Dohraaye Hue Lafz (Shikha)

by Shikha12 on January 21, 2008, 02:52:41 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 3230 times)
Shikha12
Guest
«Reply #15 on: January 23, 2008, 11:30:56 AM »
bahut khoob sikha ji...

apni tilmilahat per kuch sabr laaya jaaye.
bheegti in aankho ko ab chup karaya jaye.

bejaan hoti fariyaad berang chehra dekhker.
dard se hi sahi  ab muskuraya jaaye.

khali lagte hai agar dard mein na ho halchal,
to dard ko hi apne ab sataya jaaye.

khud syaah homohabbat mein tajgi rahi..
isliye yaroon ab khud ko jalaya jaaye...


Bahut Khoob... Usual Smile


आप कहते है तो मुस्कुरा देते है..
नक़ाब से चेहरे को सज़ा लेते है..

कौन दोहराए इन रूठे लफ़्ज़ों को,
खुद ग़ज़ल अपनी गुनगुना लेते है..

गुमसुम सा दिखाई देता है चाँद,
आज सितारों से इसको मिलवा देते है..

फिर ना टकराए उनसे भीगी पलकें,
बहला के बारिशो को बुला लेते है..

घर से हटा दिए सब आईने हमने,
ये बेरहम सच्चाई बता देते है..

------------------------------------

Aap kehte hai to muskura dete hai..
Naqaab se chehre ko saja lete hai..

Kaun dohraaye in roothe lafzon ko,
Khud gazal apni gunguna lete hai..

Gumsum sa dekhaai deta hai chaand,
Aaj sitaaron se isko milwa dete hai..

Phir na takraaye unse bheegi palkein,
Behla ke baarishon ko bula lete hai..

Ghar se hata diye sab Aaine humne,
Ye Be-rehem Sachhai bata dete hai..
  Usual Smile


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
***Aik Lafz*** by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 6 7 »
Lafz by musical_luv in Shayri-E-Dard
aik lafz by gulzargul in Miscellaneous Shayri
do lafz(gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
lafz(gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shikha12
Guest
«Reply #16 on: January 23, 2008, 11:54:26 AM »
Nice one Shikha Ji ....  kucch pesh hai !!

Be-waffai ki aag mein aaj apna dil jalayien hum
Ae’ Dil chal ab GumooN ki mehfil sajayein hum

AshkooN mein mila kar apna gum pee jaye hum
Kuch apni sunayoN tum, kuch apni sunayien hum

Tum hum mein samao aur tum mein samayien hum
Chalo na aaj ishq ki ik nayi reet chalayein  hum

Ab aur kya kissi se Marasim badayein hum
Yeh bhi bahut hai tujh ko agar bhul jayien hum

Raahein juda hai jiski, maanzil hai juda humse
Kyun kar uss ajnabi ko apne paas bulayien hum?

Who log ab kha hai ke jo kehte the sir-phiraaa ?
Hai kitne sir-phiree, chalo aaj unko batlayein hum

Who shaks jo chala gya tha mujh ko keh kar alwida,
Aa jaye to uske raastoN mein sitare bichayein hum

Jiski yaadien satati  rehti hai shab-o-roz humko
Jee mein aata hai ke ab usko bhi satayein hum

Kha dekhein honge usne hum jasseey bhi dewane
Chot dil pe kha kar , labooN se muskuraye hum !!!


Superb One HumTum...

My Try... Usual Smile



इसी सर-ज़मीन में छुपा मिलेगा खुदा भी,
इश्क़ की निशानियाँ हर दिल पर लगायें हम…

नासमझ है, रूठे है, सुनते ही नही वो तो,
बेचैन मन से अपनी पाज़ेब बजायें हम…

है मुहब्बत भी, शिकवे और शिकायतें भी,
रूठे हुओ को रूठ कर ही मनायें हम…

ख़ाक ना हो आशियाँ कही शक़ शुबाह में,
उठते हुए हवा में अंगार दिखायें हम…

करवट किए जाग रहा तन्हाई लपेटे खुद से,
चाँद को थप्पकीयाँ दे देकर सुलायें हम…

कोई और तन्हा ना रहे, हमारे जाने के बाद,
धुएँ से बादलों के भी साए बनायें हम…

----------------------------------------

Isi sir-zameen mein chhupa milega khuda bhi,
Ishq ki nishaaniyaa har dil par lagaayein hum…

Nasamajh hai, roothe hai, sunte hi nahi wo to,
Bechain mann se apni paajeb bajaayein hum…

Hai muhabbat bhi, Shikve aur shikayatein bhi,
Roothe huon ko rooth kar hi manaayein hum…

Khaak na ho aashiyaa kahi shak shubaah mein,
Utthte hue hawa mein angaar dikhaayein hum…

Karwat kiye jaag raha tanhaai lapete khud se,
Chand ko thapkiyaan de dekar sulaayein hum…

Koi aur tanha naa rahe, humare jaane ke baad,
Dhhue se baadlon ke bhi saaye banaayein hum… Usual Smile

Logged
SHONA
Guest
«Reply #17 on: January 23, 2008, 12:09:46 PM »
too good shikha..really nice one from you..
nice replies by all
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #18 on: January 23, 2008, 12:41:42 PM »
Aap kehte hai to muskura dete hai..
Naqaab se chehre ko saja lete hai..

Kaun dohraaye in roothe lafzon ko,
Khud gazal apni gunguna lete hai..

Gumsum sa dekhaai deta hai chaand,
Aaj sitaaron se isko milwa dete hai..

Phir na takraaye unse bheegi palkein,
Behla ke baarishon ko bula lete hai..

Ghar se hata diye sab Aaine humne,
Ye Be-rehem Sachhai bata dete hai..[/color][/b][/size][/font]  Usual Smile
bahut aacha likha hai Sikha ji....per

Agar kabhi aap humare kehne per muskurana,
to dua hai naqab ka chehra mat lagana.

chahe raho sabeke saath, ya tanhaayee mein,
gazal aapne man ki hi gungunana....

chand ki roshni ki tareef sabhi kerte hai.
tum unhe sitaron ki chamak bhi dikhana..

behte hue ashq to her naqaab cheen lete hai,
us samay bhool ke bhi barish ko na bulana...

aapne aap ko dekhker aapna ehsaash mila hai.
khuda k liye aaino ki maujudgi mat hatana..
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #19 on: January 23, 2008, 01:17:36 PM »
Again a Nice one Shikha Ji ....



Kyun kisi ko apne, zakham dhikayein hum
Kudh apni hi mout ka matham manayein hum

Aaj woh silsila-e-ishq  khatam kar aaye hum
Who kehte the ke un par sitam dhayein hum

Sehra-e-zindagi mein, haye! koi dusra na tha
Sunte rhe hai aap hi, kudh apni sadayien hum

Who ke jisko muhhobat ka koi ilam hi nahin,
Ya khuda! Kis tarah se usko samjhayein hum

Iss zindgi míen itni bhi frahgat kisse naseeb?
Itna naa yaad Aa ke tujhe bhool jaayein hum

Ishq karne ki bhala iss se badi saza kya hogi?
Be-waffai kii tumne magar, sharmayein hum !!

Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #20 on: January 24, 2008, 12:43:50 PM »
Koi nahin duniya mein dard ko churaane wala,
Toh dard se kyon naa ghar ko sajaayein hum…

Yun hi diye jaate hai wo dil ko dilaase jhoothe,
Chalo kahaaniyon se apna dil behlaayein hum…

Reit ka ek tinka tha wo jo bheega gaya palkein,
Is bahaane kuch ashkon ka bojh hataayein hum…

Thak gaye hai hum bhi dohraaye hue lafzon se,
Dard ke siwaa sunaayein to kya sunaayein hum…

Is baar khaamosh hi raheinge, aisa socha to hai,
Zeher-e-gum muskuraahat mein milaayein hum…

Haath aayi bus zakhm lapete lamhon ki yaadein,
Waqt ke peeche khade daaman phelaayein hum…

Yu shikast paayi hai apni hi zindagi ke haathon,
Maut ke liye karne lage hai laakh duaayein hum…


Wah Kya Baat Hai SHIKHA.. Bahut Khooooooob.. Such hi Likha Hai Tumne..
Dard se Kyun Na Ghar ko Sajaayen Hum.. Bahut hi Umda Soch Ke Sath
Likha Hai.... Daad Kubool Karen Lajwab Shayara Ji..!! Usual Smile Usual Smile

Vicky
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: January 24, 2008, 04:09:05 PM »
wah kaya baat hai... bahoot khoob dost kavi, HumTum ji and Shikha... kamal ka likh ahai sabhi ne!!! Good job by all!!!

Logged
natural
Guest
«Reply #22 on: January 25, 2008, 06:33:13 AM »
Koi nahin duniya mein dard ko churaane wala,
Toh dard se kyon naa ghar ko sajaayein hum…

Yun hi diye jaate hai wo dil ko dilaase jhoothe,
Chalo kahaaniyon se apna dil behlaayein hum…

Reit ka ek tinka tha wo jo bheega gaya palkein,
Is bahaane kuch ashkon ka bojh hataayein hum…

Thak gaye hai hum bhi dohraaye hue lafzon se,
Dard ke siwaa sunaayein to kya sunaayein hum…

Is baar khaamosh hi raheinge, aisa socha to hai,
Zeher-e-gum muskuraahat mein milaayein hum…

Haath aayi bus zakhm lapete lamhon ki yaadein,
Waqt ke peeche khade daaman phelaayein hum…

Yu shikast paayi hai apni hi zindagi ke haathon,
Maut ke liye karne lage hai laakh duaayein hum…


Nice one shikha.... Nice replies by all.... Usual Smile
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #23 on: January 26, 2008, 06:30:09 PM »
Bahut sundar likha hai Shikha ji,

zindagi ko yun apney se juda bhi na karo
ki ajnabi ban jaaye zindagi
reh jaaye ek sawaal bankar
dhoondhein jawaab hum pal pal
zindagi ke saath chalo tho
sanvarti jaaye zindagi
per jub bigad jaaye
tho saath kaisey chalein
shayad imtihaan
leti hai zindagi
Logged
kohinoor_
Guest
«Reply #24 on: January 26, 2008, 06:36:37 PM »
Khuda rakhthey hain har pal ka hisaab
jo kathin guzaar di zindagi
socho Khuda kya denge uska jawaab

phool ban jaaye zindagi
kaantey karein gila
Logged
faiiz_76
Guest
«Reply #25 on: January 26, 2008, 09:47:26 PM »
NICE shikha ji ..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #26 on: January 27, 2008, 12:22:11 PM »
BAHUT KHOOB, SAB NE EK SE BADHKAR EK LIKHA..EK KOSHISH KUCH LIKHNE KI...

KYA KHABAR USS SHAKS KO MAIN BHI BAHUT BECHAIN HOTA HOON
CHUPKAR TANHAI MEIN KAHIN AKELE MEIN ROTA HOON...

JHOOTE DILAASO SE MAN APNA BHI NAHI BEHAL SAKA,
AB TO BAS KAANTO BHARI NEEND,
AANKHON MEIN RAKH KAR SOTA HOON..
JAB BHI KHWAAB DEKHTHA HOON USS SHAKS KE ZOR-ZOR SE ROTA HOON...

BAHUT ASAAN HAI YEH SAB KE LIYE,KISI KO BHI BEWAFA KEH DENA,
KYA KHABAR LOGON KO,
USKI JUDAI MEIN CHAIN-SUKOON MAIN HAR PAL KHOTA HOON..

WAQT KE HAATH SE KUCH YUH MAAT KHA GAYI APNI KISMAT
KE SOCHTHA THA,JAB BHI MILENGE,
MERI MAJBOORI KYA THI,UNHE SUNAUNGA
JAB BHI UNSE PAAS JAANE KE LIYE UTHAYE HAI KADAM
AUR BHI DOOR....BAHUT DOOR  UNSE  HOTA HOON

DOHRAAYE HUE LAFZ KO PHIR DOHRAANE SE KUCH NAHI HASSIL
SAB YEH KEHTE HAI MUJHSE,MAIN BHI JAANTA HOON..
PAR YUH SAMJLO UNKI JUDAAI KO SEH NAHI SAKTA,
PYAAR MEIN UNKE CHOT KHAAKAR AB INSAAN NA RAHA
WAHI PURANE LAFZ KO DHORAANE WALA TOTA HOON

PYAAR MEIN "KHWAISH" MUJHE USS SHAKS SE KOI SHIKAYAT NAHI
MERI HI BADNASEEBI KE SADKE MAIN ROTA HOON....
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #27 on: January 30, 2008, 02:18:01 AM »
bahut hi umda kalaam likha hai aapne khawish ji...per

aapni badnaseebi ke sadke kabhi mat rona ,
ki naseeb kabhi badneeb nhi hota hai...
jaanta hai wahi pyaar ke rang ko,
jo uski khusi ke liye khd ko ashqo mein dubota hai.
log kehte hai us insaan ko bewafa per wo bewafaa kaha
wo to aaj bhi ghar per chain ki need sota hai.
jub ehsaash nhi usay dard ka kisi ke to kya samjhegi wo pyaar ka ehsaash,
to tu kyn uski bejaan yaadon ka zaher dhota hai
aapni badnaseebi ke sadke kabhi mat rona ,
ki naseeb kabhi badneeb nhi hota hai...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #28 on: February 20, 2008, 10:23:26 AM »
Wow... so many comments here..  glasses2

Thanks a lot Shona, Bhondu ji, HumTum, Vicky Usual Smile, Pooja di, Jagdish, Kohinoor, Faiiz_76 and Khwaish...  Usual Smile

Very Very Nice Replies Bhondu ji, HumTum, Kohinoor and Khwaish...


So sorry for not replying in time.. but I will try to reply everyone very soon...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #29 on: February 20, 2008, 10:39:55 AM »
bahut aacha likha hai Sikha ji....per

Agar kabhi aap humare kehne per muskurana,
to dua hai naqab ka chehra mat lagana.

chahe raho sabeke saath, ya tanhaayee mein,
gazal aapne man ki hi gungunana....

chand ki roshni ki tareef sabhi kerte hai.
tum unhe sitaron ki chamak bhi dikhana..

behte hue ashq to her naqaab cheen lete hai,
us samay bhool ke bhi barish ko na bulana...

aapne aap ko dekhker aapna ehsaash mila hai.
khuda k liye aaino ki maujudgi mat hatana..


Very Nice Reply Bhondu Ji... Usual Smile


सितारों की रोशनी बहुत मद्धम है,
चाँद का अक्स अभी उन पर भारी है...

बारिशों के मौसम लगे सुहाने से,
हर बहता अश्क़ कहता है, वो अभारी है..

इन में नज़र आता है अपना अकेलापन,
फिर भी इन्ही आइनो से हमारी यारी है..

है दर्द से लबालब ये सीमाओं तक,
हद-ए-निगाह आँसुओ की फुलवारी है..

----------------------------------------------
Sitaaron ki roshni bahut maddham hai,
Chaand ka aks abhi un par bhaari hai...

Baarishon ke mausam lage suhaane sey,
Har behta ashq kehta hai, wo abhaari hai..

In mein nazar aata hai apna akelapan,
Phir bhi inhi aaino se humaari yaari hai..

Hai dard se lab-a-lab ye seemaao takk,
Hadd-e-nigaah aansuo ki fulwaari hai..
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:56:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer