahut khoob talat ....

aksar har shaam ko yeh dubata sa suraj mujhse kuch kehta hai
chand bhi andhare mein lipta hua sa udas sa rehta hai
bich jaata hai dur tak ek gehara sa sanaata
na koi sunta hai na koi bolta hai
yeh dil aksar yun hi udas sa rehta  hai....
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: August 02, 2006, 08:04:21 AM »
Thanks a lot Ranjana.....and Gum....bohot shukriya pasand karne ka !!

Nice written Ranjana !!
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #3 on: August 02, 2006, 08:13:09 AM »
Quote from: "Talat"

Machal jaata hai seene main, kabhi tadapta hai
Kabhi baithe baithe sard aaahen bharta hai
Dil ki udaasiyon ka sabab hum jaan na paaye
Besabab, yunhi ye dil udaas rehta hai .........!

Hansti aankhon main ashk ye bharta hai
Seene main dhadakta hai, shor ye karta hai
Batata nahin kabhi, kya chaahta hai yeh
Muddatain guzreen, ye dil udaas rehta hai.....!

Ek dhundla sa khwaab kabhi ye dikhaata hai
Aur ek saaya sa mere paas se guzar jaata hai
Benaam si khwaahishain karta hai, mitaata hai
Deewana thehra, ye dil udaas rehta hai..........!


woow very good Talat and nice ranju too.

dil mera tera talabgar raha har su.n
karta raha teri hi aarzu har su.n
nahi milegi y mujhe pata hau mujhe
par dil mera tera karta raha intezar har su.n.....
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #4 on: August 02, 2006, 09:49:37 AM »
Talat, Ranju, Vikas

Very nice !

Keep it up !

Rajbir
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: August 02, 2006, 10:27:01 AM »
Thanks a lot Vikas....it was very nice from you !

Thanks Rajbir...hume pata hai itna achcha nahin likhte hain, phir bhi hausla afzaai ke liye shukriya !
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #6 on: August 02, 2006, 10:46:03 AM »
Rajbir ji Shukriya bahut bahut aapka

and thanks a lot Talat.....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: August 02, 2006, 10:54:36 AM »
shukriya Talat, Vikas and Rajbir ...... Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: August 02, 2006, 01:20:33 PM »
Quote from: "gum"
TOO GUD TALAT AND RANJU. MEIN TOH KAYAL HO GAYA AAP KE SHAYARI KA


shukriya gum ...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #9 on: August 02, 2006, 05:13:46 PM »
Wah, Bohat khoob Talat & All...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: August 03, 2006, 03:20:29 AM »
shukriya Aryaan ....

fir se kisi khawab ne badla hai rang apna
fir se kisi ne in aankho ko dikhaya hai sapna
fir se in nazaro ko intazaar kisi ka rehta hai
tadpa uthata hai yeh dil kisi ki awaz sunte hi
aur fir yunhi  udas rehta hai ......

chhaa jaati hai ek ajab si beqarari
har taraf ek ajab sa manzar hota hai
nahi hota yakeen apni kismat per hame
ki koi hum per dilo jaan se marata hai
hoti hai jab baate nayi nayi
toh ajab sa dil ka haal hota hai
bichar ke toh unse hum kabhi kush na they
per mil ke bhi dil  aksar udas rehta hai ...
yeh dil yunhi udas rehta hai .......
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: August 03, 2006, 03:22:09 AM »
Bahoot Khoob Talat And Ranjana Sis,..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: August 03, 2006, 03:37:58 AM »
shukriya Azeem bhai ....
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: August 03, 2006, 08:19:41 AM »
Thanks a lot Aryaan, Usual Smile and Janasheen....vrey nice again Ranjana ! Usual Smile
Logged
Bharat
Guest
«Reply #14 on: August 04, 2006, 03:40:51 AM »
Quote from: "Talat"

Machal jaata hai seene main, kabhi tadapta hai
Kabhi baithe baithe sard aaahen bharta hai
Dil ki udaasiyon ka sabab hum jaan na paaye
Besabab, yunhi ye dil udaas rehta hai .........!

Hansti aankhon main ashk ye bharta hai
Seene main dhadakta hai, shor ye karta hai
Batata nahin kabhi, kya chaahta hai yeh
Muddatain guzreen, ye dil udaas rehta hai.....!

Ek dhundla sa khwaab kabhi ye dikhaata hai
Aur ek saaya sa mere paas se guzar jaata hai
Benaam si khwaahishain karta hai, mitaata hai
Deewana thehra, ye dil udaas rehta hai..........!


Talat,
bohot hi achcha likha hai..........

Ranjana & Vikas,
dono ne bohot achcha likha hai...............

I have tried to write regarding "dil udaas rehta hai".
Though, do not know how it turned out.............

wo paas aate nahin aur duur bhi jate nahin
na jaane kyun, apna chehra dikhate nahin
jaise patthar ka dil bana kar baithe hai wo
sanam pighalte nahin, to dil udaas rehta hai

bahar bhi mere aangan se duur ho gayi hai
gulshan ke phuulo ki khushboo kho gayi hai
phuulon ki khushboo, lati thi unki yaadein
phuul jo khilte nahin, to dil udaas rehta hai

unse kaise karun apni ijhaar-e-mohabbat
wo dekhte bhi to nahin mere dil ki chahat
kash dhundh pata wo lafz kashish se bhare
alphaz jo milte nahin, to dil udaas rehta hai.............!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:32:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer