Dil Udaas Rehta Hai ...............!!!

by Talat on August 01, 2006, 05:09:12 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2784 times)
ranjana
Guest
«Reply #15 on: August 04, 2006, 03:56:38 AM »
shukriya Bharat  and Talat ...

bahut khoob likha hai aapne Bharat ....

socha thaa unke saath chalte chalte
paa hi lenge hum kahi toh apni manzile
par chhoot gaya beech raha mein hi unka saath
na jaane ab kab ho unse agali mulakaat
yeh soch ke koi ashq palko per ab kam tharata hai
ab yeh dil aksar udas udas sa rehta hai..

ek barf si jam gayi hai ab rishto ke darmiyaan
ab na koi phool mere dil ke veraano mein khilta hai
gumh  ho rahi hai saanse meri mujhe mein hi kahi
ab koi etabaar na ikhtiyaar kisi per hota hai
kuch toh kah jaate tum jaate jaate
kuch sunne ki asha yeh dil ab bhi tumse karta hai
ab  yeh dil aksar yun hi udas udas sa rehata hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Deewaron Sa Chup Rehta Hoon... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
udaas udaas sa manzar dikhai deta hai by nadanashiq in Shayeri for Dard -e- Bewafai
paas hi rehta hai by sunny.22 in Shayri for Khumar -e- Ishq
{Hansi Labon Pe Sajaye Udaas Rehta Hai} by angel4u in Shayri-E-Dard
Bharat
Guest
«Reply #16 on: August 04, 2006, 12:36:23 PM »
Ranjana,
Thanks. And very nice again !!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #17 on: August 04, 2006, 04:20:17 PM »
Nice Poetry everyone..

Hamare Dil Ki Qayil Ho Gayi Thi
Udaasi Kitni Mayil Ho Gayi Thi
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #18 on: August 04, 2006, 08:27:55 PM »
Quote from: "Talat"

Machal jaata hai seene main, kabhi tadapta hai
Kabhi baithe baithe sard aaahen bharta hai
Dil ki udaasiyon ka sabab hum jaan na paaye
Besabab, yunhi ye dil udaas rehta hai .........!

Hansti aankhon main ashk ye bharta hai
Seene main dhadakta hai, shor ye karta hai
Batata nahin kabhi, kya chaahta hai yeh
Muddatain guzreen, ye dil udaas rehta hai.....!

Ek dhundla sa khwaab kabhi ye dikhaata hai
Aur ek saaya sa mere paas se guzar jaata hai
Benaam si khwaahishain karta hai, mitaata hai
Deewana thehra, ye dil udaas rehta hai..........!


TALAT DI...too good...:D:D:D
Logged
nikki
Guest
«Reply #19 on: August 04, 2006, 08:31:14 PM »
wonderfull Talat sis n All.....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: August 07, 2006, 09:19:08 AM »
Bahoot Khoob Doston,...

Pada Hai Mujhpar Tumbin Ye Dard Bhara Zamaana,..
Teri Khateer Maine Chaman Chorda Basaaliya Veeraana,..

Meri Chahaton Ko Is Jahaan Mein Kisi Ne Na Pehchaana,..
Suno Sab Ye Mera Dard Bhara Afsaana,..

_____________________________________-Jaanasheen-
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: August 28, 2007, 06:54:10 PM »
Quote from: "Bharat"
Quote from: "Talat"

Machal jaata hai seene main, kabhi tadapta hai
Kabhi baithe baithe sard aaahen bharta hai
Dil ki udaasiyon ka sabab hum jaan na paaye
Besabab, yunhi ye dil udaas rehta hai .........!

Hansti aankhon main ashk ye bharta hai
Seene main dhadakta hai, shor ye karta hai
Batata nahin kabhi, kya chaahta hai yeh
Muddatain guzreen, ye dil udaas rehta hai.....!

Ek dhundla sa khwaab kabhi ye dikhaata hai
Aur ek saaya sa mere paas se guzar jaata hai
Benaam si khwaahishain karta hai, mitaata hai
Deewana thehra, ye dil udaas rehta hai..........!


Talat,
bohot hi achcha likha hai..........

Ranjana & Vikas,
dono ne bohot achcha likha hai...............

I have tried to write regarding "dil udaas rehta hai".
Though, do not know how it turned out.............

wo paas aate nahin aur duur bhi jate nahin
na jaane kyun, apna chehra dikhate nahin
jaise patthar ka dil bana kar baithe hai wo
sanam pighalte nahin, to dil udaas rehta hai

bahar bhi mere aangan se duur ho gayi hai
gulshan ke phuulo ki khushboo kho gayi hai
phuulon ki khushboo, lati thi unki yaadein
phuul jo khilte nahin, to dil udaas rehta hai

unse kaise karun apni ijhaar-e-mohabbat
wo dekhte bhi to nahin mere dil ki chahat
kash dhundh pata wo lafz kashish se bhare
alphaz jo milte nahin, to dil udaas rehta hai.............!


Beautiful Bharat !!! Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #22 on: August 28, 2007, 06:55:26 PM »
Quote from: "ranjana"
shukriya Bharat  and Talat ...

bahut khoob likha hai aapne Bharat ....

socha thaa unke saath chalte chalte
paa hi lenge hum kahi toh apni manzile
par chhoot gaya beech raha mein hi unka saath
na jaane ab kab ho unse agali mulakaat
yeh soch ke koi ashq palko per ab kam tharata hai
ab yeh dil aksar udas udas sa rehta hai..

ek barf si jam gayi hai ab rishto ke darmiyaan
ab na koi phool mere dil ke veraano mein khilta hai
gumh  ho rahi hai saanse meri mujhe mein hi kahi
ab koi etabaar na ikhtiyaar kisi per hota hai
kuch toh kah jaate tum jaate jaate
kuch sunne ki asha yeh dil ab bhi tumse karta hai
ab  yeh dil aksar yun hi udas udas sa rehata hai


Ranju Di, bohot achcha likha hai aapne Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: August 28, 2007, 06:56:24 PM »
Quote from: "Aryaan"
Nice Poetry everyone..

Hamare Dil Ki Qayil Ho Gayi Thi
Udaasi Kitni Mayil Ho Gayi Thi


Very nice Aryaan...aajkal aap kahan hain...missing your poetry
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: August 28, 2007, 06:56:58 PM »
Thanks a lot Anjaani and Nikki Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: August 28, 2007, 06:57:41 PM »
Quote from: "Jaanasheen"
Bahoot Khoob Doston,...

Pada Hai Mujhpar Tumbin Ye Dard Bhara Zamaana,..
Teri Khateer Maine Chaman Chorda Basaaliya Veeraana,..

Meri Chahaton Ko Is Jahaan Mein Kisi Ne Na Pehchaana,..
Suno Sab Ye Mera Dard Bhara Afsaana,..

_____________________________________-Jaanasheen-

Thanks Azeem...and very nice from you !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: September 22, 2008, 08:04:34 PM »
Thankyou ! Yoindia
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:25:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer