- Dillagi -

by Meena on August 27, 2005, 04:09:03 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 6488 times)
Meena
Guest
Kyu azmate ho yuh is kadar mere pyar ko,
Ke khilona hi samajh liya tune apne hi yaar ko,

Mat dikhao itna beganapan apni dillagi me sanam,
Ke tokar hi lag jaye, yaar, mere aitbaar ko,

Kahi sach me na roo doon teri hasi me aaj,
Na ane do ankhon me aisi ansowon ki deewar ko,

Mere bhi jazbaat hai jo bikar kar toot sakhte hai,
Aab band bhi kar do khel ke is bazaar ko!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dillagi Kaise ................ by Amit Janglan in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dillagi by thelostworld in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Dil Lagaya Tha Dillagi Ke liye.. by Azeem Azaad in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3  All »
Dillagi .. by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Dushmann se mein dillagi kar baitha by thegrimreaper in Shayeri for Dard -e- Bewafai
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: August 27, 2005, 05:13:13 PM »
Quote from: "Meena"
Kyu azmate ho yuh is kadar mere pyar ko,
Ke khilona hi samajh liya tune apne hi yaar ko,

Mat dikhao itna beganapan apni dillagi me sanam,
Ke tokar hi lag jaye, yaar, mere aitbaar ko,

Kahi sach me na roo doon teri hasi me aaj,
Na ane do ankhon me aisi ansowon ki deewar ko,

Mere bhi jazbaat hai jo bikar kar toot sakhte hai,
Aab band bhi kar do khel ke is bazaar ko!


very  nice  Meena...............nice  wordings..........bahot  khoob.......

woh mile to yeh pochna hai mujhe
ab bhi hoon mai teri aman main kaya
yeh mujhe chain kyon nahi parta
ek  hi shakhs tha jahaan mein kya..................................
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #2 on: August 27, 2005, 05:57:47 PM »
wow meena sis ...........kya khoob likha hai,very daring,josh se bharpoor Usual Smile .And very nice waheed too.
Logged
husain52
Guest
«Reply #3 on: August 27, 2005, 06:57:16 PM »
bohot hi    accha likha hai aapne meena ji aur kya baat hai waheed bhai aapne bhi bohot accha likha hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #4 on: August 27, 2005, 07:35:49 PM »
wow Meena sis thats wonderfull......
hope u like it...

woh karte rahe dillagi humse
humein kabhi yaqeen hi nahi hua

ussne saaf lafzon mein bhi kaha
magar kaano par bharosa hi nahi kiya

thokar lagi aur khoon ke aanson royi main..
jab toda usne dil aise mod par aakar
ke jahan se wapis jaane ka raasta hi nahi raha
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #5 on: August 28, 2005, 06:20:08 AM »
Bahut vadiya Meena ji like always
Waheed n'Nikki aap dono bhi kaam nahi.......
Keep up the good work!!
Logged
rawat
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 80
Member Since: Oct 2004


View Profile
«Reply #6 on: August 28, 2005, 06:32:01 AM »
veryyyyyyyyyy nice good job !!!!!!!!!!!!!! keep writing


Sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar,
Kyon yeh kinaro se takra kar palat jati hain,
Karti hain vo kinare se bewafai ya fir sagar se wafa nibhati hain
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: August 28, 2005, 08:32:32 AM »
Quote from: "Meena"
Kyu azmate ho yuh is kadar mere pyar ko,
Ke khilona hi samajh liya tune apne hi yaar ko,

Mat dikhao itna beganapan apni dillagi me sanam,
Ke tokar hi lag jaye, yaar, mere aitbaar ko,

Kahi sach me na roo doon teri hasi me aaj,
Na ane do ankhon me aisi ansowon ki deewar ko,

Mere bhi jazbaat hai jo bikar kar toot sakhte hai,
Aab band bhi kar do khel ke is bazaar ko!





Meena

....

acha laga aap ko dobara yha dekh ker..waise mien bhi khud se kat gya tha kaafi dino se...jab dil mien mehboob basta ho to phir duniya o maafiha se begana ho jata hai yeh dil....Meena....pyar pa lene mien kya mushkil hai...haan na paaya bhi ho tab bhi mehafil e yaar to saji rehti hai...woh ek ek lamha jo usi ki soch mien guzre kuch kam to nahi...phir bhi betaab dil maange more na.......  aap ki tehreer ke jawab mein kuch arz hai ....


jane kaun si baat se hua tujh ko yeh ehsaas
ke naam bevffaa de diya tune apne dildaar ko

kabhi mere pyaar pe ik baar yaqeen to kar le
mein jaan de dunga nazrane mein sarkar ko

tune to muhoobat ko meri samjha dil lagi goya
ab kaseey samjhau mein iss dil e beqrrar ko

yaar rutha hai to lage asia ke khuda ruth gya
jee mein aata hai ke lga du aag iss sansar ko

mohhobat hi ki hai meiney koi gunaah to nhi
acha nhi  be-maout marna apne talaabgaar ko


so zindagi naam hai badhte rahne ka......ghum mile ya khushi...mohabbat milen ya ansoo......zindagi kat to jaati hai....kisi ke jor o sitam ka sahara liye...kisi ki berukhi ka nazara liye.....khushi hui ke aap phir se is bazm mein aaye...  likha kijiye ....  
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: August 28, 2005, 08:56:02 AM »
Quote from: "nikki"
wow Meena sis thats wonderfull......
hope you like it...

woh karte rahe dillagi humse
humein kabhi yaqeen hi nahi hua

ussne saaf lafzon mein bhi kaha
magar kaano par bharosa hi nahi kiya

thokar lagi aur khoon ke aanson royi main..
jab toda usne dil aise mod par aakar
ke jahan se wapis jaane ka raasta hi nahi raha



welcum back Choti :D

hummmmmm  

........

Choti yun mayuusss nhi hote ..........koi baat nhi yaadon ko sameta kero.......khubsurat ho jati hain tanha lamhon mien.......


tujh se kuch rabt nahin hai to bhalaa tera Khayaal
phool ban kar meri saanson mein mahakta kyun hai
tu ne Khud raah-e-muhabbat ko chunaa tha, 'e dil !
ab yeh tanhaayi mein raaton ki sisakta kyuun hai !


Logged
nikki
Guest
«Reply #9 on: August 28, 2005, 11:48:44 AM »
very nice Humtum............
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 36 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #10 on: August 29, 2005, 07:56:44 AM »
bahut khoob meena, nikki n humtum

Yun hi faslon ko sajaye rakh, yahi intezaar rehne de
Mere zehen-o-dil ke sukoon par mera akhtiyar rehne de

Teri chahton ke jo dard hain, mujhe sab khushi se qubool hain
Meri chashm-e-nam ka na khayal kar, mujhe ashk-e-baar rehne de

Teri bebasi bhi baja sahi, meri khwahishein bhi ghalat nahin
Tujhe har kadam par khushi mile, mujhe sogwaar rehne de

Meri guftugoo mein jo dard hai, yahi dard mera naseeb hai
Main bhula chukka hoon qaraar ko, mujhe beqarar rehne de

Mere dil ki aatishe karab ko, meri rooh ke jalte fashar ko
Kayi baar tune bujha diya, magar abki baar rehne de.
Logged
nishita
Guest
«Reply #11 on: August 29, 2005, 10:27:03 AM »
meena nikki humtum and sam gud work guys Usual Smile
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #12 on: August 29, 2005, 01:14:29 PM »
nice n gr8 one all n meena sis............!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #13 on: August 29, 2005, 04:24:54 PM »
waheed:
bohot ache dost, and thanx!!!  :D

nidhi:
thanx kuddiye!!!  :D

nikki
thanxxxxxxx sissssss and u r super duper as usual!  :D

husain ji:
shukriya ji shukriya  :D

rawat ji:
thank u and very nice as well  :D

humtum jiii
shukriya ji shukriya aur aap ne to humesha ki tara kamal ka likha hai!

woh to dillagi humse karte rahe,
hum ussi pe kuch ansoon bahate rahe,
dil me dard sa utha to tha unke hasi mazak se,
par pyar beshumar tha jo hum nibate rahe!


husain ji
thanx a lot as usuall apne bohot acha likha par mujhe samajh ne nahin aya sab kuch sad5


nishu:oh thanx kuddiye nice to c ya back!  :D

salma:
thank u ji thank u
[/u][/b]
Logged
nikki
Guest
«Reply #14 on: August 29, 2005, 04:58:13 PM »
thanx Samnoj n very very nice one by u...

Thanx to u Nishita(long time no c), Salma sis(mera id ka chand) n Meena sis( my adorable behna)............
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:21:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer