Door bohot door humko hai jana....!!

by Talat on February 13, 2009, 10:12:28 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 5897 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: February 15, 2009, 09:47:32 AM »

Ek Koshish Meri Taraf Se...

Chaar Din Ki Fakat Zindagi Hai Apni,
Dekhte-Dekhte Waqt Ne Hai Guzar Jaana...
"Khwaish" Ke Chehre Par Muskaan Ko Dekh Kar,
Naa Samaj Ke asaan Hai,
Duniya Bhar Ke Gham ko Chupaana...

Hauslo Ka Chirag Hai Mujhe Aaj Bhi Jalaana
Door Bahut Door Ab Humko Hai Jaana....

Kuch Shikayate Thi Mujhe Bhi Mere Apno Se,
Par Unn Shikayato Se Kya Haasil,
Insaan Hoon Main, "Khwaish" Yaad Rakh,
Insaan Ko Aakhir Mein, Mitti Mein Hi Hai Mil Jaana...

Hauslo Ka Chirag Hai Mujhe Aaj Bhi Jalaana,
Door Bahut Door Ab Humko Hai Jaana....

Apne Dard Ki Dawa Dhoondhta Raha Main Zindagi Bhar,
Ab Dard Ko Dard Se Hai Sehlaana,
Aaj Mein Jeena Asaan Hai,
Mushkil Hai Beete Waqt Ki Yaadon Ko Mitaana....

Hauslo Ka Chirag Hai Mujhe Aaj Bhi Jalaana,
Door Bahut Door Ab Humko Hai Jaana.....


Bohot hi khoobsurat aur sachchi baat kah daali aapne Khwaish.....Bohot bohot Khoob Applause Applause Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
DOOR BAHOT DOOR CHALEJAYENGE by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 6 7 »
Door bohot door humko jaana hai !!! by Talat in Critics and Review only Forum « 1 2  All »
Door kahin hai jana re........... manjum by manjum in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ab door door rehna.................................................Aqsh by aqsh in Ghazals « 1 2  All »
DOOR-DOOR RAHTE HAIN...............................SAINI by sksaini4 in Ghazals « 1 2 3  All »
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #16 on: February 16, 2009, 03:19:47 AM »
Bahut Bahut Shukriya Poojaji,Rajeshji,Qadeer Bhai..
Aap Sab Ne Isse Padha Aur Saraha..Teh Dilse Shkarguzaar Hoon.. notworthy
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: February 16, 2009, 03:47:50 AM »
Bohot shukriya dost Khwaish.... Zindagi bhi kya kya rang dikhati hai...Main khush hoon ki Khuda ne meri madad ki un haalaat main. Thank you so much.

Talat,Zindagi Ke  Har Kadam Par Khuda aapke Saath Ho..Yehi Dua Hai Iss Dost ki..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #18 on: February 16, 2009, 03:50:57 AM »
Bohot hi khoobsurat aur sachchi baat kah daali aapne Khwaish.....Bohot bohot Khoob Applause Applause Applause

Bahut Bahut Shukriya Talat.. Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: February 16, 2009, 08:10:18 PM »
Talat,Zindagi Ke  Har Kadam Par Khuda aapke Saath Ho..Yehi Dua Hai Iss Dost ki..

Shukriya Dost Khwaish
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #20 on: February 16, 2009, 08:22:42 PM »
Maine ye shayari theek 3 years pehle likhi thi....I wrote this on some true events, in very sad circumstances, in a sort of depressed state. That time I posted it in Critics and Review only Forum (where general comments are not allowed).

Door bohot door humko jaana hai !!!

A friend's poetry somehow reminded me my old lost poem..So, I am posting it here, once again...!!







WAH CELMIRA, BAHUT HI KHOOB LIKHA HAI AAP NEY


KATOH KA KAAM TOH HAI PHOOL KOH BACHANA
KAM HAI LOG JISNEY HAI YEH RAAJ JANA

DOSTOH MEH EK DOST KAATA JARUR BANANA
BACHAYEGA HAR MOAD PEH DOST YEH MASTANA

KATOH KA KAAM TOH HAI PHOOL KOH BACHANA
KAM HAI LOH JISNEY HAI YEH RAAJ JANA




JASBIR SINGH





Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: February 16, 2009, 08:38:51 PM »
Waah kya baat kahi hai...Bohot Khoob Jasbir Ji  Clapping Smiley...Bohot bohot shukriya..

Zamane bhar ki chahatain na maangenge,
Ek jo sachcha yaar hume mil jaaye

Masl-e-khaar jo nigehbaan ho humara,
Koi aisa dildaar hume mil jaaye !!

Yahan yaar, dildaar ka matlab dost se hai na ki mehboob se !
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #22 on: February 16, 2009, 08:47:58 PM »
Waah kya baat kahi hai...Bohot Khoob Jasbir Ji  Clapping Smiley...Bohot bohot shukriya..

Zamane bhar ki chahatain na maangenge,
Ek jo sachcha yaar hume mil jaaye

Masl-e-khaar jo nigehbaan ho humara,
Koi aisa dildaar hume mil jaaye !!

Yahan yaar, dildaar ka matlab dost se hai na ki mehboob se !


tHANKS CELMIRA AND kya sach baat kahi hai aap ney... bahut hi khoob kaha



DAR BADAR ISI KHOJ MEH TOH BHATAKTA HAI YEH DIL
KAHI KOI AISA SACCHA PYAR MIL JAYE
MILI HAI HAR MOAD PEH SIRF BEWAFI
KAHI TOH ISS DIL KA SAHIL MIL JAYE




Jasbir  Singh




Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: February 16, 2009, 08:53:42 PM »
Shukriya Jasbir Ji..again a nice one.

Kehne ko duniya ki raunaqain hain jawaan,
Phir bhi is dil main tanhaayi si kyun hai

Humne to nibhaya tha har rishta imaan sa,
Ye duniya phir itni harjaayi si kyun hai !!
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #24 on: February 16, 2009, 09:00:55 PM »
Shukriya Jasbir Ji..again a nice one.

Kehne ko duniya ki raunaqain hain jawaan,
Phir bhi is dil main tanhaayi si kyun hai

Humne to nibhaya tha har rishta imaan sa,
Ye duniya phir itni harjaayi si kyun hai !!



Thanks Celmira and very well said by you


MUSHKIL BAHUT HAI AAP KOH SAMJANA
AAP NEY KHWABOH KI MEHFIL SAJAYI SI HAI
DAGA MILTA HI HAI UNHI KOH YAHA
JINHONEY IMAAN SEY JINDAGI BITAYI SI HAI



JASBIR SINGH




Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: February 16, 2009, 09:06:57 PM »
Good one Jasbir Ji

Humne khwaabon ko sach samajhna chaaha,
Zindagi ka ehsaas dilaaya zamaane ne

Khwaab palkon ke uss paar hi hote hain
Zindagi ka aaeena dikhaya zamaane ne



Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #26 on: February 16, 2009, 09:18:56 PM »
Good one Jasbir Ji

Humne khwaabon ko sach samajhna chaaha,
Zindagi ka ehsaas dilaaya zamaane ne

Khwaab palkon ke uss paar hi hote hain
Zindagi ka aaeena dikhaya zamaane ne







Thanks Celmira

Wah wah wah Celmira, wah, bahut bahut sunder kaha aap neh



BEWAFA EK HAI, JAMANA NAHI
KU TUMHARA DIL YEH MANA NAHI

EK SEY JAMANEY KA NAZARIYA NA BANAO
EK BEWAFA SEY JINDAGI MEH NA GHABRAO

KHWAAB PALKOH PEH FIR SAJNEY LAGENGEY
AAYENEY KEY SAAMNEY DIN KATNEY LAGENGEY

EK BAAR DIL KA DARWAJA FIR SEY TOH KHOL JAO
EK BEWAFA SEY YU NA JINDAGI KOH MURJHAO



JASBIR SINGH


Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: February 16, 2009, 09:45:17 PM »
Thank You Jasbir Ji....Bohot khoobsurat likha hai aapne...  Clapping Smiley

Jeena mujhko sikhaata hai wo !!
Hausla mera bandhata hai wo !!

Jin aankhon main neend ab nahin hai,
Un aankhon ko phir khwaab dikhata hai wo !!

Mer aansoo ko le kar apne poron par,
Mere saath saath muskurata hai wo !!
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #28 on: February 16, 2009, 09:55:02 PM »
Thank You Jasbir Ji....Bohot khoobsurat likha hai aapne...  Clapping Smiley

Jeena mujhko sikhaata hai wo !!
Hausla mera bandhata hai wo !!

Jin aankhon main neend ab nahin hai,
Un aankhon ko phir khwaab dikhata hai wo !!

Mer aansoo ko le kar apne poron par,
Mere saath saath muskurata hai wo !!



Thanks Celmira

wah wah yeh huyi naa baat Celmira … very beautifully written



MUSKURAHAT AAP KI YUHI SAJTI RAHEY
AANGAN MEH YEH KALIYA KHILTI RAHEY
MEHAKNEY SEY AAP KEY ROSHAN HOTA HAI JAHAAN
DUA HAI AAP KOH YEH KHUSHIYAA MILTI RAHEY




JASBIR SINGH





Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: February 18, 2009, 10:58:05 AM »
Bohot achcha likha aapne....bohot bohot shukriya Jasbir Ji   
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:50:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer