- Dillagi -

by Meena on August 27, 2005, 04:09:03 PM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 6541 times)
Meena
Guest
«Reply #30 on: September 07, 2005, 04:13:31 PM »
mangi thi wafa par hume to bewafai mili,
gairon ka kya apno se bhi yaha ruswai mili,
bas pyar hi kiya to kya jurm kiya jo
ek toota hua dil hume kamayi(salery) mili!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dillagi Kaise ................ by Amit Janglan in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dillagi by thelostworld in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Dil Lagaya Tha Dillagi Ke liye.. by Azeem Azaad in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3  All »
Dillagi .. by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Dushmann se mein dillagi kar baitha by thegrimreaper in Shayeri for Dard -e- Bewafai
HumTum
Guest
«Reply #31 on: September 07, 2005, 04:15:35 PM »
waqt woh aa hi gaya hum juda ho hi gaye
dekhiye jism se saaye khafa ho hi gay
kal tak they sanam aaj khuda ho hi gaye
saare sitam dilbaron ki adaa ho hi gaye
Logged
Meena
Guest
«Reply #32 on: September 07, 2005, 04:27:02 PM »
too gud!!

judai ke toofan se hum lad na paye,
ek sanam ke bina hum jee na paye!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #33 on: September 08, 2005, 01:14:38 PM »
three gud !!

lad hi jate har ik tufaan se hum
gar milta rehta sath tumhara
zamane ke sitam to chodiye
humey teri farebon ne hi mara !!
Logged
Meena
Guest
«Reply #34 on: September 08, 2005, 05:18:25 PM »
niceeeeeeee

saath chalne ki tamana humari bhi ti,
shak ko darmiyan tum hi to laye te,
kasoor to is dil ka hai jisne tujhe apnaya,
warna tum to mere liye paraye te!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: September 08, 2005, 05:50:18 PM »
wah kaya baat hai bahoot khoob Humtum ji and Meena kuriiyeeee kamal kita hai!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #36 on: September 09, 2005, 12:12:14 PM »
Pooja ji [/u]

Shukriyan !!!

Meena -JII [/u]

bahoot khoob !!!  kuch pesh e kidmat hai !!

hum to tum pe jaan-nisaari karte rhey
magar tumne humey yun paraya jana
fir bhi karte rhey hum pooja teri "Meena"
aur tumhey muhoobat ka khuda mana !!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #37 on: September 09, 2005, 01:23:55 PM »
pooja:
shukriya kuddiye shukriya...kuhc likh deti tum bhi aaj humtum ne yeh nahin kaha ke pooja ji apko padne ka man tha :wink:

humtum jii:
very very nice mundeya!

ek ajnabi tha jise humne dil me basaya tha,
taqdeer se lad kar hath ki lakeeron me uska nam rajaya tha,
aaj har ek ajnabi se fasle rakhte hai hum,
woh ek ajnabi hi tha jisne umar bhar ke liye hume rulaya tha!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #38 on: September 09, 2005, 02:33:24 PM »
humm  waakie Pooja ji , Meena -JII ne baja farmaya ... ke aap ko pade huye ik arsa ho gya ..... kuch aap bhi apni qalam ka jadu dhikhaye !!!!  aur Meena -JII aap shayri e dard mein bhi ANKH maar rhe ho ..hummm  Meena -JII hummm ... bahut acha likha hai app ne !!!!!  lakin woh kya hai na koi is trah se dil mein sma jata hai ke ajnabi ho ke bhi ajnabi nnhi lagta ... ji dil aksar apne hi toda karte hai gair nhi .....


apni samjh ke tumko gale se lagaya tha
dil mein apne pyaar ka ashiyaan sajaya tha
teri khatir kya kya na zulm o sitam shey
tujh pe apni zindgi ka carvaan lutaya tha !!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #39 on: September 09, 2005, 03:09:27 PM »
woh to hai janab!  :D

kuch to tha tujh me,
jo ajabi te par apna ban gaye,
kismat ko koson mai ya Khuda ko,
haqiqat te tum phir ek sapna ban gaye!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #40 on: September 09, 2005, 03:14:50 PM »
jab naseeb hi ho asisa to kya gila kissi se
haqeeqat e daur sapno mein dhal jate hai
kehte they jo humko kabhi jaan apni
aaj raho mein nazar chura ke chale jate hai !!
Logged
Meena
Guest
«Reply #41 on: September 09, 2005, 03:20:26 PM »
wah ji wah!!

majbooriyon ne daman tam liya tha mera,
warna hum sanam bewafa na te,
aaj zindagi, kismat aur khuda se gila hai mera,
warna hum to kabhi kisi se kafa na te!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #42 on: September 09, 2005, 03:24:15 PM »
majboriyoon ne toh sanam humey bhi roka tha
lekin humne to tera damaan kabhi na choda
tu hi sare raah chod gyi thi tanhaa mujhey
humne to kabhi na tum se muuh tha moda !!
Logged
Meena
Guest
«Reply #43 on: September 09, 2005, 03:31:00 PM »
gumon ke sholo ne haath kuch is tara se jala diye,
ke chaha kar bhi hum tera daman na apna sakhe,
ruswa ho jate mere apne chand pani ki bondon se,
humari kismat dekho dukh me hum anson bhi na baha sakhe!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #44 on: September 09, 2005, 03:36:08 PM »
dukh sukh to jeevan mein yun chalta hi rehta hai
yun apno se muuh modna koi waffa to nhi
tum suna dete apna dukh dard mujhye "Meena"
jinda hi  tha yeh " HumTum",  mra to nhi !!
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:14:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer