Hum Unhen Woh Hamen Bhulaa Baithe
Do Gunahgaar Zaher khaa Baithe,
Haal-e-Gham keh keh k Gham Barhaa Baithe,
Teer Maare The Teer khaa Baithe,
Aandhiyon Jaao Ab Aaraam karo
Hum Khud Apna Diya Bujhaa Baithe,
Jee To Halkaa Howaa Magar Yaaro
Ro k Hum Lutf-e-Gham Barhaa Baithe,
Be-Sahaaron kaa Hosalaa Hi kiyaa
Ghar Mein Ghabaraaye Dar Pe Aa Baithe,
Jab Se Bichhre Woh Muskuraaye Na Hum
Sab Ne Cheraa To Lab Hilaa Baithe,
Hum Rahe Mubtalaa-e-Deer-o-Haram
Woh Dabe Paaon Dil Mein Aa Baithe,
Uth k Ek Bewafaa Ne De Di Jaan
Reh Gaye saare Baawafaa Baithe,
Hashr kaa Din Hai Abhi Doorr "Khumar"
Aap kiyon Zaahidon Mein Jaa Baithe.
-Khumar Barabankwi-
Bahut hee pyaarey qalaam sey roo-eb-roo karwaayaa hai aapney! Shukriyah, Azeem ji!
Khumar Barabankawi kee gazal padhtey-padhtey yeh matlaa nazar-e-zeyhn mein khud-b-khud daakhil huaa, to, yah gazal taameer mein aa hee gayee!
Bazm-e-aatish-bjaan mein aa baithey!
Daaman-e-syaah bhi jalaa baithey!!
Wo raqeeboun key paas bhi na gaye
Umra bhar, kahkey sarfiraa, baithey!
Noujawaanee qayaam-e-hijra rahee;
Wasl kee yaad bhi chhupaa baithey!
Wo akeyley hain nipat: pahloo mein,
Kaash, jaakar koyi sagaa baithey!
Unkey jalwey hain tasawwur mein nihaan:
Ham unhain baarhaa sunaa, baithey!
Maykadey mein hain muhaajir ab to;
Laboun sey jaam-e-may sataa baithey!
Ham bhi beyzaar hain, ao wo beyzaar!
Rab, 'abd', dil kahaan lagaa baithey?
Bahut sey doosarey doston key liye, jin ney is 'link' ko na deykhaa hogaa, main isey dubaarah apnee 'main link' par bhee post karoongaa! Main is gazal key liye Azeem ji kaa 'aabhaaree' huun: na wey Khumaar saahab kee gazal 'share' kartey, na yeh gazal taameer mein aatee!
- abd bundeli