Dil...Khawab...Fareb...Zindagi...

by Pooja on April 04, 2007, 06:02:33 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1157 times)
Pooja
Guest
Dil ko samjhaya tha
Khawab mai tha
Kuch samjh na paaya tha

Khawab ko samjhaya tha
Dil tha chanchal
Khawab ne dil ka sath nibhaya tha

Dil ne khawab per kar bharosa
Zindagi se Fareb khaya
Toota dil
Toota khawab
Fareb bahoot muskuraya tha

Zindagi ki yahi kahani
Na jaane, dil ne kitani baar dohari hai
Dil ne diya sath, khawabo ka
Fareb se Zindagi ne her baar maat khai hai.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khawab Sirf Khawab Hi Reh Gaye by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Faasle ke maani ka kyun fareb khaate ho by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
FAREB...., by Dil Shah in Share: Poetry of Pain
FAREB..........................................SAINI by sksaini4 in Ghazals « 1 2 3 4 »
Fareb Nazar Ka by Mufazzal in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pushkar_singh
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
47 minutes.
Posts: 87
Member Since: Jan 2007


View Profile
«Reply #1 on: April 04, 2007, 08:03:28 PM »
Bhaut khoob pooja ji....
dil ko choo gaya..
nice one......!!!!!!!!!!!!!!!!!!!1
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: April 04, 2007, 08:12:21 PM »
bahoot bahoot shukaria Pushkar ji!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: April 04, 2007, 08:17:32 PM »
Hamesha ki tarha iss baar bhi Aap ne kamaal ka likha hai Pooja...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: April 04, 2007, 08:22:34 PM »
bahoot bahoot Shukaria Aryaan ji!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: April 05, 2007, 10:02:45 AM »
Very Nice Pooja !! Usual Smile
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #6 on: April 05, 2007, 10:16:04 AM »
behtarin peshkash hai ye aapki pooja ji................
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: April 05, 2007, 12:31:12 PM »
Thanks Talat and PJAG JI
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #8 on: April 07, 2007, 05:14:04 PM »
verry nice pooja ji.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: August 27, 2007, 08:25:29 PM »
Quote from: "Pooja"
Dil ko samjhaya tha
Khawab mai tha
Kuch samjh na paaya tha

Khawab ko samjhaya tha
Dil tha chanchal
Khawab ne dil ka sath nibhaya tha

Dil ne khawab per kar bharosa
Zindagi se Fareb khaya
Toota dil
Toota khawab
Fareb bahoot muskuraya tha

Zindagi ki yahi kahani
Na jaane, dil ne kitani baar dohari hai
Dil ne diya sath, khawabo ka
Fareb se Zindagi ne her baar maat khai hai.....


Her baar toot kar sambhal jaata hai
Ajeeb hai yah dil, na jaane kaha se himmat lata hai

Khayalo main khud ko behka jaata hai
Rota hai bahoot, phir bhi muskura jaata hai

Jakhmi hai yah, taar taar dard se bhara hua
Fareb ko dekh kar, ab nahi ghabrata hai

Hanst ahai aor kahta hai, chalo tum aaye to sahi
Kuch der na dekhu jo tumko, to chain nahi atta hai

Her baar toot kar sambhal jaata hai
Ajeeb hai yah dil, na jaane kaha se himmat lata hai
Logged
aankhain
Guest
«Reply #10 on: August 27, 2007, 09:29:17 PM »
bohat bohat aor bohat hi zeyada dukhi ho gai hoon main. :cry:
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: August 27, 2007, 09:43:10 PM »
Quote from: "aankhain"
bohat bohat aor bohat hi zeyada dukhi ho gai hoon main. :cry:


Maafi chahti hu Aankhain ji...

kisi ko bhi dukhi karna in kavitao ka irada nahi hota
dukhta hai jab khud ka dil, aor koi mere pass chara nahi hota

Likh deti hu, bhawanao ko bas aise hi shabdo main
kisi ko rulana to mera maksad nahi hota

na rok paugi kalam apni, chahti hu maafi tah-e-dil se e dost meri
bina likhe pooja ka jeevan, jeevan nahi hota!!!!
Logged
aankhain
Guest
«Reply #12 on: August 28, 2007, 12:13:28 PM »
Quote from: "Pooja"
Quote from: "aankhain"
bohat bohat aor bohat hi zeyada dukhi ho gai hoon main. :cry:


Maafi chahti hu Aankhain ji...

kisi ko bhi dukhi karna in kavitao ka irada nahi hota
dukhta hai jab khud ka dil, aor koi mere pass chara nahi hota

Likh deti hu, bhawanao ko bas aise hi shabdo main
kisi ko rulana to mera maksad nahi hota

na rok paugi kalam apni, chahti hu maafi tah-e-dil se e dost meri
bina likhe pooja ka jeevan, jeevan nahi hota!!!!


pooja g main ne aisa is liye nahi kaha k jo ap ne likha us main bohat dukh ha. main dukhi is liye hoi k ap ne bohat dukhi ho k likha ha. ap k dukh ki wajh se dukhi hoi. aor pooja g ap maafi ka keh ker mjhy sherminda na ki jiye. bus pooja g ap khush raha keriye.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: April 30, 2008, 10:52:09 PM »
Koi sath likhta to hai nahi  BangHead
phir kahte hai ki games mai jayada rahte ho Crying
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 01:09:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer